Title : Quran Pak ke 7 Haroof par Qir'aat ke ijazat k hawalay k malomaat.
💚🌷💚🌷💚🌷💚🌷💚🌷💚

Allah ny Quran Kareem ki tilawat mein aasani paida krnay k liye Ummat e Muhammadia ko aik ye sahoulat ataa farmayi thi,
K iskay alfaz mein mukhtalif tareeqoun se parhnay ki ijazat dedi.

Kyu k baaz ouqaat, Kisi shakhs se koi lafz aik tareeqay sy nai parha jata, tou doosray tareeqay sy parh sakta hay.

Saheeh Muslim ki aik Hadees mein hay k Hazoor Nabbi Akram ﷺ aik martaba, Banou Ghifar k taalab k paas tashreef farma thay k Hazrat Jibrail a.s aagye, aur Unhu ny farmaya k Allah ny Apko hukam diya hay k Aap Apni ummat ko hukam dayn k wo Quran ko aik he harf par parhay.
Hazoor Nabbi Akram ﷺ ny farmaya k,
Mai iski Allah sy Muaafi aur Maghfirat talab karta hu, Meri ummat mein iski taqat nai hay.



Phir Jibrail e Ameen dubara wapis aaye aur farmaya, Allah ny hukam diya hay k, Aapki ummat Quran e Kareem ko 2 harfoun per parhay.
Aapﷺ ny farmaya k mai Allah sy muaafi aur maghfirat mangta hu, meri ummat mein iski bhi taqat nai hay.

Phir wo teesri baar aaye aur farmaya k Allah ny Aapko hukam diya hay k Aap ki ummat Quran e Kareem ko 3 harfoun par pharhay,
Aap ﷺ ny phir frmaya k mai Allah sy muaafi aur maghfirat chahta hu,
Meri ummat mein iski bhi taqat nai hay.

Phir wo chouthi baar aaye aur farmaya k Allah ny Aapko hukam diya hay k Aapki ummat Quran ko 7 haroof per parhay.

Pas wo inmein sy jis harf per parhayn, inki qirrat darust hogi.
(Bahawala Manahil al Irfan)



Arab mein mukhtalif ilaaqoun aur qabiloun ki boliiyoun mein wesy he farq paaye jatay hayn jesy mulk mulk, sheher sheher aur zilay zilay ki boli mein farq hota hay,

Quran k awaleen mukhatib Ehl e Arab thay, jinki maadri zaban Arbi thi.

Agarchay sabki qabail ki mushtariqa zaban to arbi thi , Magar inkay lehjoun mein, talafuz mein aur baaz k airab mein fark tha.


Title : Quran Pak ke 7 Haroof Par Qir'aat sy kia muraad hy... is ke tafseel o wazaahat...
💚🌷💚🌷💚🌷💚🌷💚🌷💚

Ab 7 Haroof sy muraad, aur Un 7 nou'iyatoun sy kia murad hay.

To iskay liye aik Hadees e Mubarika hay.
K Aik Hadees mein Hazoor Nabbi Akram ﷺ ka irshad hay k,
"ye Quran 7 Haroof par nazil kiya gya hay, pas inmein st jo tumhare liye aasan ho, is tareeqay par parh lo"

Hazoor ﷺ k is irshad mein 7 haroof sy kia murad hay, is baray mein ehl e ilm k mukhtalif aqwaal hayn,
Lekin muhaqiq ulma k nazdeeq iska matlab ye hay k,
Quran e Kareem ki jo qir'ratain Allah ki taraf sy nazil hui hayn, unmein bahmi fark o ikhtalaf, qul 7 nou'iyatoun par mushtamil hay,
Aur wo 7 nou'iyatain ye hayn,


1. As'ma' ka ikhtalaf
Yaani jismein afraad, tasnia aur tazkeer o tanees dono ka ikhtalaf daakhil hay.
Maslan aik qirrat mein
تَمََّتۡ كَلِمَتُ رَبِّكَ
Ismein parhtay hayn.
Ab ismein كَلِمَتُ jo hay usmein meem ( م) par zabar hay.

Aur doosri mein تَمََّتۡ كَلِمٰتُ رَبِّكَ
Usmein (م) pe kharri zabar hay.

