💥 Title : Quran e pak ka aik andaz.
🌷💚🌷💚🌷💚🌷💚🌷💚🌷

Quran ek dawat kay sath utarna shuru hua, aur wo dawat apnay aghaaz sy le kr apni intahayi takmeel tak taees (23) saal ki mudat mein jin jin marhalon mein aur jin jin manzilon sy guzarti rahi unki mukhtalif noiyat ki zaruraton kay mutabiq Quran kay mukhtalif hissay nazil hotay rahay..

Phir is dawat ki taraqi kay sath sath Quran kay jo chotay aur baray hissay nazil huay wo bhi risaalon ki shakal mein shaiya tou nai kiye jatay thay , balkay taqreeri shakal mein biyaan kiye jatay thay na..
Aur issi shakal mein agay phailaye jatay thay ,,
Isliye inka jo asloob e biyaan , tarz e biyaan hay wo tehreeri nai tha balkay khitabat ka andaz e asloob tha inka
aur ye khitabat bhi aisy nai kay jese koi professor lecture deta hay ..
Balkay ye dawat kay khutbon jesi thi..
Jese dil aur dimaagh, aqal aur jazbaat ..hr ek nay isko qabool krna hota hay na, dawat hoti hay.
Jis ko hr tarha kay zehnon sy paala bhi agay parna hota hay..

Jisay apni dawat o tableegh aur amli tehreer kay silsilay mein be shumaar mukhtalif halaton mein kaam bhi krna parta hay..

Hr mumkin pehlu sy apni baat dilon mein bithaani , khayalat ki duniya badalna , jazbaat ka sailaab uthana, mukhalifaton ka zor torna, sathiyon ki islaah o tarbiyat krna aur in mein josh aur azam ko ubharna , dushmanon ko dost aur munqiron ko mo'tarif banana..
Mukhalifeen ki hujjat munkata krna aur inki ikhlaqi taqat ka istehsaal kr dena..
Gharz isay wo sab kuch krna hota hay jo ek dawat kay alambardaar aur ek tehreek kay rehnuma kay liye zaruri hota hay..

Isliye Allah nay is kaam kay silsilay mein Apne piaaray Habeeb Hazrat Muhammad (SAWW) 💚 pr jo paighamaat naaizl farmaye unka tarz e khitabat bhi wohi tha.
Jo ek dawat kay munasib e haal hota hay..
Isliye is mein college kay lectures ki tarha ka andaz nai milay ga kisi ko bhi.