💥 Title :
"Maojuda Tarteeb e Quraan Ba'Hukam e Elaahii."
🌷💚🌷💚🌷💚🌷💚🌷💚🌷



Tarteeb e Quran ki ek khaas baat yahan ye bhi hay kay..
Ye baad kay logon ki di hui nai hay..
Balkay khud Allah ki hidayat kay tehat Hazoor Nabi Akram (SAWW) nay Is Quran ko muratab farmaya tha.

Isi tarha sy jab koi surah naazil hoti tou Aap (SAWW) usi waqt Apne kaatibon mein sy kisi ko bulatay aur isko theek theek tarha sy kalam band krwa denay kay baad hidayat bhi farma dete thay kay ye surah falaan surah kay baad aur falaan surah sy pehlay rakhi jaye.

Aur isi tarha agar Quran ka koi aisa hissa nazil hota jis jo mustakil surah nai banana hota tha tou Aap (SAWW) hidayat farma dete thay kay isay falaan surah mein falaan maqaam pr darj kiya jaye..



Phir issi tarteeb pr Aap (Saww) isay khud bhi namaz mein aur dusray mawaqay pr bhi iski tilawat farmaya krtay thay aur issi tarteeb kay mutabiq Sahaba e Karam R.A bhi isay yaad krtay thay.

Isliye ye saabit shuda haqeeqat hay kay Quran e Majeed ka Nazool jis roz mukamal hua usi roz iski tarteeb bhi mukamal hogyi..

Jo is ka naazil krnay Wala tha Wo hi isko muratab krnay Wala tha..
Jis kay kalb e athar pe ye nazil kiya gya tha..
Unhi kay haathon usay muratab bhi krwa diya gya tha.
Kisi dusray ki yahan majjaal nai thi kay koi mudakhilat krta.