PDA

View Full Version : Question

Amina Saddique
02-23-2017, 11:26 PM
Aaj meri ek Group fellow se discussion hui ... Us ne kaha k ALLAH PAK or RASOOL AKRAM S.A.W.W se Mohabbat or aqeedat ho sakti hai ...
But Quraan e pak main ISHQ ka kahen nahi kaha gya k en Hasstiyoon se ISHQ Karen ...
He continuously criticse me ...
Meri es hawaale se guideline chahye

Haider
02-24-2017, 12:32 AM
Yh phly b samny aya tha sawal ek do dafa. Toe tb b is py search ki thori si isi trha samjhany k liay. toe mery knowledge mutabik (Allah koi baat opr neechay ho jae toe Maaf kary).
Ishq word basically use kiyya jata hy strong feeling of love k liay. Jiss k liay ap yh jazbaat rakhty ho, wo ap k liay above all ho jata hy.
Wesey Ishq as word:
Urdu mein Ishq ko ek pure feeling of love towards anything liyya jata hy. Us love mein strong feeling aur belief shamil hota hy.
Turkish mein yhi Ishq is trha Aşk likha jata hy kyun k is mein jo s type hy wo 'sh' ki trha sound krta hy. Aur Turkish mein b isko restrictive use nhi kiyya jata, balkay love ki forms k liay use kiyya jata hy.
English mein isi trha Love kaha jata. Ishq toe nhi na.

Ab Arabic ka dekhain toe wahan HUB use hota hyna. Yh piyar k liay hy. Modern Arabic mein ab word HUBBA use hota hy.
Jesey Quran mein وَالَّذِينَ آمَنُواْ أَشَدُّ حُبًّا لِّلّهِ ko e dekhain toe iska mtlb sirf piyar nhi balkay BHTT HE ZIADA PIYAR KRTEY HAIN ka hy.

Toe is trha dekha jae toe Ishq koi alug cheez nhi. balkay piyar ka e ek level hy, k jiss mein insan apni jaan, maal, aulad, hr cheez sy ziada mehboob kr leta hy kissi cheez ko.
Toe yhi demand to Hadees e Mubarka mein hy. Jesey ek hadees e mubarka me share krta:
نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا تم میں سے کوئی شخص ایماندار نہ ہو گا جب تک اس کے والد اور اس کی اولاد اور تمام لوگوں سے زیادہ اس کے دل میں میری محبت نہ ہو جائے۔

Sahih Bukhari# 15

Toe aesey lafz py arain toe yh just objection e ho ga na. lakin agr iski sense py jaen toe bhtt e khoobsurat hy.

Mjhy khud b again is p search kr k maza aya. Infact aesey ek mazy ki cheez mili k
Ishq k bary concept hy k jb yh Dil mein jagha banna letta hy toe Allah k elawa hr cheez is sy asr andaz hoti hy.

Is py aur b search karon ga In'sha'Allah aur yahan share karoon ga..

Is py baki b apna point of view ya knowledge share krna.

Niaz Ali
02-24-2017, 08:31 AM
ishq search karnay say nahi miltaa hay ishq key aik apni dunia hay aor ishq muhabat same hay bus thorax farq hay kah ap muhabat sab say kartay ho but ishq main aaaa Kay insane sirf us aik ka hi ho jataaa hay ishq main ap sirf usi ka hi sochtay ho us key pasand na pasand etc to ishq kisi jagah nahi likha Millay gaaa yeh dil Kay ehsas ka name hay kah dil main ap ka ishq kitna hay

Musafir
02-24-2017, 09:56 AM
وَالَّذِينَ آمَنُواْ أَشَدُّ حُبًّا لِّلّهِ
Bhai ye aap ny bohat acha bataya
Shiddat ke muhabat bus aik sy

Musafir
02-24-2017, 09:58 AM
Bhai barri piyari baat kahe aap ny k ishq search karnay sy nahi milta...
Ye hay k ishq k hawalay sy search karney pr buhat kuch mil jata hay

Haider
02-24-2017, 10:13 AM
ishq search karnay say nahi miltaa hay ishq key aik apni dunia hay aor ishq muhabat same hay bus thorax farq hay kah ap muhabat sab say kartay ho but ishq main aaaa Kay insane sirf us aik ka hi ho jataaa hay ishq main ap sirf usi ka hi sochtay ho us key pasand na pasand etc to ishq kisi jagah nahi likha Millay gaaa yeh dil Kay ehsas ka name hay kah dil main ap ka ishq kitna hay

Niaz bhai, apny theek kaha. Me search Ishq word py kiyya tha k word ka origin, meaning, yh kiss trha aur kiss jagha aur kiss sense mein aya..

Kyun k jo is py sawal uthaty toe wo yhi uthaty k WORD kyun nhi ayaaaa...... toe is lia word py search ki zarorat pari :)

Yaheen dekhain toe shid'dut ki mohabbut ki baat toe aagai hyna :) aur isko special kaha gea hy.

Rah Ghuzar
02-24-2017, 08:40 PM
Bht acha sawal haye naan aur mostly yeh aysa sawal haye jo sab kay samnay ata rehta haye friends & family circle mein naan ata haye lazmi ata haye...

