User Tag List

Results 1 to 4 of 4

Thread: *5:Surat Fateha ki 4th ayat ki tafseer*

  1. #1
    Senior Member
    Join Date
    Feb 2017
    Posts
    150
    Thanked: 2
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)

    *5:Surat Fateha ki 4th ayat ki tafseer*

    *اِیَّاکَ نَعۡبُدُ وَ اِیَّاکَ نَسۡتَعِیۡنُ ؕ﴿۴﴾*


    is aayt mein aik pehloo hamd o sana ka hy or dousra dua o darkhawast ka hy.
    Moarafil quran mein hy k Na'budu ibadat sy mujh tak hy...
    Mujh tak ka matlab hota hy wo lafz jo kisi dousry lafz sy banaya geya ho.
    Na'budu ibadat sy mujh tak hy jis k maani kisi ki intehaai tazeem o muhabat ki wajah sy ous k saamny apni intehaai aajizi o farma bardari ka izhaar ho.
    Nasataeeinu istaaanat sy mujh tak hy jis sy maani hein kisi sy madad mangna.
    Yahan pehli do aayton mein insan ko aagah kar deya geta tha k wo apny maazi or haal.mein sirf Allah ka mohtaj hy kion k ous ka wajood he nai tha or ousy wajood bakhsha geya or kaainaat sy ziada behtreen shak o sorat or aqal o shaour or baseerat ata ki....


    Or ab haal mein ous ki tarbiyat o parwarish ka silsila jari hy or
    مٰلِکِ یَوۡمِ الدِّیۡنِ
    mein btaya geya k mustaqbil mein bhe wo khud ka he mohtaj hy k roz e jaza mein siwaye Allah k ous ka koe madadgaar nai ho sakta.
    Ab in teeno aayaat sy yeh baat wazeh ho gayi k insan apni zindagi k teeno adwaar mein Allah ka he mohtaj hy tou ab ous ka fitri or aqli taqaza yeh hoa k ab ibadat bhe sirf Ossi ki ki jaey k ibadat jo apni intehaai tazeem o mohabat k sath apni intehaai aajizi or inkisaari ka naam hy.
    Wo kis dousri hasti k laaiq tou hy nai.
    Ab jo bhe insan samjhdaar hy wo beikhtiyar pukar outhta hy k hum TERI hi ibadat karty hein.


    Ab jab yeh achi tarah maloom ho jata hy k hum Ossi k mohtaj hein Wo hajat rawa hy tou phir dil beikhtiyar pukaar outhta hy k hum tou Tujhi sy madad chahty hein.
    Is tarah chouthi aayat mein aik hasiyat mein Allah ki hamd o sana hy k ibadat o hamd o sana k laaiq sirf Wohi hy or dousri hasiyat mein dua o datkhawast hy k hamari madad farma or teesri aik cheeze or bhe hy k Allah k siwa kisi ki ibadat na kary or haqeeqi toar par Allah k siwa kisi ko hajat rawa na samjhy.
    Kisi k saamny dast e sawal daraz na kary magar kisi Nabi ya Wali ko waseela bana kar dua karna jaaiz hy or aisa karna is aayat k manafi nai hy.
    Aik dou tafseer ki kitabon mein yeh bhe likha hy k "Tujhi sy madad maangty hein" ko khas nai kiya geya kisi aik cheeze ki madad k sath.
    Yahan mufasireen ny likha hy k yahan kaam ka zikar na karna amoum ki taraf ishara hy k hum apni ibadaat or deeni or duniyavi kaam or har maqsad mein sirf Tujh sy madad maangty hein.
    Yahan agar daikhein tou hum din mein kae baar waisy bhe kehty hein namaz mein bhe kehty hein or agar koe aisa kahy k hum aisa nai kehty tou hum ous sy larnay lag jaty hein k hum tou sirf Ossi ki ibadat karty hein or Ossi sy madad chahty hein.
    Lakin agar daikha jaey k jab hamein apni koe mushkil ya paryshani aati hy tou ous waqt hum ny apna aap check karna hota hy k kia ous waqt sub sy pehly hum madad k leay Allah ki taraf he bhaagty hein ya hum is ko miss kar jaty hein.
    Maslan agar koe bimari hy tou kia hamein sub sy pehly yehi khiyal aata hy k hum dua karain or Alalh sy madad maangein ya hum pehly yeh kehty hein k falan dawaei ly loun tou theek ho jaoun or phir agar ous dwai sy aaram nai aata tou phir kisi mohaly k kisi dispenser ya phir shehar k kisi bary hospital mein jaty hein dawaei lainy k leay is doaran koe hamein desi totkay btaaye tou hum wo bhe karny lagty hein...


    Jis waqt hamary saray raasty band ho jaty hein ya bhaag dour karny k baad koe raata nai khul raha hota or hamara wo masla mushkil beemari takleef dour nai hoti tou phir hum kehty hein k ab Allah k siwa koe nai kar sakta tou kitna acha ho k hum sub sy pehly Allah ki taraf bhagein.
    Hamara koe bhe chouty sy chouta masla bhe ho na tou hum Alalh k saamnay baithein k Allah TU meri madad kar mushkil takleef ko dour karny mein phir Allah ous mein hamary leay raah khol dy ga ous takleef ko dour karny mein.
    WO hamary dil mein daal dy ga k koe dawaei ly laain koe tona totka kar lain ya k tum tou jao or kisi doctor sy dawaei lo.

    Hamary andar hamara dil khud gawahi dy ga or ous k sath sath bahir k jitny bhe zahiri asbaab hein wo khud bakhud raasta khol dain gy koe baap bhai koe aziz rishtydaar ly k doctor k pass ly jaey ga jahan sy hamara masla hal hona ho ga.
    Agar hum sachaai sy Allah sy madad maangein tou hamary leay pehli dafa Allah wo taah khol dy ga k jis py ja k hamara masla hal hona ho ga chahy k wo hamari daraz mein pari kisi tablet sy hal hona ho ga kisi dawaei totky sy ho ga. Is leay sub sy oegly Allah sy madad maangty hoay sub sy pehly ous sabab or raasty ki taraf dourna hota hy jo Allah hamary leay khol daita hy.
    Is hawaly sy apna jaiza bhe laina hy or khud ko check bhe karna hy k hum kis tarh sy pehly k apny masaail k leay kia sub sy pehly Allah ki taraf bhaagty hein ya hum tab Allah ki taraf bhaagty hein jab hamein zahirii darwazy band hoty nazar aaty hein or phir hum kehty hein k ab tou Allah he madad kary ga.


