Title :
"Quran pak ka Mao'zou... Markazi Mazmoon... or Mud'da'aa."
.....


💥Quran Paak ka Mao'zou...
💥Markazi Mazmoon...
💥or Mud'da'aa


Ab Quran k ye maloom ho janay k baad sab k liye ye samjhna bohat aasan hojata hay k is kitaab ka Mao'zou kia hay, Markazi Mazmoon kia hay aur iska Mud'da'aa kia hay....

Ab Mao'zou to zahir hay iska Insan hay, is aitabar se k ismein Insan ki Haqeeqi Falah o khasara kis cheez mein hay, asal mein yehi btaya gya hay...

Iska Markazi Mazmoon ab kia hay, kay zahiri nazar, apni souch, khwahishaat aur khwahishaat ki Ghulaami k sabab insan ny Allah aur Uskay nizaam e Qainat, Apni Hasti, Apni dunia ki zindagi, in sab k mutaliq jo Us ne nazariyat qa'im ki hayn, in nazariyaat ki bina par us ne zahir hay kuch apnay liye khud rawaiye aur raah bhi ikhtiyaar kiye hue hayn....

To wo sab haqeeqat k lihaaz sy ghalat aur phr uskay nateejay k aitabar sy bhi insan k liye Tabah'qun hayn...



Kyu k haqeeqat wo hay jo Allah ny insan ko khalifa bnatay waqt khud bta di thi. Aur is haqeeqat k lihaaz sy insan k liye sirf wohi raah aur rawaiya darust hay aur usi ka behtareen anjam usko mol sakta hay.

Ab iska mud'da'aa yaani matlab aur maqsad kia hay..
To iska mud'da'aa insan ko is sahee raah aur rawaiye ki taraf daawat dena aur Allah ki is hadayat ko wazeh tour per paish krna hay jisy insan apni ghaflat sy gum kar betha hay aur apni shararat sy masq karta raha hay...

Ab in 3 buniyaadi aur eham points ko zehn mein rakh ker koi shakhs agar Quran e Paak💚 ko dekhay to usay saaf nazar aye ga k ye kitaab kaheen bhi apnay Mau'zou, Apnay Mud'da'aa ya Apnay Markazi Mazmoon sy zara barabar bhi nai hatti hui....


Khilaaf e Haqeeqat jo bhi raah aur rawaiya hay, uski ghaltiyan aur uskay buray Anjaam, usko wazeh krti hayn ye cheezain.
aur is rawaiye aur raah ki taraf daawat deti hay, jo haqeeqat k mutabiq hay aur uska anjaam bhi behtareen hay.

Yehi waja hay k Wo har cheez ka zikar srf is hadd tak aur is andaz mein krta hay jo iskay mud'da'daa yaani matlab k liye zaroori hay.

Quran hemesha in cheezo ka zikar, baqadar e zaroort karnay k baad, ghayr mutaliqa tafseelat ko chour kar apnay maqsad aur Markazi Mazmoon ki taraf he rajouh karta dikhayi deta hay. Aur iska saara biyaan intahayi yaksaan rawani k sath sirf daawat k mehwar par ghoomya rehta hay.