💥 Title : Quran e Pak mein Mazameen ke takraar.


Quran e pak mein mazameen ki taqrar bhi hay..
Kyun kay ek dawat aur amli tehreer jis waqt jis marhalay mein bhi ho is mein wohi batain kahi jaati hayn jo is marhalay ki munasibat rakhti hayn..

Aur jab tak dawat kisi ek marhalay mein rahay tou baad kay marahil ki baat tou nai chairi jaati , balkay issi marhalay ki baaton pr zor diya jata rehta hay

Chahay kay is mein chand maheenay lag jayen yaa kayi saal lag jayenn..

Agar ek hi qisam ki baaton ko ek hi ibarat aur ek hi dhang pr kiya jata rahay tou aisy zada tar hota hay kay kaan thak jatay hayn , tabiyat ukta jati hay

Isliye ye bhi zaruri hay kay hr marhalay mein jo baatain baar baar kehni hon unhain hr baar naye alfaaz aur nayi aan baan kay saath kiya jaye
Naya andaz apnaya jaye..
Takeh nihayat khush gawar tareeqay sy dilon mein baat bethti jaye aur is tarha dawat ka hr marhala aur hr manzil achi tarha mustahikam hoti jaye.



Ab is kay sath ye bhi zaruri hota hay kay dawat ki buniyaad jin aqaid aur jin asoolon pe ho unhain pehlay qadam sy le kr akhir tak kisi bhi marhalay mein , kisi bhi manzil pr nazron sy oujhal nai honay diya jata..

Yehi wajha hay kay dawat kay ek marhalay mein Quran ki jitni sooratain nazil huin.

Un mein ek qism kay mazameen, andaz aur alfaaz badal badal kr aaye hayn..
Magar Touheed aur Sifaat e Elaahi , Akhirat aur iski baaz purs, jaza o saza , risalat aur emaan bil kitaab , taqwa aur sabar o tawakul , issi qism kay dusray buniyaadi mazameen ki taqrar pooray Quran mein nazar aati hay
Kyun nay is tehreek kay kisi marhalay mein bhi in sy ghaflat tou gawara nai ki jaa sakti..

Agar ye buniyaadi tasawuraat zara bhi kamzor ho jatay tou Islam ki ye dawat o tehreek apni asal rooh kay saath na chal sakti.