    Ibaadat sirf Roza Namaz nahi hai. Imaam Ghazaali r.a ne apni kitaab me ibadat ki 10 qismen likhi hen.. wo is tarha se hen k
    Namaz, Zakaat, Roza, Hajj, Tilawat e Quran pak, Har haalat me Allah ka zikar karna,
    Halaal rozi k liye koshish karna,
    Parrosi or sathi k haqooq adaa karna,
    Logon ko neiki k kaamon ka hukam dena or burry kamon se mana karna or Rasool Allah S.A.W.W ki sunnat ka etbaa karna. Ab dekha jaye to hum to roza namaz ko hi bs kafi samajhtey hen. Ziada kr dia to sath Quran e pak parhna shuru kr dia. Agar dekha jae to hamari zindagi me ibadat ka concept bohat mehdood sa hai. Agar dekha jaye to yahaan jis tarha se ye 10 qismen batai gai hen is me namaz, roza, hajj, zakat, tilawat e quran pak beshak eham hen.. lekin agar dekha jaye to is sab me Touheed qaim ho rahi hai k har haalat me Allah ka zikar kartey rehna.


    Ab ye jo hai har wakt me har haalat hamari din bhar ki routine me jese k raat ko sotey huey jagtey se le kar jo jo bhi hamare sath pesh aye us ki har halat me Allah ka zikar karney ka bataya ja raha hai. Hamey khushi aye, hamey dukh hota hai, hamey koi takleef hoti hai, hum khatey hen, pakaatey hen, chaltey phirtey hen, har haalat me dil hamara zikar me rahey Allah k.
    Halaal rozi k liye koshish karna to hamare din bhar ki routine me ziada tar yehi hota hai k moashi torr par hum jobs kartey hen.. kisi na kisi havaley se koi na koi.. ziada tar mardon ka b yehi hai or aj kal aurten b yehi k halaal rozi k liye koshish me job kr rhe hen, lekin yahaan par hum ne ye bhi dekhna hai k ye halaal rozzi k liye koshish karna ibaadat hai. Hamari kya halaal rozi k liye hi koshish ho rahi hai is me Kya apni zimadarion ko bakhoobi nibtaaney k liye apna ap pesh kr rhe hen?


    Hamari jo b seat us halaal rozi k liye hai to kya hum us par apney faraiz e mansabi jo hen wo puri tarha amaanat dari k sath adaa kar rhe hen? Wahan hamare zaati talluqaat, hamari zaati dostiaan, hamarey rishtey kya wo asar andaaz ho rhe hen? Ya un par hamari seat asar andaaz ho rahi hai? Or ye k rozi ka zariya kya hai? Hum din bhar kis koshish me lagey huey hen?
    "Alkaasibo Habeebullah" kaha gya hai.. k Kasb e halaal jo kamata hai wo Allah ka dost hai. To yahaan halaal rozi ki koshish ibaadat hai. Hum ne yahan check krna hai k hamari koshish halal rozi k liye hi hai? Wo koshish ibaadat tab kehlaye gi jab jis jaga par bhi hum hen uski zimadarian behtareen tarhaa adaa karen. Chahey hum kisi jaga officer lagey hen ya kisi k gahr maid k torr par kam kar rhe hen. Har jaga kuch faraaiz e mansabi hote hen us rozi k havaley se.


    Phir is k bad parrosi or sathi k haqooq adaa karna.. yahan dekha jaye satthi hamare sath kam karney waley b hotey hen.. parhney waley bhi hotey hen.. kisi bhi havaley se sathi hotey hen.. to kya wahan par hamari zaatiat ati hen? Ya wahan hum farq rakhtey hen?
    Parrosi k havaley se dekha jaye to parrosi k to bohat se haqooq hen islaam me. Us havaley se apne ap ko dekhen k kya hum wo haqooq adaa kartey hen? Kya dheyan rakhtey hen k hamara parosi bhooka hai? Beemar hai? Kya uski koi zarurat hai?or hum uski taklef me uski madad karney k liye kitna apna ap pesh kartey hen?


    Yahaan b hum ne dekhna hai parossi or sathi k haqooq adaa karna. Sathi k torr par azdvaji talluqat me miaan bivi b ajatey hen sathi..or joint family system me mukhtalif afraad b sathi k torr pe hotey hen..un me saan, nanden, devar, jethaanian or un k bachey is tarha bohat se rishtey dar hote hen jo ikathey rehtey hen..joint family system agar hai to bohat se sathi hotey hen un sab k haqooq adaa karna..yahaan b khud ko check kia ja satha hai.
    Phir logon ko neik kam krne ka hukam dena or burai se roka..kya hum yahaan apna ap bacha jatey hen ya haq baat kehtey hen? Or pyaar se or itmenaan se or agley ki bhalai ki khatir hi kehtey hen? Ya haq baat kehty huey is pehloo ko madd e nazar nai rakhtey k hum us ki bhalai k liye hi keh rhe hen? Hum uski kahin par bhi koi kami ya koi chez point out kar k sab k samney keh detey hen? Hum uski self respect ka khayal nai rakhtey. Ya hum sirf uski buraai point out kr dete hen lekin madad nai kartey wahan se nikalmey me agey usko rasta sahi dikhaney me.


