💥 Title :
Quran e Kareem Mehz Mazriyat o khiyalaat ke kitab Nahi
🌷💚🌷💚🌷💚🌷💚🌷💚🌷



Quran e karim ko jitna or jitno baar parhty chaly jaein yeh andr aashnai k dar khoulta chala jata hy lakin jitna bhe fehm e quran hasul hota hy insan quran ki rooh sy aashna nai ho pata jab tak o amlan wo kaam na karyk jis k leay quran aaya hy.
Yeh mehz nazriyat o khiyalaat ke kitab nai k kaheein baith k isy sirf parh liya jaey or is ki sari batein samjh lain. Yeh duniya k aam tasawar e mazhab k mutabiq bhe nai hy k madrisy ya khanqahon mein baith kar parh lain or is k waheein baithy baitny sary ramouz o israar hasul kar leay jaein balky.....


yeh tou yeh tou aik dawat hy or dawat e tehreek ki kitab hy jis ny arab k aik intehaai khamosh tabah or nauk insan ko Allah k sy bhari hoe duniya k saamny oun k muqabil laa khara kiya, batil k khilaaf ous sy aawaz outhwaei or waqt k almbardaran e kufar o fasaq or zalalat sy Oun ko lara deya.

Har ghar sy aik aik paak or saeed rooh ko khainch khainch kar laaya or dawat e haq dainy walay Allah k piary Habib S.A.WW 💚 k jhandy taly jama kiya.

Goshy goshy sy aik aik fitna fasad karny waly ko bharka kar outhaya or haq k hamiyon sy jang karwaei.


Aik fard e wahid ki pukaar sy apna kaam shuru kar k khilafat e Ilahiya k qayam tak poury 23 saal yehi azeem ul shan kitab is tehreek ki rehnumai karti rahe or haq o batil ki is tawaeel or sakht kashmakash k doran aik aik manzil or aik aik marhaly mein is ny tehreek o tamerr k dhang or naqshy bataye tou phir kaisy mumkin hy k amli toar par yahan qadam he na rakhein.

Ma'arka islam or jehliyat k maidan mein qadam na rakhein or is kashmakash ki kisi manzil sy guzarny ka ittifaq he na hoa ho or phir yeh kahein k quran parh kar he is ki sari haqeeqatein benaqab ho jaein gi tou aisa hona mushkil hy..
Is k leay hamein amlan wo kaam karny party hein jis k leay quran e pak nazil hoa or is ko pouri tarah ous waqt samjha ja sakta hy jab is ko ly k hum dawat e ilal'lah ka kaam shuru karain.


Or jis jis tarah yeh kitab e hidayat raah daiti jaey ous tarah qadam outhaty jaeintab wo sary tajarbaat paish aaein gy jo nazool e quran k waqt aaye thy.

Macca o Taaif or Habsha ki manzilein bhe daikhi jaein gi or Badar o Ouhad sy ly kar Hunain o Tabouk tak k marahil bhe aap k saamny hon gy.
Abu jehal or Abu Lahab jaison sy bhe wassta pary ga.
Munafiqeen o Yahood bhe milein gy.
Sabqeein o Awaleein sy ly ka Mo'ala'fatul Qaloob tak sabhi insani namouny daikh leay jaein gy or barat leay jaein gy.

Yeh aik or he tarah ka salook hy jisy salook e qurani kaha jata hy or is salook ki teh shan hy k jis jis manzil sy guzarty jaei tou quran ki kuch aayatein or soratein khud bakhud saamny aa kar batati chali jaein gi k wo is manzil par outri theein or yeh hidayat ly kar aaei theein.

.
Is waqt yeh tou mumkin hy k lught o nehav or ous maani or biyan k nukaat nigah sy chuppy reh jaein lakin yeh mumkin nai k quran apni rooh ko saam y benaqab karny mein bukhal barat jaey.

Is hisab sy quran k ehkaam ous ki ikhlaqi taleemat, moshi or tamadani hidayat or zondagi kukhtalif pehloon k bary mein asool o qawanein ous waqt tak samjh mein aa he nai sakty jab tak oun ko wo amlan barat kar na daikh ly

Na wo fard is kitab ki samjh sakta hy jis ny apni infuradi zindagi ko is ki pairvi sy azaad rakha ho or na wo qoum is haqeeqat sy aashna ho sakti hy jis k sary he ijtimaaein idary is k banaye haoy tareeqon k khilaf chal rahy gon.