💥 Title : Ilam e Tafseer sy mutaliq maloomaat..




Ab kuch zaruri malumaat Ilm e Tafseer kay silsilay mein.
Arbi zaban mein tafseer kay lafzi ma'ani hayn "Kholna" , aur
Istlaah mein , Ilm e Tafseer is ilm ko kehtay hayn "Jis mein Quran e Kareem kay ma'ani bayaan kiye jayen, aur iskay ehkaam aur hikmaton ko khol kr wazeh kiya jaye.

Quran e Kareem mein Hazoor Nabi Akram (SAWW) sy khitaab krtay huay irshaad hay,

🌷 وَ اَنۡزَلۡنَاۤ اِلَیۡکَ الذِّکۡرَ لِتُبَیِّنَ لِلنَّاسِ مَا نُزِّلَ اِلَیۡہِمۡ..

"Aur hum nay Quran Aap pr utara takeh Aap logon kay samnay wo batain wazahat sy biyaan farma dein jo unki taraf utaari gyi hayn."

Quran e Kareem mein ek aur jaga irshaad hay,

🌷 "La qad man nadlaa hu lal mu'mineena iz ba asafeehim Rasoolam min anfusihim yatlu alaihim aayaatihi wa yuzakeehim wa yuallihumul kitaaba wal hikma."

"Bila shuba Allah nay insano pr bara ehsaan farmaya jab kay unkay darmiyan unhi mein sy ek Rasool bheja jo unkay samnay Allah ki ayaat ku tilawat kray aur unhain pak saaf kray aur unhain Allah ki kitaab aur danaayi ki baaton ki taleem de."



Chanchay Hazoor Nabi Akram (SAWW) Sahaba e Karam R.A ko sirf Quran e Kareem kay ilfaaz hi nai sikhatay thay, blkay uski poori tafseer bayaan farmaya krtay thay.
Yehi wajha hay kay Sahaba e Karam R.A ko ek ek soorat parhnay mein baaq auqaat kayi kayi saal lag jatay thay.

Jab tak Hazoo Nabi Akram (SAWW) duniya mein tashreef farma thay us waqt tak kisi ayat ki tafseer maloom krna kuch mushkil nai tha.
Sahaba e Karam R.A ko jahan koi dushwari paish aati wo Aap sy rujoo krtay aur unhain tasali bakhsh jawab mil jata tha.

Lakin Aap (SAWW) kay baad is baat ki zarurat thi kay tafseer e Quran ko ek mustakil ilm ki soorat mehfuz kiya jaye takeh unmat kay liye Quran e Kareem kay alfaz kay sath sath uskay sahi ma'ani bhi mahfuz ho jayen aur mulhid o gumrah logon kah liye uski maanwi tehreef ki gunjaish bhi baaqi na rahay.

Chananchay Allah kay fazal aur Allah ki tofeeq sy is ummat nay ye kaam is husn o khubi sy anjaam diya kay aaj hum ye baat bila khof e tardeed keh saktay hayn...
Kay Allah ki is akhri kitaab kay alfaaz hi nai mehfuz balkay iski wo sahi tafseer o tashreeh bhi mehfuz hay jo Hazoor Nabi Akram (SAWW) aur Aap kay jaan nisaar sahaba kay zariye hum tak pohnchi.

🌷💚🌷💚🌷💚🌷💚🌷💚🌷


💥 Title : Tafseer e Quran k ma'khaz (lainay ke jaga ya buniyaad)
🌷💚🌷💚🌷💚🌷💚🌷💚🌷


Ab hay kay tafseer e Quran kay ma'khaz kia hayn.
Ilm e Tafseer ko is unmat nay kis kis tarha mehfuz kiya...
Is raah mein kia kia mushkilat , jad o jehad , duswariyan paish aayin.
Beshak kay ye ek bht bari alag tareekh hay dilchasp, lakin yahan sirf Quran e Kareem kay ma'khaz bataye jayen gay kay kia hayn.

Ilm e tafseer pr jo beshumar kitabain hr zaban mein milti hayn , unhkn nay Quran e Kareem ki tashreeh mein kin sarchashmon sy istafada kiya hay, wo yahan bataye jayen gay.

Wo 6 sarchashmay hayn,
Pehla ha, Quran e Kareem
Ilm e Tafseer ka pehla ma'khaz khud Quran e Kareem hay.
Chananchay aisa ba kasrat hota hay kay kisi ayat mein koi baat mukhtasir ya tashreeh talab reh jaati hay
Tou khud Quran e Kareem hi iski koi dusri ayat iskay mafhoom ko wazeh krnay kay liye paish kr deta hay.

Maslan Surat Fateha ki dua mein ye jumla mojood hay kay, "Siraata Allah zee na an amta alaihim"
Yaani humain un logon kah rastay ki hidayat kejeay jin or Apka inaam hua.



Ab yahan ye baat wazeh nai hay kay wo kon log hayn jin pr Allah nay inaam farmaya. Lakin ek dusri ayat mein unko wazeh tor pr mutayan krdiya gya hay.
Chananchay irshaad hota hay,

🌷"Fa ulaa ika ma'alla zeena an aa mallaa hu alaihim minan nabbiyeena wa siddiqeena wa shuhadaa e wassauliheen."

"Ye wo log hayn jin pr Allah nay inaam farmaya yaani ambiyaa, siddiqeen , shuhada aur saleh log."