    To neik kamon ka hukam dena or burey kam se mana karna hum kis had tak is k liye apna ap pesh kr rhe hen? Or kahan kahan kis level par pesh kr rhe hen k zaat se hatt kar apne mohabbaton chahaton khwahishon logon k sath jo wabasta hen un se hat kar hum kitna ye kam kr rhe hen.
    Phir Rasool Allah S.A.WW ki sunnat ka ittebaa karna ye b ibaadat hai. Ye b dekha jaye ye hum kitna kar rhe hen? Kis kis jaga par kis tarha se kr rhe hen. Agar yehi dekha jaye to aj kal shadion me khaney ka system dekhen to tables pe khana laga k kharey ho k khaya jata hai..yahan par to sunnat ka bilkul nai khyaal rakha jata. pani b kahrrey ho k piya ja rha hai khana b kharey ho k kha rhe hen.. galion bazaron me parks me jatey hen, hathon me tin liye juices liye huey baten kartey ja rhe hen sath sip liye ja rhe hen. Chaye li coffee li or chaltey phirtey peetey gaye.. ye sab b sunnat ki itteba nahi hai.


    Isi tarha se Libaas k havaley se.. soney jagney, uthney bethney, chalney phirney, even k charhaai pe charhne or utarney ki b sunnaten hen. To agar dekhen to pal pal zindagi ka hamey Pyaarey AAQA E DO AALAM S.A.W.W ki sunnaton ki ittebaa karney ka mouqa milta hai. Or sunnat ka ittebaa karna jahan hamare liye is duniaavi zindagi k liye b behtareen hota hai wahin hamari akhirat ki daaimi falaah k liye bhi kamyabi ka zaamin hota hai. Or yahaan par phir ibaadat ka darja bhi rakh leta hai. Allah hum sab ko sahhi tarha se ibaadat karney ki toufeeq ataa farmaey.


    Ye jo Hazrat Imaam Ghazaali r.a ne apni kitaab "Arbayeen" me ibaadat ki 10 qismen likhi hen ye bohat achi lagi hen k yahan hum keh rhe hen k hum sirf Tarri ibaadat kartey hen to is havaley se pata to chaley k hum kya kya kuch hum sirf Terey liye kartey hen. Or ye kuch karnye me jese k bataya hai k halaal rozi kamatey huey, parrosi or sathi k haqooq adaa kartey huey, neik kam ka hukam kartey or buraai se mana kartey huey, sunnat ki ittebaa kartey huey kitna hamarey andar khalis ye hota hai k hum sirf Allah ki raza k liye kar rhe hen? Is me hamey kisi se sataaishi kalmaat ya daad nahi chaaiye. Kahin par hum apney zaati talluqaat ko base bana kar nahi kar rhe. Hum kahin par is k badley me duniaavi ajar hasil karna na chahen hum sirf is k badley me Allah ki raza hasil karna chahtey hen.


    Jis tarha se ibaadat k barey me dekha hai 10 qismon k havaley se or apna jaiza lene k havale se b dekha hai or hum kyaa krte rahen hen or hamey ab kya karna hai or agye k liye hum kya mansooba bandi kren k darja badarja hamare. Andar tabdeeli ati jae. Agar hum ab nai kr rhe utna khalis ho k agar ab hamara zaviya e nazar wo nai ha in sab chezon ko krne k kiye k hm sirf Allah ki raza or khushi k liye hi kr rhe hen to abi bhi hamare pas abi time hai hum apna zaviya e nazar durust kar k in sab 10 qismon ki ibaadat ko khalis Allah k liye kar saktey hen. To isi liye jo ibaadat k havaley se kaha gya hai to ibaadat me kisi ko shareek na karney k maini bhi ye ho gaye k na kisi ki mohabbat Allah k barabar ho na kisi ka khouf Us k barabar ho na kisi se umeed US ki tarha ki ho, na kisi pe bharosa Allah ki misl ho, Na kosi ki atta'at o khidmat or kaam ko itna zaruri samjhen jitna Allah ki ibaadat ko. Na Allah ki tarha kisi ki nazar or mannat manen kyun k wo us wakt pehle wo zamana tha jis wakt ye surat nazil hui us wakt log mann'ten mantey the or nazren niazen janwaron ki kartey the or dewotaaon ko chrhaavey chrhaatey the.


    Isliye bataya gya hai k na hi Allah ki tarha kisi ki nazar or mannat manna hai. Na Allah ki tarha kisi dusrey k samney hum ne mukammal aajizi or inkasaari ka izhaar karen, na wo af'aal kisi dusrey k liye kren jo insaani ajizi or inkasaari ki alaamat hen. Jis me khasoosan Rukoo or Sajda bataya gya hai.
    Ab jese k bataya gya hai k na wo af'aal kisi dusrey k liye kren jo insaani ajizi o inkasari ki alaamat hen jese Rukoo or Sajda waghera. To ibaadat me kisi ko shareek na karne k maini bohat sarey wazeh kar k bataye gaye hen k kisi ki mohabbat Allah ki mohabbat k barabar na ho. Na kisi ka khouf Allah k khouf k barabar ho. Yahan hum apna dekh saktey hen hamey kitni mohabbaten hen? Dil kahaan kahaan or kitney attached hen? Us me Allah ki makhlooqat k ilawa duniaavi aarzi or faani chezon me hamare dil kitney phansey huey hen.


    Or khouf US k barabar wo b check karen k hamey kya khouf hai. Hamey to ghurbat ka b khouf ajata hai. Hamey beemari ka khouf, mohtaaji ka khouf ajata hai. Hamey mustaqbil k daravey atey hen k agar aisa ho gya to kya ho gya or aise hua tab kya ho ga.
    Idher to ibaadat ka batya gya hai k ksii ka khouf b Is k barabar na ho or na kisi se umeed Us ki tarha ho or na kisi par bharosa Allah ki misl ho to hamari umeeden to apne mohalley k jo ek member election jeet'ta hai usi k sath hoti hai. Apne ilaaqey k MPA MNA k sath hum talluqat banatey hen k ye hamare ilaaqey k hen to ye hamare kam aen ge.
    Even k hamare apne behan bhaion or maa baap k sath umeeden or bharosey wabasta hote hen k hamey kabi koi mushkil pesh ae gi to ye hamare kam ajaen ge
    Hamare apne kisi post pe pohanchey huey rishtadaar ya dost hamare liye bharosey or umeed ka saman bani kharrey hotey hai.
    Phir kaha gya k na kisi ki att'at or khidmat lo itna zarurui samjhen jitni Allah ki ibaadat ko.

