User Tag List

Results 1 to 1 of 1

Thread: 4:Hazoor Nabi Akram S.AWW Ke Dawat e Haq k Mukhtalif Marahil

  1. #1
    Administrator
    Join Date
    Feb 2017
    Posts
    1,587
    Thanked: 5
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)

    4:Hazoor Nabi Akram S.AWW Ke Dawat e Haq k Mukhtalif Marahil

    Title : Hazoor Nabi Akram S.A.WW ka aaghaaz e daawat


    Allah ny Arab k sheher Makaah Mukarmah mein Apnay Piyary Habeeb Hazrat Muhammad Mustafa S.A.WW ko Pegambari ki khidmat k liye muntakhib kiya or Inhain hukam diya k apny sheher aur Apny kabilay yani Quresh sy is dawat ki ibtada karayn.

    Ye kaam shuru karny ky liye aghaz mein jin hidayaat ki zaroorat thi Hazoor Nabi Akram S.A.WW ko sirf wohi de gyin or wo hadiyaat ziyada tar in 3 mazameen phr Mushtamil theen

    1.Hazoor Nabi Akram ﷺS.A.WW ko is baat ki taleem di k wo khud Apny Aap ko is Azeem o Shaan kaam k liye kis tarah sy tayar karayn or kis tarz phr ye kaam karain.

    2. Haqeeqat e Illahiya k mutalik ibtadayi maloomat or is k bary mein in tamaam Ghalat Fehmiyoon ki mukamal tardeed jo gird o paish logo mein payi jati theen jin ki waja sy un logo ki raah or Rawaiyaa galat ho rahy thy.

    3. Sahi Raah or Rawaiya ki taraf ki dawat dena or hidayat e Illahi k in buniyadi Asool o Ikhlaaq ko biyan karna jin ki parvi ma insan k liye falah hay.


    "Quran e Pak sy Dawat ka ibtadaai marhala"


    Ibtadai marhaly par dawat ka kaam:

    Shhuru mein ye paghamaat jo thy ibtadai dawat ki munasbat sy chand chotay chotay mukhtasar sy boloun par bhi mushtamil hoty thy

    Jin ki zaban nahayat shusta, shireen or nahayat pur Asar or mukhatub k mizaj k mutabik bhatareen rang liye hoti thi.
    Takay diloon mein ye boul teer or Nishtar ki tarah paiwast ho jayn or kudh'ba'khud kaan in k taranum ki waja sy in ki taraf mutawaja houn or zubanayn in k husn e tanasub ki waja sy be'ikhtayar ho kar inhain dohranay lagyn.

    Phr in pheghmaat mein makami rang bhi ziyada numaiyan tha. Agarchy ye bashak Alamgeer sadakatain bayan ki ja rahi theen, magar inky liye dalail o shawahed, misalayn, sab kuch in qareeb tareen mahoul sy li gyi theen jin sy mukhateb log achi tarha sy manoos thy.



    Inhi ki tareekh, inhi ki rawayaat, unhe ki roz marah k mushahidaat mein anay walay asaar or unhi k aitakadi or ijtamayi kharabiyoon par saari guftagu thi, taky wo is sa asar lay sakain.

    Dawat ka ye ibtadayi marhala takreeban 4,5 saal tak jari raha, or is marhalay mein Hazoor Akram SAWW ki tableegh ka rad'e'amal in 3 soortoun mein zahir hua .

    1. Chand kuch saleh Aadmi is dawat ko qabool kar ka ummat e Musalma Ban'nay k liye tayar ho gye.

    2. Ek qaseer tadad jahalat ya khudh'garzi ya abayi tareekay ki mohabbat ki waja sy mukalifat par aamadah ho gyi thi.

    3.Makaah or Quresh sy nikal kr is nayi Dawat ki awaz nisbatan ziyada waseeh halkay mein pohanchnay lag gyi thi.


    :
    Quran E Paak sy Daawat ka doosra Marhala

    Ab daawat ka doosra marhala shuru hua.
    Yahan sy is marhalay mein islam ki is tehreeq aur purani jahiliyat k darmiyan aik sakht kashmakash barpa hui.
    Jiska silsala taqreeban 8,9 saal chalta raha.

    Na sirf Maqqah mein, na sirf Qabeela Quresh mein, balkay Arab k baishtar hisso mein bhi, jo loug purani jahiliyat ko barqarar rakhna chahty thy, wi is tehreeq e dawat ko mita dene par tull gye.

    Unhu ne isa dabanay k liye saray harbay istamal kiye, jhootay propogandas, ilzamat, shubhaat aur aitrazat ki bhouchaarr krdi.

    Awaam un naas k dilo mein tarah tarah k waswasay daalay, na'waqif logo ko Hazoor Nabbi Akram SAWW
    Ki baat sun'nay sy roknay ki koshishain ki gyin.



