Title :"Allah ka Insan ko apna khalifa banana or Bani Nao e insaani k awaleen afraad sy lay kar Hazoor Nabi Akram S.A.WW tak sahi raah o rawaiyaa ke dawat daina"

🌷💚🌷💚🌷💚🌷💚🌷


Maalik e Kainaat nay Bani Nao insaan ko is kainat mein jaga di
aur Bani Nao insan kay jo awaleen afraad hayn yani "Adam o Hawa"
Unko wo hidayat bhi de di jis kay mutabiq Unhain aur Unki aulaad ko zameen mein kaam krna tha, rehna basna tha..

Ye awaleen afrad kisi bhi jahalat aur tareeqi ki halat mein, zulmaton ki halat mein zameen pr nai bhejay gaye thay
Blkay Allah nay zameen pr Unki zindagi ka jo aghaz kiya wo poori roshni mein kiya tha
Wo haqeeqat sy poori tarha wakif thay
Unhain Unka qanoon e Hayat aur asool o zawabit e hayaat bata diye gaye thay,..
Unka tareeqa e zindagi Allah ki atta'at o farmanbardari hi tha aur Wo apni aulaad ko bhi yehi baat sikha kr gaye thay
Kay Allah ki atta'at o farmanbardari krnay Walay ban kr rahayn



Lakin rafta rafta insan is sahi tareeqa e zindagi sy hat kr mukhtalif tarha kay ghalat rawaiye aur rastay apnanay lagay...
Insaan ghafil bhi honay lagay aur shar o shararat sy asal ko maskh bhi krnay lag gaye, haqeeqat ko maskh krnay lag gaye
Unho nay Allah kay sath bht kuch aur bhi shareek bana liya aur mukhtalif nazariyon aur falsifon ko mila jula kr unho nay beshumar naye mazahib bana liye

Is tarha Allah kay muqarar krda asool o zawabit aur ikhlaq o tamadun is sb ko chor kr apni khuwahishat e nafs aur apne apne tasubaat kay mutabiq unho nay apne qawaneen e hayat garh liye aur is tarha zindagi guzarnay lagay
Aur zameen mein is tarha sy zulm o fasaad barpa honay lag gya.



Allah nay ab jo aur jitni bhi khud ikhtiyari insan ki dekhi tou ab uskay sath ye baat mutabiqat nai rakhti thi kay Allah Apni takhleeqi mudakhilat sy kaam lay.

Kyun kay Allah nay takhleeq ki hay tou Wo us takhleeq e mudakhilat sy kaam le kr in bigray huay insanon ko zabardasti sahi rawaiye ki taraf mor de aur is ne duniya mein kaam krnay ki jo mohlat Bani Nao insan kay liye aur iskay mukhtalif qomon kay liye, mukhtalif waqton kay liye mukhtalif tarha sy muqarar ki thi
Uskay sath ye bhi mutabikat nai rakhti thi kay is tarha sy baghawat jo runuma ho rahi hay, zulm o fasad barpa ho raha hay, insan is tarha sy kr raha hay tou ab wo insan ko halak kr dalay..



Tou phir Us nay jo kaam ibtada e afriniyat sy hi apne zimay le liya tha wo ye tha kay insan khud ikhtiyari ko barqarar rakhtay huay uski mohlat e amal kay doraan mein uski rehnumayi ka Wo intazam krta rahay ga..

Yaani insan ki khud ikhtiyari bhi barqarar rahay gi aur usko jo mohlat e amal is duniya mein di gyi hay uskay doraan mein Wo uski rehnumayi ka intazam krta rahay ga

Isliye Usne Apni is khud pr aaid krda zimedari ko adda krnay kay liye insanon hi mein sy aisy admiyon ko istamal krna shuru kiya jo Allah pr emaan rakhnay walay aur Uski raza aur khushi chahnay walay thay
Usne inko apna numainda banaya , Apne paighamaat inkay paas bhejay , unko ilm e haqeeqat bakhsha , unhain sahi qanoon e hayat atta kiya aur unhain is kaam pr mamoor kiya kay Bani Adam ko is rah e raast ki taraf palatnay ki dawat dein jis sy wo ghafil ho gaye hayn.



