.
💥 Title :
"Wahi k baray mein wazaahat..."


Quran e Pak Hazoor Nabi Akram (SAWW) pr Wahi ki soorat mein naazil kiya gya hay.
Isliye sb sy pehlay Wahi kay baray mein humain thori si batain smjh laini chahiyen.
Ab jese hr musalman jaanta hay , hum nay peechay is tarha sy smjha hay , kay Allah nay insan ko duniya mein azmaaish kay liye bheja hay aur iskay zimay faraiz aaid kr kay poori kainat ko iski khidmat mein laga diya hay.

Isliye duniya mein anay kay baad 2 kaam insan kay liye bht zaruri hayn..

🌷 Ek ye kay wo is kainat sy aur is mein paida ki hui ashiya sy theek theek kaam lay.

🌷Aur dusra ye kay is kainat ko istamal krtay huay Allah kay ehkamaat ko mad e nazar rakhay aur koi bhi aisi harkat na kray jo Allah ki marzi kay khilaaf ho.



In dono kaamon kay liye insaan ko ilm ki zarurat hay, isliye jab tak insan ko ye maloom na ho kay is kainat ki haqeeqat kia hay, iski kon si cheez kay kia khwaas hayn , in sy kis tarha faida uthaya ja sakta hay.

Tou us waqt tak wo duniya ki koi bhi cheez apne faiday kay liye is tarha istamal nai kr skta aur jab tak isay ye maloom na ho kay Allah ki marzi kia hay, WO kon sy kaamon ko pasand krta hay kin ko napasand krta hay
Tou us waqt tak us kay liye Allah ki marzi kay mutabiq zindagi guzarna bhi mumkin nai hay.

Chananchay Allah nay insan ko paida krnay kay sath sath 3 cheezain aisi paida ki hayn jin kay zariye usay in baaton ka ilm haasil hota rahay.

🌷Ek.. insan kay hawaas , yaani aankh, kaan, mun , haath , paaon.
🌷Dusri, aqal.
🌷Aur teesri, Wahi.



Ab insaan ko bht si batain apne hawaas kay zariye maloom hoti hayn ,
Bht si aqal kay zariye..
Aur jo batain in zaraye sy maloom nai ho sktin unka ilm wahi kay zariye atta kiya jata hay.

Ilm kay in teeno zaraaye mein tarteeb kuch aisi hay kay hr ek ki ek khaas hadd aur ek makhsoos daira e kaar hay jis sy agay wo kaam nai deta.

Chanacheh jo cheezain insan ko apne hawaas sy maloom ho jaati hayn unka ilm sirf aqal sy nai ho skta..
Maslan deewar ko sirf aankh sy daikh kr ye ilm tou ho jata hay kay iska rang safaaid hay , lakin ab agar apni aankhon ko bund kr kay sirf aqal sy madad li jaye tou bhi is deewar ka rang maloom jrna chahain tou ye tou mumkin nai hay.

Issi tarha jin cheezon ka ilm aqal kay zariye haasil hota hay wo sirf hawaas kay zariye maloom nai ho sktin..
Ab maslan jese kay aankh st daikh kr yaa haath sy choo kr ye pata nai lagaya ja skta kay is deewar ko kis insan nay banaya hay..
Is baat kay nateejay tak pohnchnay kay liye aqal ki zarurat hoti hay.



Ab matlab ye kay jahan tak hawaas e khamsa kaam dete hayn wahan tak aqal koi rehnumayi nai krti.
Aur jahan hawaas e khamsa jawab de dete hayn wahan sy aqal ka kaam shuru ho jata hay.
Lakin is aqal ki rehnumayi bhi ghair mehdood tou nai hay na. Ye bhi ek had pe jaa kay ruk jaati hay.

Aur bht si batain aisi hayn jin ka ilm na hawaas kay zariye haasil ho skta hay aur na aqal kay zariye haasil ho skta hay.
Wo ye kay maslan , issi deewar kay baray mein ye baat maloom krna kay isko kis tarha sy istamal krnay sy Allah raazi hota hay aur kis tarha sy istamal krnay sy Allah naraz ho ga.
Ab ye na tou hawaas kay zariye sy mumkin hay aur na hi aqal kay zariye mumkin hay.

Isliye is qism kay sawalaat ka jawab insan ko dene kay liye jo zariya Allah nay muqarar farmaya hay ussi ka naam "Wahi" hay.
Aur is ka tareeqa ye hota hay kay Allah Apne bundon mein sy kisi ko muntakhib farma kr Usay Apna paighambar qarar de deta hay aur us pr Apna kalam naazil farmata hay , ussi kalam ko "Wahi" kaha jata hay.




