🌷💚🌷💚🌷💚🌷💚🌷💚🌷
💥 Title :
"Quran e Pak ka ruay-sukhan beshuk ziada tar Ehlay Arab rahay...
Par ye sirf maqami ya waqti nai bulkat bila shubhaa Bain Ul Aqwaami or Abdi hy."


Quran e pak tamam Bani nou insano k leay aaya hy lakin jab koe isy parhta hy tou oisy lagta hy k is ka rou e sukhan tou apny zamany k ehl e arab k he rasm o riwaj sy ta'aluq rakhta hy..

tou oun ko daikh kar insan sochny lagta hy k jo cheeze tamam insano ke hidayat k leay outari gi thee
tou is mein waqti, maqami or qoumi ansar itna ziada kion hy....???


Tou is moamly ki asal haqeeqat ko na samjhny ki wajah sy baaz log is shak mei par jaty hein k shayed yeh cheeze asal mein tou ous dour k arab ki islaah k leay aaei thee or baad mein isy khainch taan kar aam insan k leay or hamesha hamesha k leay kitab e hidayat qarar deya geya..

Ab jo bhe aitraaz braye airraaz nai karta balky savhaai k sath ous ko samjhna chahta hy tou ous k leay mashwara yeh hy
k wo pehly khud quran e karim ko parh kar oun maqamaat par nishan dahi karta chala jaey jaham ous ny koe aqeeda,khiyal ya tasawer paish kia ho ya koe aisa ikhlaqi asool ya koe amli qaaida o zabita biyan hoa ho no sirf arab k leay makhsoos ho or....

.

Jis ko waqt or zamany or maqam in teeno ny mehdood kar rakha ho.

Ab yeh baat k yeh aik khas zamaby k logon ko mukhatub kar k oun k mushrikana rawayat or aqaaid ki tardeed karta hy or ounhi k ird gird ki cheezon ko.... istamaal kar k toheed k dalaail qaim karta hy is baat par yeh faisla kat daina kaafi nai k is ki dawat sirf waqri or maqamii hy.

Daikhna yeh chahiye k shurk ki tardeed mein jo kuch quran kehta hy kia wo duniya k har shirak par aisy laago nai hoty jis tarh mushrakeen e arab par laago hota tha.

Kia inhi dalaail ko hum har zamany or har maqam k mushrikeen ke islaah k leay istamaal nai kar sakty.

Kia touheed k asbaat o iqrar k leay quran k is tarz ki thory rad o badal k sath har waqt har jagah kaam mein nai laaya ja sakta....?


Agar is ka jawab haan mein hy tou phir koi wajah nai k aik aalamgir taleem ko sirf is bina par waqti or maqami qarar deya jaey...
k aik khas waqt mein aik khas qoum ko khitaab kar k paish ki gi thee.

Kisi ikhlaqi or tamadni dawat o tehreek ko agar bain ul aqwami paimaany par laana maqsood ho tou ous k leay yeh bhe qatan zaroori nai hy k shuru sy he is ko bain ul aqwami banay ki koshish ki jaey.

Asal.mein is ka amli tareeqa sirf aik he hy k jin afkaar o nazriyat or asoloon par wo dawat o tehreek e insani zindagi k nizam ko qaaim karna chahti hy ounhein poori queat k sath khud ous mulk mein paish kiya jaey jahan sy dawat ka aaghaz hoa.
Oun logon ko zehn nasheen kiya jaey jin ki zaban,mizaaj or adaat o khasaail sy is tehreek k daaei bakhoubi waqif hon or....


Or phir apny he mulk mein in asolon ko amlan barat k or oun par aik kamyab nizam e zindagi chala kar dunia k saamny namouna paish kiya jae
tabhe dousri qoumeim is ki taraf tawajoo karain gi or oun k samjhdaar or zaheen aadmi khud aagy barh kar isy samjhny or apny apny mulkon isy riwaj dainy ki koshish karain gy.

Is leay mehz yeh baat k kisi nizam e fikar o amal ki intada'an aik he qoum k saamny paish kiya geya or ous ka zoor aik he qoum ko samjhany mein laga deya geya is baat ki daleel nai k wo nizam e fukar o amal bhe mehz qoumi hy.



Ab yahan aap ko wazeh kar k btaty hein k jo hasoosiyat aik qoumi nizam ko bain ul aqwami nizam sy or aik waqti nizam ko abdi nizam sy alag karti hein wo kia hein....
Wi yeh hein k qoumi nizam ya tou aik qoum ki bartri or ous k makhsoos haqooq k leay mudaei hota hy.
Ya apny apny andr kuch aiay asool.o nazriyat rakhta hy jo dousri aqwaam mein nai chal sakty.
Ab is k bar aks jo nizam bain ul aqwami hota hy wo tamam insano ko brabar ka darja or brabar k haqooq dainy k leay tayar hoa hota hy or is k asoloon mein bhe aalamgiriyat hoti hy.
Isi tarah sy aik waqti nizam lazmi toar parapni bunyad kuch aisy asoloon par rakhta hy jo zamany ki chand ult palton k baad tareeban na qabil e amal ho jaty hein or is k bar aks jo abdi nizam hota hy ous k asool tamam badalty haoy halaat k mutabiq set hoty chaly jaty hein.
In khasoosiyat ko nigah mein rakh kar koe shakhs khud quran ko parhy or in cheezon ko zara mutaeiyan karny ki koshish kary jis ki bina par waqee yeh guman kiya ja sakta ho k waqee quran ka paishkarda nizam waqti or qoumi hy.

🌷💚🌷💚🌷💚🌷💚🌷💚🌷