Ab ye jin logon ko Allah nay Apna numainda bana kr paighamaat bhej kr Unko haqeeqat ka ilm, qanoon e hayat jo tha uska ilm atta kr kay is kaam pr ma'moor kiya
Kay Wo Bani Adam ko dawat dein us ghaflat ki raah sy hat kay rah e raast ki taraf palatnay ki
Tou ye paighambar mukhtalif qomon aur mulkon mein uthtay rahay
Hazar haa baras tak Inki amad ka silsilah chalta raha , hazaar haa ki ta'daad mein Wo mabu'oos huay
In sb ka deen ek hi tha , aur wo ye tha kay wohi sahi rawaiya jo awal roz sy insan ko bata diya gya tha
Yaani ikhlaaq o tamadun kay wo azali aur abadi asool o zawabit jo aghaaz hi mein insan kay liye tajweez kr diye gaye thay
In sb ka ek hi mission tha kay is deen aur is hidayat ki taraf Bani Nao insan ko dawat dein
Phir jo log is dawat ko qabool kr lein tou unko munazam kr kay ek aisi ummat banayen jo khud Allah kay qanoon e hayat ki paband ho aur duniya mein issi qanoon e Elaahi ki ata'at krwanay aur iski khilaf warzi sy roknay ki koshish bhi kray
In sb nay Apne Apne daur mein Apne is mission ko bakhoobi adda kiya hay
magar humesha yehi hota raha hay kay insanon ki ek kaseer jamat unki dawat ko qabool krnay pr amada hi nai hui aur jinho nay isay qabool kr kay ek ummat e musalma ki hesiyat ikhtiyar ki wo rafta rafta khud bigartay chalay gaye hatta kay un mein sy baaz ummatain hidayat e Elaahi ko bilkul hi bhool kay us raah ko gum kr bethin
Aur baaz nay Allah kay irshadat ko apni tehrifaat aur apni aamaizishon sy maskh kr dala , uski asal shakal hi barqarar na rehnay di...


Ab asal baat ye hay kay ,
jab Khaleefa banaya gya tou khalifa banatay huay ilm e haqeeqat bhi bakhsha..
Sahi qanoon e hayat ka ilm bhi atta kiya kay ye kia hay
Ikhlaaq o tamadun kay bhi jo asool o zawabit hayn wo saray sikhaye gaye

Awal roz sy insan ko ye sb bata kr khalifa banaya gya na..

Ab khalifa ka tou yehi maqsad tha kay yahan pr is zameen pr , jis khita e zameen pr bheja gya wahan pr usne apnay khalifa honay ka haq adda krna tha
aur na sirf usne khud un pr amal krna tha balkay usne tou logon ko bhi us raah pr chalana tha baqiyon ko
Usne taman Bani Nau insan ko jahan jahan tak usko space milti hay usne unko usi qanoon kay mutabiq amal krwana tha jis kay liye usko khalifa bana kr bheja gya tha



Jese duniya mein hota hay jahan pr bhi kisi ko bheja jata hay kisi bhi kaam ko sonp kr , tou usne wahan ja kr khud bhi wohi kaam krna hota hay jo uski zimedari hoti hay aur jis kaam kay liye usko wahan dusron kay liye bheja jata hay wahan unhon nay bhi wohi kaam krna hota hay

Tou issi tarha sy jab Allah nay insan ko khaleefa bana kr bheja tou usko sara kuch sikha kay bata kay bheja aur ab usny is zameen pr aa kr us khalifa honay ka haq adda krna tha na..

Kay usne us pr khud bhi behtreen tareeqay sy amal kr kay khalifa honay ka saboot dena tha
Ye tou krna hi krna tha , na sirf ye krna tha balkay usne us qanoon ko nafiz ul amal krwanay kay liye bhi yahan pr apna aap laga dena tha
Tou ye asal mein maqsad tha.



Tou akhir kaar Allah nay sar zameen e Arab mein Apne Piaray Habeeb Khatam un Nabiyeen Hazrat Muhammad Mustafa (SAWW) 💚 ko issi kaam kay liye mabu'oos kiya
Jis kay liye pehlay bhi ambiya o rasool atay rahay..

Piaaray Aaqa e Do Alam (SAWW) kay mukhatib aam insaan bhi thay aur pichli ummaton mein sy jo pehlay ambiyaa aaye unkay bigray huay pairokaar bhi thay.

Sbko sahi raah o rawaiye ki dawat dena , sab ko naye siray sy Allah ki hidayat pohncha dena aur jo is dawat ko un mein sy qabool krein is hidayat ko qabool krein unhain ek aisi ummat bana dena Piaaray Aaqa e Do Alam Hazoor Nabi Kareem (SAWW) ka kaam tha
Jo ek taraf tou Apni zindagi ka nizaam Allah kay banaye gaye qanoon e hayat pr qaim krein aur dusri taraf duniya ki islaah kay liye jad o jehad hi krein
Issi dawat aur hidayat ki kitaab Quran e Pak hay jo Allah kay Piaaray Habeeb Hazrat Muhammad Mustafa (SAWW) pr naazil farmayi gyi. 💚

End