    To dekhen k hum din bhar ki routine me us tarha se ehmiyat dete hen ya hum apni dusrey routine life ki jo bhi zaruriaat kahi jaen ya jo b moamlaat kahey jaen kya hum un ko ehmiayat ziada de jatey hen or hm ibaadat me sirf jese Namaz dekhi jaye ya Tialwat e Quran dekhi jae.. hum isko kitni ehmiat de rhe hen or hamare baki din bhar ki routine me baki jo sarey kam kis qadar ehmiyat rakhtey hen. To agar dekha jae to aise wazeh hota hai k wo to sarey kam intehaai eham lagtey hen or hum bhaag k bech me se namaaz ka time nikaaltey hen or kabi tilawat e Quran e pak ki or kabi na ki k time nai milta barri busy routine ho gai hai.

    Or na Allah ki tarha kisi ki nazar or mannat mannen. To is havaley se thora sa ap se share bhi karna tha thori tafseel b hai k "nazar neyaaz" ka matlab hota hai aam urfi torr par jisey moashrey me raaij hai k kisi buzurg k eesaal e sawaab ki gharz se jo khana khilaya jata hai usey nazar ya neyaaz kehtey hen. Jese Hazrat Imaam Hussain r.a ki, Hasrat Imaam Jafar Sadiq r.a ki ya is tarha kaha jata hai k Sheikh Abdul Qadir Jillani r.a ki neyaaz.. to iska basic concept ye hota hai k jo khana khilaya jata hai wo Allah Tala k liye khilaya or pakaya jata hai is me kisi buzurg ki raza hasil karney ka iraada nahi hota.
    Kisi buzrug ki bargaah me qurb paney irada nai hota sirf Allah k liye or Allah ki raza k liye wo khana pakaya jata hai khilaaya b sirf Allah ki raza k liye jata hai or iraada ye hota hai k us ka sawaab falaan buzurg tak pohanch jaye.


    Ab baaz aukaat aisa b hota hai k khana samney rakhtey hen.. kuch parhtey hen phir wo khana khila dia jata hai. Agar shar'aai lehaaz se dekha jae to bilkul ye jaaiz hai. Khana Allah k liye khilana iski targheeb khud Rasool Kareem S.A.WW ne di hai. Dusra eesal e sawaab iska to khud Rehmat e Alam S.A.W.W ne sahaba karaam ko tasavvur de gya hai. Jese kisi ne pucha k "main un ki taraf se hajj karun to ho jaye ga? To AP S.A.W.W ne farmaya bilkul ho jae ga" aise nafli sadqa k barey me pucha gya k "un ki taraf se kar skatey hen? To farmaya k ho jaye ga."
    Or tesra ye k Hazrat Saad r.a. ki walida k liye eesal e sawab ka pucha gya to Huzoor Nabi Akram S.A.W.W ne pani ka farmaaya. To unho ne road k kinaarey hi ek kunwaan khudva dia jis par baqaaida takhti b unho likhva di k "Lee Ummi Saad - yaani Saad ki maa k liye"
    Or is ka iraada ye tha k log paani piyen ge or iska sawaab hamari maa tak pohanch jae ga.
    Is tarha eesal e sawaab is tarha ka bhi sabit hai.
    Is me bhi koi harj nahi hai.


    Teesra samney rakh kar Quran pak waghera parha jata or cheez khaney ki samney rakhi jati hai to ye to farz ya waajib nahi hai jese k nazar neyaaz bhi farz ya waajib nahi hai.. karen to acha hai na karen to koi gunaah nahi hai. Or samney rakhna sahi hai ya nahi hai to is me bhi jo phanstey hen log to is k pechey b ek soch hai wo ye hai k Hazoor Nabi Akram S.A.W.W ne khana barhaaney k liye taqreeban jitney moajzaat zaahir farmaye Allah k hukam se us me tareeqa e kaar ye rakha k khaana samney rakha or sahaba karaam r.a kehtey hen k phir jo Allah ne chaaha Nabi Pak S.A.WW. ne parha or phir farmaya khao to is khaney me barkat ho gai.

  2. #2
    Senior Member
    Join Date
    Feb 2017
    Posts
    150
    Thanked: 2
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Jese Hazrat Jabir r.a. k ghar Huzoor S.A.W.W tashreef le gaye or Loaab e Dehen e Aqdas Ap me khanye me dala or hazaaron par wo khana pura hua. Aise hi Abu Talha r.a. ne dawat ki tab roti thi or thora sa ghee tha to do chaar admion k liye wo kafi tha lekin Huzoor Nabi Akram S.A.W.W ne usko samney rakha or jo kuch parha tha parha phir farmaya khao to wo kaseer tadaad ko pura hua.
    10,10 kar k log atey rahy or khatey rahey or 80 k qareeb log the jin par wo pura hua tha.
    Mukhtasar ye k agar koi is sunnat ki adaaigi k qasd o iraadey se khana paka kar k apne samne rakh k tilaawat waghera kr leta hai or iraada ye hota hai k khaney me barkat peda ho jae to ye amal b Huzoor S.A.W.W se sabit Hai.

    Aur ab chothi aur akhri qabil e tawajoh baat. Wo ye hay k jis pr baz okat ikhtelaf b ho jata ha k
    Baaz log ye kehtay haen k jesay koi shakhs ye kahay K ye Sheikh Abdull Qaadir Jillaani ki kheraat ha to ye ghair Allah ka naam le liya gya. Aur jis pr Ghair Allah ka naam le liya jay to wo cheez haram ho jati hay kyun k Allah Ta'ala ne haram cheezon ki jo tafseel biyan ki hay..
    Quraan pak mein aik jaga frmaya hay..

