💥 Title :
"Umm" kisay kehtay hein or Os ke khasoosiyaat."
🌷💚🌷💚🌷💚🌷💚🌷💚🌷



Hazrat Zaid Bin Sabit R.A nay zabardast ehtiyaat kay sath Ayaat e Qurani ko jama kr kay unhain kaghaz kay saheefon pr muratab shakal mein tehreer farmaya.

Lakin hr surah alehda saheefay mein likhi gyi. Isliye ye nuskha bht sy saheefon pr mushtamil tha.

Istalaam mein is nuskhay ko "Umm" kaha jata tha, aur iski khasusiyaat ye thin :-

🌷1. Is nuskhay mein Ayaat e Qurani tou Hazoor Nabi Akram (SAWW) ki batayi hui tarteeb kay mutabiq muratab thin , lakin sooratain muratab nai thin balkay hr soorat ek alag alag saheefay mein likhi hui thi.

🌷 2. Is nuskhay mein Quran kay saath haroof jama thay.
(Wo 7 Haroof jin ki tafseel pehlay apko batayi hay)

🌷3. Is mein wo tamaam ayatain jama ki gyi thin jin ki tilawat mansookh nai hui thi.

🌷4. Is nuskhay ko likhwanay ka maqsad ye tha kay ek muratab nuskha tamaam ummat kay ijamayi tasdeeq kay saath tayar ho jaye takeh zarurat parnay or iski taraf raju' kiya jaa sakay.

Ye nuskha Hazrat Abu Bakr Sadeeq (R.A) kay paas mojood raha, uskay baad phir Hazrat Umar Farooq (R.A) kay paas aur Un kay baad phir Hazrat Hifza R.A kay paas ye nuskha Madina Munawra mein mojood raha.