PDA

View Full Version : 12.Quran e Pak ko Sirf Mazhab par aik Kitab samjh k nai parha jaye



Admin-2
04-29-2017, 10:49 PM
💥 Title :
.Quran e Pak ko Sirf Mazhab par aik Kitab samjh k nai parha jaye
🌷💚🌷💚🌷💚🌷💚🌷💚🌷



🌷 Quran e pak ki samjh jis bhe tafseer ya tarjumy sy andr outarti hy tou ehsas jaagta hy.
Rooh saroor or taazgi mehsoos karti hy kabhe khushi sy lab muskaraty hein tou kabhe ehsas e sharmindagi or nadamat sy aankhon mein aansoo aa jaty hein.
Kabhe ehsas e ibrat hota hy or kabhe ehsas e shukar aa jata hy.
Tou is tarah jab rooh mein yeh ehsas outarta hy tou mukhtaltif ehsas jaagty hein.

🌷 Quran wo kalam hy jis ny Arab k pathreely paharon mein basny waly sang dil insano k dil bhe pighla deay. Is sy dil pighlaaye , garmaaye or narmaaye ja sakty hein.

🌷 Agar aisa nai ho raha tou is ka matlab hy k quran e pak ko parh k asal maqsad hasil ni ho raha.

🌷 Quran e pak ko sirf imazhab par aik kitab samjh k nai parhna shuru karna balky yeh Allah ka kalam Oss k Piary Habib S.A.WW par nazil hoa or yeh aik anmol.kitab hy. Is ko samjhna chahiye or jab hum is ko samjhna chahty hein tou koshish karain k pehly sy qaaim keay hoay koe raaye khiyal ya soch ko zehan sy nikal dain tou tab he hum ous k asal hasoosiyat or maqsad sy sahanaasai paa sakty hein or hamry leay is ko apni rooh mein outarna aasan ho jaey ga.


🌷 Quran e pak is no'eiyat ki kitab nai hy k Allah ny is ko sara bayak waqt likh kar Hazrat Muhammad SA.WW 💚 ko dy deya ho or kaha ho is ko ab shayaa kar dain or logon ko aik khas raah or rawiya e zindagi btaein or ous ki tarf in ko bulain..
Or is tarah ki kitab bhe nai hy k koi musanifaana andaz ho or kitab k mouzoo or markazi mazmoon k mutaliq is par behas ki gi ho..
Yehi wajah hy k is mein koe tasnifiii tartereb or koe kitabi tarz o tareeqa or koe kitabi asloob nazar nai aata.

🌷 Quran e pak aik bohat aala kitab hy is mein aik fikti hadood k andr ilm o aqal k hawaly sy samjhny ki pouri pouri ra'ayat rakhi gi hy magar Quran mein kisi baat ko bhe sabit karny k leay maroof ilmi or fani andaz nai ikhtiyar kiya geya.



🌷 Quran aik dawati kitab hy or is ka maqsad ilmi mutalaa paish karna nai hy balky is ka maqsad tazkeer o naseehat hy.

🌷 Quran ka maqsad aisy insan paida karna hy k jin ki fikri quwatein baidar hon or jo Quran sy roohani ghiza haasil karain or ibrat ki nigah sy dunia mein zindagi guzarein.

🌷 Quran is leay outara gaya k is sangeen masly sy aadmi ko bakhabar kary or os ko btaye k abhe is zindagi k bury anjaam sy bachny k leay hamein mojouda zindagi mein kia karna chahiye.

🌷 Quran k nazdeek haqeeqi imaan wo hy k jo rooh mein outar jaey jis mein aadmi k dil ki dharkanein bhe shamil ho jaein.

🌷 Quran namaz ko falah ka zariya batata hy agar quran k matloob wo namaz hy jo khashoo o khazoo ki namaz ho yeh nai k sehav ke namaz ho.

🌷 Quran chahta hy k log Allah ka zikar karain magar wo zikar nai jis mein sirf zaban ki takraar ho balky aisa zikar jis mein shouq ho khushi ho or bharpoor piar ho.

🌷 Quran k nazdeek qurbani bhe bohat bara amal hy magar wo qurbani nai jo sirf gosht or khoon k naam par ki jati hy magar wo qurbani jo aadmi k leay taqwa ka baes ban jaey.



🌷 Quran haqeeqat ki kitab hy. Wo insan k andar zinda amal daikhna chahta hy na k sirf zahiri adaab or qawaaid wala amal ho.
Beshak k wo ous amal ki bhe taleem daita hy lakin quran chahta hy k hum zinda amal karain.

🌷 Quran bandy ka aik tarah sy apny Allah sy maqam e mulaqaat hy.

🌷Quran chahta hy k aadmi sirf Allah sy dary or Ossi sy mohabat kary.

🌷Quran chahta hy k aadmi jahanam sy sy bhagy or jannat ki taraf doury.

🌷 Quran chahta k insan Allah ki azmat o kibreyaai k ehsas sy sarshar rahy or apny leay ousy aajizi or inkisaari k ilawa koe raah nazar na aaye.

🌷 Quran chahta hy k aadmi apny aap ko khudaai mission mein is tarah sy shamil kary k wo is ko apna zaati masla bana ly or is k leay apni zindagi sarf kar dy, waqf kar dy, sirf isi aik khawaish chahat or maqsad k leay apni zindagi laga dy.

🌷💚🌷💚🌷💚🌷💚🌷💚🌷