    Wa maa uhilla bi ghairillaha
    Tarjama ye ha k yani,
    *Aur wo b mana ha Jis pr Allah k ghair ka naam pukara gya ho.*

    ab wo log ye kehtay haen kay is pr b Allah k ghair ka naam le liya gya, is liay ab ye b ghair ullah ho gya, nam iska hoa to, ghair ullah ka nam ho gya
    Lekin yahan ham agr daira e adab me rehtay hoay baghair kisi firkay ki numaindgi krtay hoay jo haq aur sharah hay ya haq ka masla hay Wo agr yahan pr btaen to wo ye hay.
    Yaha pr *maa* ha k *Wa ma ohila, behi Lay Ghairillah*
    Aur wo jo pukara gya ho, us pr Allah k ghair ko,
    ab yahan *ma* se murad kia hay
    Ab yaad rakhiay jitnay b mufasereen ki tafseer utha k parh laen, apko 99% mufasereen yehi kahaen gay k yahan *Maa* se muraad janwar ha kyun k Allah Ta'ala ne kufaar k rad me nazil frmai thi. Aur kufaar ka tareeka ye tha k button k naam pr janwar ziba krtay Thay

    Aur phr janwaron ko lita kr yon kehtay thay
    Uzar k naam pr, manat k naam pr aur is trah churi phair kr zibah krtay thay.
    Goya k bawaqt e zibah, us zabeeha pr ghair Allah ka naam pukartay thay, na k *Bissmillah* *ALLAH O akbar*. To is wjha se Allah Kareem ne rad farma dya k ye janwar khana b halal nai ho ga agar is pr ba waqt e ziba Allah k ghair k naam ko pukara gya ho.

    Lekin agr koi ye kahta ha k *Maa* sy muraad khas zabeeha nai letay
    Balkay hr cheez kyun k *Maa* se muraad *jo* hota ha, to jo b dunia ki tmam cheezaen aa jaen gi jis jis cheez pr Allah k ghair k nam ko pukara jaya ga wo mana ho jaye ga.
    Lehaza niaz pr b ghair Allah ka nam pukara gya hay ,jesay kaha gya hay, mansoob kaha gya hay
    Jesay kaha gya haye falan ki niaz hay to ye b haram ho gya hay

    Ab agr ye wala mani le liya jaye to daira e adab k ander ye sawal b zaroor hona chahiay k ab ye btayen k qurbani ka janwar jb aik shakhs le kr ata ha to us se poocha jata ha k ye kis ka janwar hay.
    To ab kia kehtay haen, ab kia wo ye kehta hay k ye Allah ka janwar hay..
    Ab phr to agla shakhs kahay ga Allah ka hay to mjhe hi day do..
    ab aisa hay jo qurbani ka janwar laya jata ha to uska naam us pr liya jata hay jiska wo hota hay.
    Akram sahb ka janwar hay, afzal sahab ja janwar hay,
    Sheikh sahab ka janwar hay, to ab btaiay k is janwar pr ghair Allah ka naam pukar liya gya to ab halal rhay ga ya haram rhay ga... sochiye...


    Agr ap kahen k halal rhay ga bataye k Ayat to ye keh rhi ha k hr wo cheez jis pr Ghair Allah ka naam le liya gya wo haram hay
    To phr ye kesay halal ho jaye ga.

    To kia qurbani k janwar ko kisi b shakhs ki tarf mansoob kr dya jaye to wo halal rhay ga aur agr kehnay ko jo Allah ki raza k liay, Esaal e sawab zaahir krnay k liay, kisi ka naam liya gya us pr to us ko Ghair Allah ki taraf mansoob kr dya jaye ga aur usay haram keh dya jaye ga.


    Aur khasoosan agr hm dekhaen, Hazrat Saad RA ne jo koo'an k oper, name plate b lagwa di thi. To aik trah se Umm e Saad,
    Saad ki maan k liye to Wo b esaal e sawab ko mansoob kr rhay haen na apni walda ki taraf. aur is trah unka koonwaen pr apna ya apni walida ka naam likhwa dena to ye b ghair Allah k naam ki tarf mansoob hua

    To ab Kia kunwaain ko ghair Allah ki tarf mansoob kr dya gya. Aur ab is kunwaain ka pani b halal ha ya haram hy. ye faisla Hoga.

    To aisay mukhtasir ye k ye koi bara jhagra nai hy aur iska agr khulasa dekhaen to sirf itna niklta hay kay nazar niaz krna mustahib amal hy. Krein gay to sawab milay ga nai kraen gay to ghunah nai hay.
    Aur is ka sahi concept ye hona chahiye k Allah k liay khana bnaen aur surf qasad o irada ye ho k Allah k kisi naik banday ko ham sawab isaal kr rhy haen to phr koi harj nai hay.
    Khana samnay rakhna b koi farz ya wajib nai hay agar bas dil me irada kr laen to b niaz ban jaye gi. Agr koi sunat ki niyat se khana samnay rakhay aur Quraan b parh lay to b koi harj nai hay.
    To umeed hay k ye nazar niaz wala wazeh ho gya Hoga

    Ab rahi manat. To manat b sirf Allah k liay ho. K agr kisi masla ya kisi wjha se manat manni b hay to aisay kahen kay
    Aey Allah agr mera falan kaam ho gaya to meim TERI raza ki khatir maslan roza rakh loun gi, nafal parh loun gi, Hajj kr laen gay, ghareebon ko khana khilaen gay tou ye manat sharai manat kehlati hay.
    Last edited by Admin-3; 09-21-2017 at 02:53 PM. Reason: Too much gap between paragraphs

  3. #3
    Senior Member
    Join Date
    Feb 2017
    Posts
    150
    Thanked: 2
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Baki jo manaten log mazaarat ja kr mantay, ya ghr me beth kr mantay haen, to unko urfi mantaen kehtay haen, k hmaray haan wo sirf rawaj pa gai haen.
    Haqeeqatan shari manat nai ha wo

    Aur bilfarz agr wo kam ho b jata ha, ya wo mant poori ho jati ha, to wo jo manat mani thi, usko poora krna b koi wajib nai ha
    To wo jo ibadat ki 10 qisme hm ne idhr btai, aur phr us k hwalay se k ibadat me kisi ko shareek na krnay k maani kia hotay haen, us k hwalay me bataya, k na kisi ki mohabat Allah k braber, na khof is k baraber , na umeed, na bharosa Allah k misal ho. Na kisi ko ita'at o khidmat or kam ko itna zroori smjhay jitn akisi ibadat ko

    Na Allha ki trah kisi ki manat manain, na Allah ki trha kisi dosray k samnay mukamal ajzi o inkasari k izhaar kraen, na wo afaal kisi dosray k liay kraen,
    Jo insani ijzo inksari ki alamat ha, jesay Rakoo, Sajda.. to ye daira ab is pr mukamal hota hay.