Ab is sy wazeh ho gya kay Wahi insan kay liye Aaala tareen zariya e Ilm hay.
Jo isay iski zindagi kay mutaliq in sawalaat ka jawab muhayia krta hay jo aqal aur hawaas kay zariye hal nai ho sktay.
Lakin inka ilm haasil krna ek insaan kay liye zaruri hay.

Is say ye bhi wazeh hota hay, kay sirf aqal aur mushahida insan ki rehnumayi kay liye zaruri nai hay, balkay iski hidayat kay liye Wahi e Elaahi ek na guzeen zarurat hay.

Aur kyun kay buniyaadi tor pr Wahi ki zarurat paish hi us waqt aati hay jahan aqal kaam nai daiti. Isliye zaruri nai kay Wahi ki hr baat ka idraak aqal sy hi ho jaye.
Ab ye baat yaad rakhni hay.
Balkay jis tarha kisi cheez ka rang maloom krnay tak aqal ka kaam nahin , balkay hawaas ka kaam hay.

Isii tarha bht sy deeni aqaaid ka ilm atta krna bhi aqal ki bajaye Wahi ka mansab hay.
Aur unkay idraak kay liye sirf aqal pr bharosa krna darust nahin hay.



Ab jo shakhs (mu'aazAllah) Khuda kay, Allah kay wajood ka qail hi na ho tou us sy Wahi kay maslay pr tou baat krna hi be sood hay bilkul.

Lakin jo shakhs Allah kay wajood aur Uski qudrat e Kamila pr emaan rakhta hay uskay liye Wahi ki aqali zarurat , Uskay emkaan aur haqeeqi wajood ko smjhna mushkil nai hota.

Agar aap is baat pr emaan rakhtay hayn, jese kay hum sb rakhtay hayn, kay ye kainaat Qadir e mutliq nay paida ki hay , WO hi is marboot aur mustahikam nizaam ko Apni hikmat e baligha sy chala raha hay aur Isi nay insan ko kisi khaas maqsad kay tehat yahan bheja hay , tou phir ye kese mumkin hay kay US nay insan ko paida krnay kay baad bilkul andheray mein chor diya ho.
Aur usay ye tak na bataya ho kay wo kyun is duniya mein aya hay , yahan uskay zimay kia faraiz hayn , uski manzil e maqsood kia hay aur kis tarha apne maqsad e zindagi ko haasil kr skta hay.

Kia koi shakhs jisay hosh o hawaas salamat wala insan kehaty hayn aisa kr skta hay?
Kay apne kisi noker ko kisi khaas maqsad kay tehat safar pr bhi bhej de aur usko na chaltay waqt safar ka maqsad bataye , na baad mein kisi paigham kay zariye us pr wazeh kray kay usay kis kaam kay liye bheja gya hay aur safar kay doraan uski kia duty ho gi, wahan jaa kay uski kia duty ho gi.



Ab sochain kay jab ek mamooli aqal ka insan bhi ye harkat nai kr skta tou akhir Khuda wand e Qadoos kay baray mein ye tasawur kese kiyaa ja sktaa hay JIS ki hikmat e baligha sy kainat ka sara nizaam chal raha hay.

Ye aakhir kese mumkin hay kay JIS Zaat nay chaand , sooraj , sitaray, zameen, asmaan , siyarayy..
in sab ka aisa muhayiral ul aqool nizaam paida kiya hay WO Apne banday tak paigham risaani ka koi aisa intazam bhi nai paida kr sakay ga ?
Jis kay zariye insaanon ko unkay maqsad e zindagi kay mutaliq hidayaat di jaa sakayn..
Bhala aisa mumkin hay ?

Agar Allah ki hikmat e baligha pr emaan hay tou phir ye bhi man'na paray ga kay usne Apne bundon ko andheray mein nai chora, balkay unki rehnumayi kay liye koi baqaida nizaam bhi zarur banaya hua hay.
Bss rehnumayi kay issi baqaida nizaam ka naam Wahi o Risalat hay.

Is sy wazeh hota hay kay
Wahi beshak ek deeni aqeeda tou hay hi lakin iskay saath ek aqali zarurat hay jis ka inkaar dar haqeeqat Allah ki hikmat e baligha ka hi inkaar ho ga.