    Islam qabool krnay walo par nihayat wehshiana zulm o sitam dhaye gye, unka muaashi aur muasharti boycott kiya gya aur unko itna tang kiya gya k unmein se bohat sy loug, 2 dafa apnay ghar chour kar Habsha ki taraf hijrat kar janag par majboor hogye aur aakhir kaar unko teesri baar Madina Munawarah ki taraf hijrat karna parri.

    Lekin is shadeed muzahmat k bawajood ye dawat o tehreeq roz barooz zour pakarti gyi, phailti gyi.

    Makkah mein koo ghar aisa na raha k jiskay kisi na kisi fard ny islam qabool na krliya ho.
    Ziada tar mukhalifeen e islam ki dushmani mein shiddat aur talkhi ki waja bhi yehi thi k inkay apnay bhai,betay, betiyan, bhateejay, behnain, behnoi dawat e Islam k na sirf pairokar ban gye, balkay jaan nisaari mein agay barhnay wakay hogye.


    Aur is waja sy inkay apnay dil aur jigarr k tukkray he insay jab barsar e paikar honay ko tyar hue to unmein shiddat aur talkhi ziada agyi.

    Ab phir lutf aur maza ye k jo loug apni purani jahikiyat sy toot toot kar is taraf aa rehe thy, wo pehle bhi jo unki society thi wahan uskay betareen loug samjhy jatay thay

    Aur is dawat o tehreeq mein shaamil hony k baad wo itnay naiq, itnay Raast baaz aur itnay Pakeeza Ikhlaaq Insan ban jatay thay, k dunia is dawat ki bartari ko mehsoos kiye baghair reh he nai sakti thi.

    Jo aisy logoun ko apni taraf is tarah khainch rahi thi aur inhain kuch sy kuch bnati ja rahi thi.

    Is taweel aur shadeed kash makash k doran mein Allah Hasb e Moqa, Hasb e zaroorat, Apnay Piyare Nabbi Hazrar Muhammad Mustafa SAWW par aisay pur josh khutbay aur paighamay nazil karta raha jismein dariya ki si rawani, Sailab ki si quwat aur tund o taiz aag ki si taseer hoti thi.



    Un khutboun mein aik taraf Ehl e Eman ko, unkay ibtadayi faraiz btaye gye aur unjay andar aik jamati shaour paida kiya gya aur inhayn taqwa aur Fazeelat e ikhlaaq aur pakeezgi e seerat ki taleem bhi dee gyi.

    Unko deen e Haq ki tableegh k tareeqay bhi btaye gye.
    Kamiyabi k waadoun aur jannat ki Basharatoun sy unki himmatain bandhayi gyin.

    Unhain sabar o istaqamat sy aur buland hosalgi sy Allah ki raah mein jidd o Jehad krnay par ubhara gya aur fidaa aur nisaar honay ka aisa zabardast josh aur walwala inmein baidar kiya gya k wonhar museebat jhayl janay aur mukhalifat k barray barray toufanoun ka muqabla krnay ko tyar hogye.



    Aur doori taraf mukhalifeen aur raah e raast sy moun morrnay walo aur ghaflat ki neend sonay walo ko in qoumoun k anjaam se daraya gya jinki tareekh se wo khud bhi waqif thay

    In tabah shuda bastiyo k aasar sy ibrat dilayi gyi jinkay qhandraat sy (jab shab o roz wo safar krtay thay) unka wahan sy guzar hota tha.

    Touheed o aakhirat ki daleelain, un khuli khuli nishaniyo se unki dee gyin jo din raat zameen o aasman mein unki aankho k saamnay wazeh aur numayan theen aur jinko wo khud apni zindagi mein har waqt dekhty aur mehsoos krty thay.



    Unkay shirq aur unkay inkar e Aakhrat aur unki jo abao ajdad ki taqleed ki ghaltiyan aisy bayan dalail sy wazeh ki gyin jo inkay dil ko lagty thay aur unkay dimagh mein bhi utar janay walay thay.

    Phir inkay aik aik shub'hay ko rafah kiya gya. Aik aik aitraz ka maqool jawab diya gya, aik aik uljhan jismein wo khud parray hue thay ya wo us uljhan mein doosroun ko bhi uljhanay ki koshish krty thay, usko bhi saaf kiya gya.

    Aur har taraf sy ghayr kar jahikiyat ko aisa tang pakkra gya k aqal aur hosh ki duniaa mein uskay thehernay ki jesy koi jaga na rahi ho.

    Iskay sath phir unko Allah k ghazab aur qabar ki aur qiyanat ki holnakiyon aur jahanum k azaab ka khouf dilaya gya,


    Iskay sath phir unko burray ikhlaaq aur ghalat tarz e zindagi aur jahilana rasoom o riwaaj aur dushmanian, uspar unhayn malamat ki gyi.

    Aur ikhlaaq o tamadun k wo barray barray buniyaadi Asool unkay saamnay paish kiye gye jin par hemesha sy Allah k pasandeedah aur Saleh tehzeeboun ki tameer hotu chali aa rahi hay.