  4. #4
    Senior Member
    Join Date
    Feb 2017
    Posts
    150
    Thanked: 2
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Aisay Tafheem Ul Quran me hay, ibadadat ka lafz arbi zuban me teen ma'no me istemal hoa ha

    🌷1. pooja aur pastish,
    🌷2. Ita'at aur farman bardari
    🌷3. Bandagi aur ghulami

    Ab is maqam pr bayak waqt teeno muraad hayn
    اِیَّاکَ نَعۡبُدُ
    Yaha pr teeno murad haen
    K hm Teray paristaar haen, farmaan bardaar haen, aur banda o ghulam haen
    Aur ye sirf itni hi bat nai hy k hm Teray sath ta'aluq rkhtay haen balkeh waqayi haqeeqat ye hay k hamara ta'luq sirf Teray hi sath hy



    In 3 ma'ano me b koi dosra hamara Maabood e Haqeeqi nai hay aur hamara Teray sath ta'aluq ibadat ka hi nai hay balkeh istaanat ka taaluq bhi Teray saath hay.
    Ham istaanat ka taaluq bhi Teray sath hi rakhtay haen, hamain maloom hay k saari kaiynat ka Rub Tu hi hay aur sari hi taaqtaen Teray hi hath me hain aur sari hi nematon ka bhi Tu hi akela hi Maalik hay.

    Isi liay ham apni hajaton k liay bhi Teri hi taraf rajoo krtay haen, Teray agay hmara hath phelta hay aur Teri madad pr hi hamara aitebar hay isi bina pr hm apni ye darkhuast le kr Teri khidmat me haazir ho rahay haen.
    Yahan pr jo lafz اِیَّاکَ
    jo maf'hool se pehlay laya gy hay aur phr isi ko dohraya gya ha,
    اِیَّاکَ نَعۡبُدُ وَ اِیَّاکَ نَسۡتَعِیۡن

    To phr isi ko dohraya gya hay takay iski ehmiyat wazeh ho jaye aur ibadat aur talab, madad, Allah hi k liay makhsoos ho jaye.




    To is jumlay k ma'ni ye hoay k hm Teray siwa kisi ki ibadat nai krtay aur na kraen gay..
    Teray siwa kisi pr bharosa nai krtay aur na kraen gay, kaamil ata'at aur pooray deen ka hal, sirf yehi do cheezaen haen .. baaz Salf Saleheen farmatay haen keh saray Quraan ka raaz, Soorah e Fatiha me hay, aur poori Soorah Fatiha ka raaz isi ayat اِیَّاکَ نَعۡبُدُ وَ اِیَّاکَ نَسۡتَعِیۡنُ
    me hay.
    Ayat k pehlay hisay me shirk se bezaari ka ailaan hay aur doosray hisay me apni taqaton aur quwaton k kamal ka inkaar hay aur Allah ki taraf apnay tamam kaamon ki sapurdgi hay.
    Quran e Pak me aik aur jaga b isi mazmoon ki ayaat haen.
    Aik jaga irshad hota hay,

    Soorah Hood ki ayat hay kay,
    "To Ap b is ki ibadat kijiay air is pr bharosa rakhiay aur nahi hay Apka Rub be khabar is se jo tum log krtay ho"

    aur frmaya,
    قُلۡ ہُوَ الرَّحۡمٰنُ اٰمَنَّا بِہٖ وَ عَلَیۡہِ تَوَکَّلۡنَا
    Soorah mulk ki ayat hay
    *Farmaiay, Bara hi Mehrban hay hum Is pr imaan laye aur Is pr hum ne tawakul kiya*




    Yani *farmiye k Wo mera Khaaliq bara hi Mehrban hay hm is pr iman laye aur is pr ham ne tawakul kiya*,
    in ayat ka ahaasil ye ha k momin apnay hr amal me aitemad aur bharosa na apni qabliyat pr kray aur na kisi dosray ki madad pr balkeh kaamil aitemad sirf Allah Ta'ala pr hona chahiay, Wohi Kaarsaaz e Mutalik hay beshak.

    Hazrat Ibn e Abbas R.A farmatay haen
    اِیَّاکَ نَعۡبُدُ k maani ye haen k
    aey Rub, Hm khaas Teri hi Toheed mantay haen, aur Tujh se hi dartay haen Teri Isi Zaat se umeed rakhtay haen, Teray siwa kisi aur ki na ham ibadat kraen gay, na darain gay, na umeed rkhaen gay.*
    Aur

    اِیَّاکَ نَسۡتَعِیۡنُ
    se muraad hay,
    k hm Teri aata'at aur apnay tamam kaamo me Tujh se hi mdad mangtay haen,

    Qatada RA farmatay haen, Matlab ye hay k
    Allah Ta'ala ka hukam hay k tum sab Isi ki khalis ibadat kro aur apnay tamam kaamon me Isi se madad mango.




    *اِیَّاکَ نَعۡبُدُ*
    ko pehlay lana isi liay hy k asal maqsood Allah ki ibadat hi hay aur madad krna ibadat ka waseela aur ehtemam aur us pr pukhtagi hay.