Chananchay mufasireen e karam jab kisi ayat ki tafseer krtay hayn tou sb sy pehlay ye dekhtay hayn kay is ayat ki tafseer khud Quran e Kareem hi mein kahin kisi aur jaga mojood hay ya nai.

Agar mojood hoti hay tou sb sy pehlay usi ko ikhtiyaar farmatay hayn..
Aur is tarha agar kisi ek ayat ki wazahat mein koi dusri ayat mein jaye tou "Tafseer ul Quran bil Quran" ka ye tareeqa sb sy afzal hay.

🌷 Dusra hay "Hadees e Mubarika".
Hadees , Hazoor Nabi Akram (SAWW) kay aqwaal o af'aal ko kehtay hayn.
Jese kay pata hay sab ko kay Allah nay Quran e Kareem kay sath ek Apna paighambar Hazoor Nabi Akram (SAWW) ko mab'oos hi isiliye farmaya kay aap logon kay samnay Quran e Kareem ki sahi tashreeh khol khol kr biyaan farma dein.

Chananchay Aap (SAWW) nay Apne qoul aur Apne amal doni sy ye fareeza ba husn o khubi anjaam diya aur dar haqeeqat Aap (SAWW) ki poori mubarik zindagu Quran hi ki amali tafseer hay.
Isliye mufasireen e kara nay
Quran e Kareem ko smjhnay kay liye dusray number pr sh sy zada zor Hadees e Mubarika pr diya hay.
Aur Ahadees ki roshni mein Allah ki kitaab kay ma'ani mutayan kiye hayn.


🌷 Teesra hay , "Sahaba e Karam R.A".
Sahaba e Karam nay Quran e Kareem ki taleem barah e raast Hazoor Nabi Akram (SAWW) sy hasil ki thi.
Iskay alawa Nazool e wahi kay waqt bhj wo ba nafs e nafees mojood thay aur unhon nay Nazool e Quran kay pooray maahol aur pas e manzar ka bazat e khud mushahida kiya tha.
Isliye fitri tor pr Quran e Kareem ki tafseer mein in hazraat kay aqwaal jitnay mustanid aur kabil e aitmaad ho sktay hayn baad kay logon ko wo maqaam hasil nai ho skta.

Lihaza jin ayaton ki tafseer Quran ya hadees sy maloom nai hoti un mein sb sy zada ehmiyat Sahaba e Karam r.a kay aqwaal ko haasil hay.

Chananchay agar kisi ayat ki tafseer pr sahaba e karam ka itafaq ho tou mufasireen e karam isi ko ikhtiyaar krtay hayn aur iskay khilaf koi aur tafseer biyaan krna jaiz nai hay.

🌷 4.Sahaba e Karam R.A kay baad "taba'een" ka number aata hay.
Ye wo hazraat hayn jinhon nay Quran e Kareem ki tafseer Sahaba e Karam sy seekhi hay.
Isliye unkay aqwal bhi ilm e tafseer mein bari ehmiyat kay haanil hayn , agarchay is mamlay mein Ulama ka ikhtalaf hay kay tab'aeen kay aqwaal tafseer mein hujjat hayn ya nai. Lakin inki ehmiyat sy inkaar nai kiya ja sakta.

🌷Uskay baad panchwaan hay "Lughat e Arab".
Quran e Kareem kyun kay Arbi zaban mein nazil hua hay isliye tafseer e Quran kay liye is zaban pr mukamal aboor hasil krna zaruri hay

Quran e Kareem ki bht si ayaat aisi hayn kay unkay pas e manzar mein kyun kay koi Shaan e Nazool ya koi aur fiqahi ya kalami masla nai hota isliye unki tafseer mein Hazoor Nabi Akram (SAWW) ya Sahaba e Karam R.A Ya Taba'een r.a kay aqwaal manqool nai hotay.
Chananchay unki tafseer ka zariya sirf Lughat E Arab hoti hay aur lughat hi ki buniyaad pr uski tashreeh ki jaati hay.

🌷 Chatta hay, "Fiqar o tadabur"
Tafseer ka aakhri ma'khaz fiqar o tadabur hay. Quran e Kareem kay nuqaat o israar ek aisa behr e na paida kanaar hay jis ki koi had o nihayat nai hay.
Chananchay jis shakhs ko Allab nay Islami aloom mein baseerat atta farmayi ho wo jitna jitna is mein ghor o fiqar krta hay utnay hi naye naye israar o nuqaat samnay atay hayn.
Chananchay mufasireen e karam Apne Apne tadabur kay nateejay mein Apni tafseeron mein biyaan farmatay hayn.

Lakin ye israar o nuqaat usi waqt qabil e kabool hitay hayn jab kay wo in bataye gaye paanch ma'khaz sy mutasadim na hon.

Agar koi shakhs Quran ki tafseer mein koi aisa nuqta ya ijtahad biyaan kray jo Quran o sunnat, ajmaa , lughat ya Sahaba aur tab'aeem kau aqwaal kay khilaaf ya kisi dusray sharayi asool sy takrata ho tou uska koi aitbaar nai.

Baaz sufiya nay tafseer mein is kism kay asraar o nuqaat biyaan krna shuru kiye thay lakin ummat kay muhakik ulama nay unhain qabil e aitbaar nai smjha.
Kyun kay Quran o sunnat aur shariyat kay buniyadi asoolon kay khilaaf kisi shakhs ki raaye zahir hay kay koi hesiyat nai rakhti.