💥 Title :
".Tareekh e Nazoul e Quran Kareem."

🌷💚🌷💚🌷💚🌷💚🌷💚🌷



Alag tareekh e nazool e quran k quran e karin kalam e ilahi hy is leay azal.sy looh e mehfooz mein mojoud hy.
Phir looh e mehfooz sy is ka nazool 2 martaba hoa hy.

Aik martaba poury ka poura quran aasman e dunia k bait e iz'zat mein nazil kar deya geya.

Bait e iz'zat jisy bait e Mamoor bhe kehty hein. Yeh nazool Laila tul Qadar mein hoa.

Phir dousri martaba Nabi Akram S.A.WW 💚 par thora thora kar k hisb e zaroorat nazil kiya jata raha yahan tak k 23 saal mein ous ki takmeel hoe.



Nazool e quran ki yeh 2 sortein khud Quran e karim k andaz e biyan sy bhe wazeh hein.

Is k Nasaai, Behqii or Hakim waggiara ny Hazrat Abdulah bin Abbas r.a sy muta'adid rawayaat naqal ki hein jin ka khulasaa yeh hy k..
Quran e karim ka pehla nazool yak baargi aasman e duniya par hoa or dousra nazool batadreej Nabi karim S.A.WW par hoa.

Quran e karim ko pehli baar aasman e dunia par nazil karny ki hikmat Imam Abu Shamaa r.a ny yeh biyan ki hy k... is sy Quran karim ki Shaan e riffat ko zahir karna maqsood tha or malaika ko yeh baat batani thee k Allah ki aakhri kitab hy jo ehl e zameen ki hidayat k leay outari jany wali thee.


Sheikh Zarqani r.a ny yeh nuqta bhe biyan kiya hy k is k 2 martaba nazool sy yeh jatana bhe maqsood tha k yeh kitaab har shak o shuba sy bala tar hy or Hazoor S.A.WW 💚 k qalb e mubarik ilawa yeh 2 jagah or bhe mehfooz hy.

Aik Looh mehfooz mein or dousra Baitul Mamoor mein.

Is par taqteeban itifaq hy k Quran e Karim ka dousra tadreeji nazool Hazoor S.A.WW k qalb e mubarik par hoa or ous ka aaghaz ous waqt hoa jab Aap S.A.WW ki umer 40 saal thee.

Is nazool.ki ibtada bhe sahih qoul k mutabiq Laila tul Qadar mein hoe..
Or yehi wo tareekh thee jis mein chand saal baad Ghazwa e Badar paish aaya.
Lakin yeh raat Ramzan ki konsi raat thee is bary mein koe yaqeeni baat nai kahi ja sakti.

Baaz rawayat sy Ramzan ki 17wein baaz mein 19wein mein baaz mein 27wein shab mein bhe maloom hoti hy yeh tafseel ibn e jareer mein sy hy.


Hazor Nabi Akram S.A.WW par Nazoul e Wazhi ka aaghaaz
🌷💚🌷💚🌷💚🌷💚🌷💚🌷



Sahi qoul yeh hy k Nabi kareem S.A.WW 💚 par jo sub sy pehly aayaat nazil hoeein wo Surah Alaq ke tadaai ayaat hein.

Sahi Bukhari mein Hazrat Ayesha r.a is ka waqiya youn biyan farmati hein k,
Hazoor Nabi Akram S.A.WW par nazool wahi ki ibtada tou sachy khawabon k nazool sy hoe thee ous k baad Aap S.A.WW ko halwat mein ibadat karny ka shouq paida hoa or is doraan Aap S
A.WW ghar e Hira mein kae kae raatein guzarty or ibadat kiya karty thy...

Yahan tak k aik din isi ghaar mein Ap S.A.WW k pass Allah ki janib sy farishta aaya or ous ny pehli baat yehi kahe k Iqraa yani "Parho".

Tou Hazoor S.A.WW ny farmaya k main tou parha hoa nai hon.
Is k baad Nabi karim S.A.WW ny yeh waqiya khud biyan kiya k mery is jawab par farishty ny mujhy pakra or mujhy is zoor sy bheincha k mujh par mushaqat ki intehaa ho gi..



Phir ous ny mujhy chor deya or dobara kaha Iqraa , main ny jawab deya k main tou paraha hoa nai..
Is par ous ny mujhy teesri martaba pakra or bheinch kar chor deya.

Phir kaha,
"Parho apny parwardigaar k naam sy jis ny paida kiya insan ko munjmid khoon sy. Parho or tumhara parwardigaar sub sy ziada karim hy."

Yeh Apa S.A.WW par nazil hony wali pehli ayaat theein, is k baad 3 saal tak wahi ka silsila band raha.

Is zamany ko fitrat e wahi ka zamana kehty hein phir 3 saal k baad wohi frishta jo Ghar e Hira mein aaya tha Aap S.A.WW ko zameen o aasman k darmiyan dikhayi deya or os ny Surah Mudasir ki aayaat Aap S.A.WW ko sunaeein or is k baad wahi ka silsila jari ho geya.

🌷💚🌷💚🌷💚🌷💚🌷💚🌷