    Aur ye zaahir hay k ziada ehmiyat wali cheez ko muqadam kiya jata hay aur is se kam ko is kay baad laya jata ha darja ba darja.
    Aur dekha jaye to aisay hi hay kay jab hum ibadat kraen gay, Usay Ma'abood e Haqeeqi manaen gay yeh Uski Toheed ka iqraar hoga aur hm Us k banday ban kr Us k samnay aajazi aur inkesari me jhukay rahain gay to tabhi hamaray ander ye ehsas b us ehmiyat k sath bedaar ho ga k ab madad mangni hay to b Tujh hi se mangni hay.
    Ab madad mangni hay to sirf Tujh se hi mangni, aur Tu hi kray ga. To is liay pehlay hmaray ander *اِیَّاکَ نَعۡبُدُ* ka ehsas bedaar ho. Hm is per apnay yakeen k sath amal ki taraf qadam barhain to *اِیَّاکَ نَسۡتَعِیۡنُ* ka ehsas uthta hay aur phir be'ikhtiyar dil pukar uthta ha k hum Tujh hi se madad mangtay hain
    Aur isi اِیَّاکَ نَعۡبُدُ وَ اِیَّاکَ نَسۡتَعِیۡنُ
    k hwalay se Zia Ul Quran ki tafseer hay. Us me bhi bht khobsoorat btaya gya hay.




    Tasfeer Zia ul Quran mein bhu bht bhtreen trha sy isko wazeh kiyaaa gaya hay k..
    Aisa hay kyun k Allah k zikar o sifat k bad yee ayat wazeh krti hay k
    aitiqad Yaa aqeeda amal par muqadam hay.

    Ibadat ka qabool hona behtreen aqeeday pr inhisaar krta hay, asy hi hay k jaisy yahan kaha gya hay ab k ham TERI hi ibadat krty hayn.

    Tou ibadat ko yahan daikha jaye to lughat aut tafseer ki kitaab mein had darjay ki ajzi aur inkisarii ka hukm diya gya hay.

    Mufasereen iski misaal sajday sy bhi daity hein lekin sirf sajda ho to nai hay ibadat ki halat e namaz ki tamam harkat o saknat ibadat hay.

    Jaisy k qiyam, rukooh, rukooh k bad hath chor k khary hona, sajda, baithna, phir attahiyaat, akhir k dayen bayen salam phairny tak sab ibadat hi hein,
    lekin ab agar yee kaha jaye k ibadat had darjaa ki ajazi aur inkisari k akhri martaby ka naam hay or wo akhri martaba sajday ka hi hay to phir kia baki sb cheezain ibadat nai hein?
    Aisa to tasawur bhi nai kiya ja skta.




    Tou ab yahan ye farq smjhna hay k agar ye sb mutalikan ibadat hein to asy to agar koi shagird apny koi ustad ya baap k samny hath bandh k khara ho jaye unki amad par ya phir un k samny do zano ibadat baithy to kia ye kehna durust hoga k is nay apny baap Yaa ustad kii ibadat ki ya ma'bood bna liya? Hargiz nahin. Allah hamain maaf farmaye.
    Tou Ab bhala kon si cheez hay jo in harkaat o skanat koo jab ye namaz mein hon to ibadat bana dytiii hay or isi tarha qayam mein khary hony ko or is tarha do zano baithny ki or dayen bayen munh phairny tak kii ajazi or inkisariii k akharii martaby tak inko pohancha dytiii hay or agr ye jo amour hein yee namaz sy kharij hon to na in mein bilkul ajazi r inkisariii ho, khushoo ho, to ibadat tasawer nai ki jati.

    Tou is mein farq ki waja aik hi hay jo ye hay k jis zaat k liye jis k samny ye afa'al kiye ja rhy hein US kay mutalik apka aqeeda kia hay.

    Agar Hm us zaat ko Allah or Ma'abood e Haqeeqi maanty hue yehi imaan o yaqeen rakhty hein k WO hi zaat e yakta Allah yani ma'abood e haqeeqi hay to yee ab amal ibadat hein or in sb mein ajazi or inkisari payi jaye gi.




    Or agar ham usko Allah ka banda smjhty hein, na khudaa na khuda ka betaa na uski bivi na uska owtar phir sirf Hum usko Allah ka banda smjhty hein yee amal ibadat nahin kehlain gy.

    Haan albata inhain sirf ek tarha ehtiram o Tazeem kaha ja skta hay.

    Ab yahan ye yaad rakhna bhi bht zaroori hay k Shariyat e muhamdiyaaa mein ghair e khuda ko sajda e tazeemi b mana hay , ye sb smjh lainy sy bht achi tarha wazeh ho jata hay k behtreen aqeedy k sath Allah ki ibadat maqbooliyat pati hay.

    Allah ki zaat e pak k siwa koi bhi dosri shay aisi nai jiski ibadat sahrn r aqlan durust ho.




    Hamara Allah hi tamam tareefon kay laik hay
    Hmara Parwarish farmanay wala, Mehrban, aur intehai Rehm farmanay wala hay, yom e jaza ka Maalik hay, Wo hamara Apna Allah hay to ham Isay chor kr kisi ghair ki ibadat bhala kyun kraen? Hamara to Is k siwa koi ha hi nai, jiski parstish ki jaye to bas yehi kahaen aur manaen k koi nai hay Teray siwa, laaik e ibadatsirf aur sirf Tu hi hay. Quran b hamain yehi sikha raha hay k ham Teri hi ibadat krtay haen to is me Teri hi pr zor dya gya hay. Aisay k jesay is ko kehtay hoay ander bhi bol raha hota hay...
    Ehsas ki soorat dil se sada aa rhi hoti hay yakeen ki soorat k ham sirf Teri hi ibadat krtay haen aur is yakeen ki goonj se hmaray ander mehsoos hota hay k koi nai hay Teray siwa ibadat k laaik aur jab yehi yakeen ander isteqam pakarta hay to hotay hotay ander ki, ye dil ki dharkanon ki ghoonj sirf Teri hi tak reh jati hay aur Tu hi Tu ka wird aur wazeefa dil ki dharkan alaapnay lag jati haen aur apnay Ma'abood e Haqeeqi k Anwaar o Tajaliyaat me mustaharak ho jati hay.