    Ye dawar o tableegh ka marhala khud mukhtalif manziloun par mushtamil tha. Jismein har manzil mein daawat ziada sy ziada waseeh hoti chali gyi. Sath sath jidd o jehad aur mazahmat bhi ziada sakht hoti chali gyi.

    Mukhtakif aqaid aur mukhtalif tarz e amal rakhnay walay garoohoun sy sabqa paish aata raha.
    Aur isi k mutaliq Allah ki taraf se anay walay paighamat mein mazameen ki nou'iyat bhi barhti chali gyi.

    Te hay Quran e Majeed ki Makki sourtoun ka pash e Manzir.




    Title : Quran e Pak sy Dawat ka teesra marhala...


    Ab Makkah mein is tehreek ko apna kaam krtay huay 13 saal guzar chukay thay kay achanak Madina mein unko ek aisa markaz mil gya
    Jahan us kay liye ye mumkin ho gya kay Arab kay tamam hisson sy apne mannay walon ko ek jaga akatha kr kay taqat ko ek jaga jamma kr lay.

    Tou isliye Hazoor Nabi Akram (SAWW) aur Aap kay man'nay walay hijrat kr kay Madina pohnch gaye.
    Is tarha ab ye dawat ka aur tableegh ka kaam "Teesray marhalay" mein dakhil hua.

    Is marhalay mein halaat ka naksha bilkul badal gya
    Ummat e Musalma ek baqaida riyasat ki buniyad dalnay mein kamiyab hogyi
    Purani jahliyat kay jitnay bhi alambardar thay unsy mussalah muqabla shuru hua..
    Pichlay ambiya ki ummaton yani yahood aur nisara thay
    Unsy bhi sabqa paish aya
    Khud ummat e musalma kay androoni nizaam mein mukhtalif kisam kay munaafiq bhi ghus aaye, Unsy bhi nipatna para...
    Aur 10 saal ki shadeed kash makash sy guzar kr akhir kaar ye tehreek kamiyabi ki is manzil pr pohnchi..
    Kay sara Arab uskay zair e nageen aa gya.
    Aur alamgeer dawat o islaah kay darwazay uskay samnay khul gaye.



    Is marhalay ki bhi mukhtalif manzilain thin...
    Aur hr manzil mein is tehreek ki mukhtaluf zaruratain thin
    In zaruraton kay mutabiq Allah ki taraf sy aisy paighamaat Hazoor Nabi Akram (SAWW) pr naazil hotay rahay...
    Jin ka andaz kabhi taiz khitabat ka hota tha , kabhi shahana farameen o Ehkaam ka hota tha, kabhi mu'alamana dars o taleem ka hota tha, kabhi muslihana afhaam o tafheem ka hota tha..

    In paighamaat mein bataya gya kay jamat aur riyasat ki tameer kese ki jayee..
    Zindagi kay mukhtalif sho'bon ko kin asool o zawabit pr qaim kiya jaye..
    Munafiqeen sy kia salooq ho..
    Kafiron sy kesa bartaao ho..
    Ehl e Kitaab sy talukaat ki noyiat kia rahay..
    Barsar e Jang jo dushman hayn unsy aur mukhtalif qomon kay sath jo mu'aahida hay us mein kia tarz e amal ikhtiyar kiya jaye aur munazim Ehl e Emaan ka ye grouh duniya mein Allah ki khikafat kay faraiz anjaam dene kay liye apne aap ko kis tarha tayar kray..

    .

    In paighamaat mein ek taraf musalmanon ki taleem o tarbiyat ki jaati thi
    Aur inki kamzoriyon pr tambeeh ki jaati thi , unhain raah e haq mein jaan o maal sy jihaad krnay pr ubhara jata tha...
    Unhain shikast o fatah , museebat k rahat, khush haali o bad haali, aman o khof , gharz hr haal mein uski munasibat sy ikhlikiyat kay dars diye jatay thay
    Aur unhain is tarha sy tayar kiya jata tha kay wo Hazoor Nabi Akram (SAWW) kay baad Aap kay jaan nasheen ban kr is dawat aur islah kay kaam ko anjaam de sakain...

    Dusri taraf in logon ko jo daira e emaan sy baahir thay
    Yaani ehl e kitaab , munafiqeen, kufaar aut mushriqeen.. sab ko unki mukhtalif halaton kay lihaaz sy smjhanay aur narmi sy dawat dene, sakhti sy malamat o naseehat krnay , Allah kay azaab sy darany aur sabaq amoz waqiyaat o ehwaal sy ibrat dilanay ki koshishain bhi ki jaati thin..
    Takeh un pr hujat tamam kr di jaye..
    Ye hay Quran e Majeed ki Madni Sooraton ka pas e manzar.
    Last edited by Admin-2; 04-29-2017 at 07:18 PM.

Similar Threads

  1. Replies: 0
    Last Post: 04-29-2017, 10:53 PM

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •