💥 Title : Hazor Nabi Akram S.A.WW💚 par Nazoul e Wahi ke Souratein...



Ab hay nazool e Wahii.
To is tarah hay k Wahii aur Rasalat ka ye muqadas Silsala, Sarkaar e Dou Alam Hazrat Muhammad Mustafa ﷺ💚 par khatam hogya.

Ab kisi insan par na wahii naazil hogi aur na he iski zaroorat rahi hay.

Hazoor Nabbi Akram ﷺ💚 par mukhtalif tareeqo se wahii nazil hoti thi.

Sahee Bukhari ki aik Hadees Mubarika mein hay, kay Hazray Ayesha Sadeeqa r.a farmati hayn k
. "Aik martaba Hazrat Haris bin Hasham r.a ny Hazoor Nabbi Akram ﷺ💚 sy poocha k Aap par wahii kistrah aati hay?
To Aap ﷺ ny farmaya k, kabhi to Mujhe ghanti ki si awaz sunayi deti hay, aur wahii k ye soorat Mery liye sab sy ziada sakht hoti hay, Phir jab ye silsala khatam hota hay tou jo kuch is aawaz ny kaha hota hay, mujhe yaad ho chuka hota hay. Aur kabhi farishta Mery samnay aik mard ki soorat mein aa jata hay.

Is hadees mein hazoor Nabbi Akram ﷺ💚 ny wahi ki aawaz ko ghantiyo ki aawaz sy tashbeeh di hay.



Sheikh Mohaoudin Ibn e Arbi r.a ny iska matlab ye biyan kiya hay k,
Aik tou ye k aawaz ghantiyo ki tarah jo hoti hay wo musalsal hoti hay, beech mein toot'ti nai hay,

Doosra ghanti jab musalsal bajti hay to amooman sun'nay walay ko iski aawaz ki simmat ka ta'ayi'un karna mushkil hojata hay kyu iski aawaz har simmat sy har jehad sy aati hui mehsoos hoti hay.

Aur Qalam e Ilaahi ki bhi ye khasoosiyat hay k iski koi aik simmat nai hoti. Balkay har jehad sy awaz sunayi deti hay.
Is kefiyat ka idraaq to baghair mushahiday k mumkin nai hay,lekin is baat ko aam zehnoun sy qareeb krnay k liye Aap ﷺ ny isay ghantiyo ki aawaz sy tashbeeh di.


Jab is tareeqay sy Hazoor Nabbi Akram ﷺ par wahii nazil hoti, tou Aap ﷺ par bohat ziada boujh partta tha.

Hazrat Ayesha Saddiqa r.a isi hadees k aakhir mein farmati hayn k, maine jarroun k din mein Aapﷺ par wahii nazil hoti hui dekhi hay, Aisi sardi mein bhi wahii ka silsala jesy he khatam hota,
Tou Aapﷺ ki mubarak paishani paseenay sy sharabour ho chuki hoti thi.

Aik aur riwayat mein bayan farmati hayn k, jab Aapﷺ par wahii nazil hoti tou Aapﷺ ka saans ruknay lagta, Chehra e Anwar mutaghayur ho kar khajoor ki shaakh ki tarah zard parr jata tha,
saamnay k daant sardi sy kap'kapanay lagty aur Aapﷺ itna paseena aata tha k iskay qatray motiyoun ki tarah dhalaknay lagty thay.

Wahii ki is kefiyat mein baaz ouqaat itni shiddat paida hojati k Aap ﷺ jis jaanwar par is wakt sawaar hoty wo Aapﷺ k boujh sy dabb kar beth jata

Aur Aik martaba Aapﷺ ny Apna Sar e Aqdas, Hazrat Zayd bin Sabit r.a k zaanoun par rakha hua tha, k isi haalat mein wahii nazil hona shuru hogyi.
Is st Hazrar Zayd r.a ki raan par itna boujh parra k wo tootnay laggi.



Baaz ouqaat isi wahii ki aawaz halki halki doosroun ko bhi mehsoos hoti.

Hazrat Umar Farooq r.a farmatay hayn k jab Aap ﷺ par wahii nazil hui to Aap ﷺ k Chehra e Anwar k qareeb shehad ki makhiyoun ki bhin'bhinahatt jesi aawaz sunayi deti thi.

Wahii ki doosri soorat ye thi k, Farishta kisi insani shakal mein Aapﷺ k paas aa kar Allah ka paigham pohncha tha.
Aisy moqay par Hazrat Jibrail a.s amooman, Mash'hoor Sahabi, Hazrat Wahiya Qalbi r.a ki soorat mein tashreef laaya karty thay.
Albata baaz ouqaat kisi doosri soorat mein bhi tashreef latay thay.

Behr kaif jab Hazrat Jibrail a.s insani shakal mein wahii leke aatay to nazool e wahii ki ye soorat, Hazoor Nabbi Akram ﷺ k liye sabsy aasan hoti thi.



Wahii ki teesri soorat ye thi k
Hazrar Jibrail A.s kisi insani shakal ko ikhtiyaar kiye baghair, Apni asli soorat mein dikhayi dety thay.
Lekin aisa Hazoor Nabbi Akram ﷺ ki tamam umer mein sirf 3 martaba hua hay.

Aik martaba jab Aap ﷺ ny khud Hazrat Jibrail a.s ko unki asli shakal mein dekhny ki khwahish zahir farmayi thi.

Doosri martaba Mairaj mein aur teesri baar Naboo'wat k bilkul ibtadayi zamanay mein, Makkah Mukarma k Maqam e Ajiyad par.

Pehle 2 waqiyaat to sahi sanad sy saabit bhi hayn, lekin ye aakhri waqiya sanadan thora kamzourn hay is waja sy kuc mashqooq bhi hay.



Wahii ki chouthi soorat, barah'e'raast aur bilaa waasta Allah sy ham'kalami ki hay.

Ye sharf Hazoor Nabbi Akram ﷺ ko baidari ki halat mein sirf aik baar, Mairaj k waqt haasil hua hay.
Albata aik martaba khwaab mein bhi Aapﷺ Allah sy ham'kalam hue hayn.

Wahii ki Paanchwi soorat ye thi k Hazrat Jibrail a.s kisi bhi soorat mein saamnay aaye baghair Aap ﷺ k Qalb e Mubarak par koi baat ilqaa farma dety thy,
Isay istalah mein, Nafaz'fir'rooh kehty hayn.
.