    Is trah jesay k
    *اِیَّاکَ نَسۡتَعِیۡن*,
    Tujh hi se madad chahtay haen.

    Is me sikhaya gya hay k madad her trha se, bil wasta aur bila wasta, sirf aur sirf Allah k sath khas hay aur hamara Haqeeqi Madadgaar sirf aur sirf Allah hi hay, har tarah ki ista'anat,sirf Allah hi se hay kyun k Haqeeqi Mosta'aan sirf WO hi hay, baki tmam sirf asbaab haen. Is liay sirf Musabab ul Asbaab pr hi nazar rhay kyun k Allah hi Maalik aur Kaarsaaz e Haqeeqi hay is liay hr maslay, hajat aur hr kam k liay sirf Usi k samnay dast e sawal daraaz krtay haen, Usi se madad mangtay haen, magar ab iska ye matlab nai k aalem e asbab me rehtay hoay asbaab ko istemal na kiya jaye jesay bimari me ilaaj na kraen,
    Rizq hasil krnay k liay asbab baroo kar na la'ay jaye




    Aisay bas hath pay hath rakh kr beth jaen to Islam hamain ye tareeka e kaar nai sikhata kyun k Allah nay Apnay bandon k liay Apni marzi se ye asbaab o wasa'ail myhaya kiay haen aur in me un k liay faaida rakha hay.
    In asbaab ko aur wasaail ko barooay kaar latay hoay kisi b maslay ya hajat se nikalnay k liay rajoo krna in se koi ghalat nai hoga, haan bss itna ho k in se rajoo krtay hoay apni nazar sirf Allah ki marzi o manshaa se honay wali madad o nusrat pr hi jamaye rkhna hota hay.
    Kyun k aisay to dekha jaye to dua b kisi b mushkil aur hajat k liay bht taqat aur asar rakhnay wala sabab hay.
    Piaray Aaqa e Do Aalam (SAWW) nay farmaya k dua to taqdeer ko badal deti hay aur Allah ka Apnay mehboob bandon se wada ha k ajazi aur inkesari aur niazmandi se ki gayi dua ko zaroor sharf e qabooliyat bakhshay ga.




    Chanancheh Hadees e Qudsia hay jisay Imam Bukhari R.a aur deegar mohadesen ne rawayat kiya hay k Allah Ta'ala apnay maqbool bandon k liay irshaad farmata hay,

    "K agar Mera maqbool banda Mujh se mangay ga to me zroor uska sawal poora krun ga, aur agar wo Mujh se panah talab kray ga to Mein zaroor usay panah doon ga"

    to is trah khas tor pr ye wazeh ho jata hay k koi shakhs b agar Allah k mehboob bandon se khasoosan Habeeb e Kibrya Hazrat Mohammad Mustafa (SAWW) k huzoor me kisi naimat k hasool Ya kisi maslay me asani k liay dua ki darkhuast krta hay to ye b ista'anat bil ghair ya ghair Allah se madad mangna ya shirk nai hay balkeh...




    Haan ager kisi Wali ya shaheed ya Nabi k mutaliq kisi ka aqeeda yeh ho k mustkil bijat hai in k sath...
    Or khuda na chahay tab bhi yeh kr sakty hein to yeh shirk hay or aisa kehny wala mushrik hay.

    Is haqeeqt ko Hazrat Shah Abdulazai R.A ny nihayat tafseel k sath apni tafseer mein raqam kiyaa hay or is ka haasil shuda Moulana Muhammad ul Hasan Shahab ny apny hashiya quran mein in alfaz k sath biyan farmya hay k,
    Is ayat e shareefa sy maloom hua k US ki zaat e pak k siwa Kisi say haqeeqat mein madad mangna bilkul jaiz nhi hay.
    Han agar kisi maqbul bandy ko mehz wasta e rehmat e Elaahi or ghair mustakil smjh kar ista'anat e zahri sy dua kray to yeh jaiz hay or yeh ista'anat dar haqeeqt Allah ta'ala hi sy ista'anat hay or is tarha ki ista'anat tou saliheen e ummat ka humesha se ma'mool raha hay.

    Hazrat Shah Walli Ullah r.a Janab e Risalat Pak S.A.WW mein arz krty hein,
    tarjuma hay..
    *Ya Rasool Allah! Mujhy panah deny waly hein AAP, jab museebat toot parhy ur dill mein apny be rham panjy garh de.*

    Or bani daar ul allm diyoband bhi arz karty hein k,
    *Madad kar Ay karam Ahmedi (saww) k TERE siwaa nahi hai qasim bekas ka koi Haami e Kaar*

    Ye surah e fateha ki chothi(4th) ayet hai jis ka aik pehlu hamd o sanaa ka hay or dosra dua, darkhast ka hai.
    Is ki tafseer mukamal hoti hai.

Similar Threads

  1. Surat Un Naziyaat Ayat 15 Say 33 Tak Ki Tafseer
    By Admin-3 in forum 5. Surat Un Naziyaat
    Replies: 0
    Last Post: 01-04-2018, 08:04 PM
  2. Surat Un Naziyaat Ki Ayat 1 Say 14 Tak Ki Tafseer
    By Admin-3 in forum 5. Surat Un Naziyaat
    Replies: 0
    Last Post: 12-20-2017, 12:17 AM
  3. (Surat Al Naba Ayat 1 Say 16 Tak Ki Tafseer)
    By Admin-3 in forum 4. Surat Al Naba
    Replies: 0
    Last Post: 12-19-2017, 08:39 PM
  4. Surah Fateha Ki Aakhiri Ayat Ki Tafseer
    By Admin-3 in forum 3.Surah Fateha
    Replies: 0
    Last Post: 12-19-2017, 06:54 PM
  5. 4. Surah Fateha Ki 5th Ayat Ki Tafseer
    By Admin-3 in forum 3.Surah Fateha
    Replies: 0
    Last Post: 12-19-2017, 01:58 PM

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •