💥 Title :
"Nazol e Quran k hisaab sy Quran e Pak muratab na karnay ke hikmat."
🌷💚🌷💚🌷💚🌷💚🌷💚🌷



Tarteeb e Quran kay hawalay sy yahan pr wazeh hota hay kay
Hazoor Nabi Akram (SAWW) nay Quran ko ussi tarteeb kay saath muaratab kyun na kiya jis kay sath wo nazil hua tha..

Tou aisa hay kay 23 saal Quran ka Nazool is tarteeb sy hota raha , jis tarteeb sy dawat ka aghaaz aur uski taraqi hoti rahi badtadreej..

Ab zaahir hay kay dawat ki takmeel kay baad in naazil shuda ajza kay liye wo tarteeb kis tarha darust thii bhala..
Wo tou darust ho hi nai sakti..
Jo sirf dawat kay sath hi munasibat rakhti thi us waqt ki..
Ab tou in kay liye ek aisi tarteeb darkaar thi jo takmeel e dawat kay baad ki soorat e haal kay liye zada munasib ho..

Kyun kay ibtada mein is kay mukhalif awal wo log thay jo Islam sy na ashna thay..
Is liye tab bilkul nuqta e aghaz sy taleem o tarbiyat shuru ki gyi
Magar takmeel e dawat kay baad tou iskay mukhatib awal wo log ho gaye jo is pr emaan laa kr ek ummat ban chukay thay
Aur is kaam ko jaari rakhnay kay zimedaar qarar paaye thay..
Aur jisay Hazoor Nabi Kareem (SAWW) nay nazariye aur amal , dono hesiyaton sy mukamal kr kay Inkay hawalay kiya tha..



Isliye ab behtar ye cheez hogyi kay pehlay ye log khud apne faraiz sy, apne qawaneen e hayat sy aur in fitnon sy jo pichlay paighambron ki ummaton mein runuma hotay rahay hayn un sb sy achi tarha wakif ho lay phir Islam sy be gana aur ghafil duniya kay samnay Allah ki hidayat paish krnay kay liye agay ko barhayn..

Aur agar aadmi samjh lay achi tarha tou is pr khud hi ye haqeeqat khul jaye gi kay ek ek tarha kay mazameen ko ek ek jaga jama krna Quran kay mizaaj sy mutabiqat hi nai rakhta.

Is kay mizaaj ka tou taqaza yehi hay kay is kay parhnay walay kay samnay Madni marhalay ki batain Makki dor wali taleem kay darmiyaan
Aur Makki Marhalay ki batain Madni dor wali taqreeron kay darmiyaan , aur ibtada ki guftaguyen aakhir ki talkeenaat kay beech mein aur aakhri dor ki adaiyaat aghaz ki taleemaat kay pehlu mein baar baar aati chali jaayen..


Takeh Islam ka poora manzar aur naksha uski nigah mein rahay aur kisi waqt bhi wo yak rukha na ho jaye..

Aur agar Quran ko iski tarteeb e nazool pr muratab bhi kiya jata tou wo tarteeb baad kay logon kay liye tou issi soorat mein hi ba ma'ani ho sakti thi na kay jab kay Quran kay saath uski ayaton aur sooraton kay saath poori tareekh e nazool aur uski ek ek juzw ki Kefiyat e Nazool aur Shaan e Nazool bhi likh kr di jaati..
Aur wo lazmi tor pr Quran ka ek zameema sa ban kay rehti...

Aur ab ye baat is maqsad kay tou khilaaf thi jis kay liye Allah nay Apne kalam ka ye majmooa muratab aur mehfooz karaya tha..
Kyun kay wahan ye paish e nazar tha , kay khaalis paigham e Elaahi baghair kisi dusray kalam ki amaizish ya shamool kay apni mukhtasir aur khalis soorat mein muratab ho
Jis ko bachay , jawan , boorhay, aurat ,mard , shehri ,dihaati, aam khaas aalim sbb parhainn
Hr zamanay mein ,hr jaga aur hr halat mein parhay
Aur hr martaba aqal o danish ka insan kam az kam ye baat zarur jaan lay kay is ka Allah is sy kia chahta hay aur WO kia nai chahta..

Ab zahir hay kay ye maqsad haasil nai ho skta tha agar majmooa e Kalam e Elaahi kay saath ek lambi chorhi tareekh bhi lagi hoti.
Aur Is ki tilawat bhi laazmi kr di jaati..
Isliye kalam e Elaahi ko is tarteeb e Nazool kay saath muratab kiya gya.