💥 Title:
Quran e Pak Juziyat ke Nahi balkay Kuliyat ke Kitab hy


Quran e pak k mutaliq yeh baat bhe ziada tar ki jati hy k yeh aik mufasil hidayat nama hy or kitab e aain hy..

Magar jab koe parhta hy tou is mein moashrat , tamadan, siyasat or maeishat waghira k tafseeli ehkam o zawabit ous tarah ous ko nai milty balkay wo yeh daikhta hy k namaz or zakat jaisy faraaiz sy mutaliq bhe jin par quran baar baar zor daita hy ous ny koe aisa zabita tajweez nai kiya jis mein tamam zaroori ehkaam ki tafseel darj ho..

Is leay yeh cheeze bhe zehan mein uljhan paida karti hy k aakhir yeh kis maani mein hidayat naama hy ,

is moamly mein sari uljhan sirf is leay paida hoti hy k insan ki nigah sy haqeeqat ka aik pehloo bilkul oujhal reh jata hy or wo yeh hy k Allah ny sirf kitab he naazil nai ki balky apna aik paighmber bhe mab'ous farmaya.


Ab agar aisa ho k aik naqsha e tameer logon ko dy deya jaey tou log ous k mutabiq khud imarat bana lain tou is sorat mein tou bila shuba tameer k aik aik juzv ki tafseel milni chahiye..

Lakin agar tameeri hidayaat k sath aik engineer bhe sarkari toar par muqarar kar deya jaey or wo in hidayaat k mutabiq aik imarat bana kar khari kar dy tou phir engineer or ous ke banaei hoe imarat ko nazar andaz kar k sirf naqshy he main tamam tar juziyat ki tafseel talash karna or phor ousy na paa kar naqshy ki na tamami ka shikwa karna tou ghalt hy.

Quran juziyat ki kitab nai hy balky yeh asool o kul'loyat ki kitab hy.

Is ka asal.kaam yeh hy k nizam e islami ki fikri or ikhlaqi bunyadon ko pouri wazahat k sath na sirf paish kary balky aqli dalaail or jazbati ehsas dono k zariye sy khoob mustahikam bhe kar dy.


Ab rahe islami zindagi ki amli sorat tou is moamly mein Quran insan ki rehnumai is tareeqy sy nai karta k zindagi k aik aik pehloo sy mutaliq tafseeli zabitay or qawaneen btaye..

Balky Quran har shouba e zindagi ka hadood arbaa bata daita hy or numayan taor par chand goshon mein sang e meel bhe kharay kar daita hy jo is baat ka yaqeen kara daity hein k Allah ki marzi k mutabiq in shoubon ki tashkeel o tameer kin khatoot par honi chahiye, in hidayat k mutabiq amlan islami zindagi k sorat gari karna Hazoor Nabi Kareem (SAWW) 💚 ka kaam tha.

Oun (SAWW) ko mamoor he isi leay kiya geya tha k duniya ko is ingiradi seerat o kirdar or is moashry or riyasat ka namouna dikha dain jo Quran k deay hoay asolon ki amli tafseer ho or Hazoor Nabi Akram (SAWW) ny aisa he kar k dikhya infiradi seerat o kirdar ki or moashry or riyasat ka bhe aik aisa namouna paish kar k dikhaya.