Beshak Quran e pak mein exact Ishq word nahi aya ho,,, laikin yeh ayse e haye jesay quran mein tmaam 1 lakh 24 kay naam nahi aye,, laikin wo HAQ hain naan.... ayse e Ishq ka direct zikar nahi aya par *Shiddat ke sath Muhabbat* ka zikar tu aya haye naan jesay Musafir nain bataya,

وَالَّذِينَ آمَنُواْ أَشَدُّ حُبًّا لِّلّهِ : Chapter Name:Al-Baqra Verse No:165
Shiddat ke muhabat bus aik sy

Aub muhabbat tu hoti haye naan tu isk tu different levels hoty hain, jesay kahein par hum demands kartay hain, agar pori hoan tu bharti jatii aur naan pori ho tu hum phans jatay hain aur phr aik aysa level hta haye jahan par hum har cheez say har ghars say beloss ho kar bas kartay jatay hain aur yehii shiddat hoti haye aur issi ko hum Ishq kehtay hain....

Aub yeh shidddat ki muhabbat hi thi naan jis naien Hazrat Bilal R.a ko taptiii raitoan par sakhtiyaan jhailnay ka janoon diyaa,,, issi shiddat ki muhabbat naien Hazrat Abu Bakar ko wo beloss honay ka janoon diya kay sari raat Ghar e Hira meinn samp ka katna sehtay rahay,,, yehhi tu shiddat hay naan aur isssi ko ishq kehtay hain....

yeh sirf lazfoan ka khair phair haye,, jesay aub Suraj koo Shams be k tu aub kia laug Suraj ki haqeeqat aor ahmeyat ko manana chor dega??? yeh tu sirf lafoan ka hair phair haye... tu behtreen tu yehi haye k lafzoan k khair phair mein parnay ki bujaye usk maqsad ko pakra jaye...

Tu behtreen yehi haye naan k hum ksi ko force nahi kartay k wo Ishq e karay,,, balkay yehh tu insaan par aik farz haye,, imaaan ki aik shart haye ke wo shiddat say chahye Piyaare AQQA S.A.W.W jesay ke hadees e mubarika mein haye;

نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا تم میں سے کوئی شخص ایماندار نہ ہو گا جب تک اس کے والد اور اس کی اولاد اور تمام لوگوں سے زیادہ اس کے دل میں میری محبت نہ ہو جائے۔

Sahih Bukhari# 15

yehhi shiddat haye k har cheez say bhar kar UNKO chahaa jayee..... aur yehhhiii Shiddat Bhari muhabbat ki haqeeqat haye :)

Musafir
02-24-2017, 09:29 PM
Waah je waaah kaidiiiyaan sohnrriyaaan misaalaan
Bohaaaat aalla discussion is topic par

Pakhiwaas
02-25-2017, 02:50 AM
بچپن میں ہماری مسجد میں ایک مولوی صاحب آئے، اس دور میں ، میں بھی یہ سمجھتا تھا کہ عشق لفظ بیہودہ ہے۔ وجہ اس کی یہ تھی کہ کبھی کوئی یہ نہیں کہتا کہ میں اپنی بہن کا عاشق ہوں اپنی ماں کا عاشق ہوں۔۔ یہی چیز مجھے کھٹکتی تھی کہ اتنا ہی اچھا لفظ ہے تو ماں کے ساتھ شدت کی محبت کے باوجود یہ لفظ ہم کیوں نہیں کرتے استعمال۔۔اس لیے آقا علیہ السلام کے لیے بھی یہ کہنا کہ میں حضور کا عاشق ہوں غلط ہے۔ اب بہن ماں کے لیے کیوں یہ لفظ اردو میں استعمال نہیں ہوتا اس کا جواب اردو کے محققین ہی دے سکتے ہیں۔۔
باقی عشق عربی کا لفظ ہے لیکن قرآن میں اس کا ذکر نہیں ہے نہ ہی آج کل کے عرب لوگ اس کا ذکر کرتے ہیں زیادہ۔۔۔وہ حب لفظ استعمال کرتے ہیں۔۔باقی عشق لفظ کا مطلب انتہا درجے کی محبت ہے جس کے بعد عاشق کا اپنا وجود معدوم ہو جاتا ہے اور معشوق ہی معشوق کے جلوے باقی رہ جاتے ہیں۔۔۔

Haider
02-25-2017, 07:07 PM

Bilkul sahi kaha.
Is point ko agr dekhain tow yh ek word hy, lakin iska mtlb 2 different tareeka sy liyya ja skta hy.
Jesy
Humary ek relative hain, wo apny son sy bht e ziada piyar krty hain, unki life us baitay k gird ghoomti aur us k liay un ko apni seehut ya kissi b cheez ki parwah nhi hoti, toe hum sb unko kehty hain k apka Ishq apka baita hy.
Lakin waheen hum maa baeti k liay use nhi krty,,, kyun,,,kyun k hum wahan careful ho rahy hoty hain,,, kehlain toe conscious ho rahy hoty hain k koi isko kissi aur context mein na ley jae.

Ab aesey dekha jae toe lrky lrkio k liay b Ishq ka word use hota hyna toe kaha jata hy k yh aj kal koi Ishq wagera nhi, yh sb dramy hain, Ishq aur cheez hy.

IS Ishq word py debate bht hoti hy, lakin conclusion nhi nikalta aksr, bcoz ek e word hy, kuch logon k liay bhtt special, pure feeling ka naam hy, aur kuch logon k liay nhi...