2. Af'aal ka ikhtalaf
Kisi qirat mein seegha maazi hay kisi mein muza'reh aur kisi mein amar.

Maslan aik qirrat mein
رَبَّنَا بٰعِدۡ بَیۡنَ اَسۡفَارِنَا
Aur doosri mein
رَبَّنَا بَعِّدۡ بَیۡنَ اَسۡفَارِنَا

Matlab baa (ب) pe kharri zabar thi. رَبَّنَا بٰعِدۡ ki
Aur doosri mein baa (ب) pe zabar thi lekin (ع) pe shadd thi.
To istraha ki ye Aff'aal ka ikhtalaf hay.

3. Wajooh e Aa'raab ka ikhtalaf
Jismein aa'rab ya zayr zabar paish ka fark paaya jata hay.

Maslan
La'yu'zaaar'ra Ka'ti'bun

Iski jaga hay
La'yu'zaaar'ru ka'ti'bun

ذُا الْعَرْشِ الْمَجِیْدُ

Zul'ar'shil'majeed'du

Uski jaga hay
ذُا الْعَرْشِ الْمَجِیْدِ
Zul'ar'shil'majeed'de

4. 💥 Alfaaz ki kammi baishi ka ikhtalaf

Aik qirrat mein koi lafz kam aur doosri mein ziada hota hay.

Maslan aik qirrat mein
تَجۡرِى مِنْ تَحۡتِہَا ٱلۡأَنۡهَـٰرُ.

Aur doosri mein hay
تَجۡرِى تَحۡتِہَا ٱلۡأَنۡهَـٰرُ

Ismein مِنْ nai hay.

5.💥 Taqdeem o Takheer ka fark
K aik qirrat mein koi lafz muqadam, yaani pehly
Aur doosri mein moukhir hay

Maslan
وَ جَآءَتۡ سَکۡرَۃُ الۡمَوۡتِ بِالۡحَقِّ

Aur doosri mein hay
وَ جَآءَتۡ سَکۡرَۃُ حَقِّ بِالۡمَوَۡتۡ

Ab doosri mein حَقِّ pehle aagya hay ۡمَوۡتِ sy

Aur pehli mein. حَقِِّ jo tha wo ۡمَوۡتِ k baad tha.



6.💥 Bad'liyat ka ikhtalaf
K aik qirrat mein aik lafz hay, aur doosri qirrat mein iski jaga koi aur lafz hay.

Maslan
نَنْشِزُهَا

Nan'shi'zu'ha

To doosri mein hoga

نَنْشُرُهَا
Nan'shu'ru'ha
......

Aik mein hay
فَتَبَيَّنُوا
Fata'bayi'ya'nu

Aur doosri mein hay
فَتَثَبَّتُو
Fata'sab'ba'tu.

......
Aik mein hay
Tal'hin

Aur doosri mein hay
Tal'in
...........

7.💥 Lehjoun ka ikhtalaf
Jismein tafheem, tarqeeq, amala, hamza aur adgham waghaira ka ikhtalafat dakhil hay.

Yani ismei lafz to nai badalta lekin parhnay ka tareeqa badal jata hay.

Maslan
مُوْسٰى
Ismein kharri zabar hay, seen (س)، chooti ye (ى) سٰى k oopar.

Isko doosri qirrat mein
Moo'sayi مُوْسَىْ.
ki tarah parha jata hay.
Ismein (س) pe zabar aur (ی) pe jazam hay.



Baharhaal, ikhtalaf e qirrat ki in 7 nou'iyatoun k tehet bohat si qirratain nazil hui theen
aur inkay bahimi fark sy, maani mein koi qabil e zikar farq nai hota tha.

Sirf tilawat ki sahoolat k liye inki ijazat de gyi thi.
Shuru mein kyu k log Quran e Kareem k asloob sy poori tarah waqif nai thay, isliye in 7 iqsaam k dairay mein bohat se qirratoun ki ijazat dedi gyi thi.

Lekin Hazoor Nabbi Akram ﷺ ka mamool tha k
Har saal Ramzan mein Jibrail e Ameen k sath Quran e Kareem ka daur kiya krty thay.
Jis saal Hazoor Nabbi Akramﷺ ka wasaal hua, is saal Aapﷺ ny 2 martaba dayr frmaya hay.
Is daur ko Arza e akheera kehty hayn.