💥 Title :
"Maki or Madni aayaat or suratein kon se kehlati hein.."

🌷💚🌷💚🌷💚🌷💚🌷💚🌷



Aap ny quran e karim ki kafi sorton k unwan aisy daikhy hon gy jin mein kisi k sath Makki or kis kis k sarg Madni likha hota hy.
Is ka sahee mafhoom jaan laina hum sub k leay acha hy.

Mufasreen k istalah mein..
🌷 Makki aayatt wo hein hijrat e Madeena k waqt Madeena pohanchny sy pehly pehly nazil hoein
or...
🌷 Madni aayat ka mafhoom yeh hy k jo Aap S.A.WW k Madeena pohanch jany k baad nazil hoein.

Baaz log Makki ka matlab yeh samjhty hein k yeh shehar Makkah mein nazil hoein or Madni ka yeh k yeh shehar Madeena mein outreein lakin in ka yeh matlab nai hy is leay k kae aayat aisi hein jo shehar Makkah mein nazil nai hoein lakin choun k hijrat sy pehly nazil hoein theein is leay Makki sortein hein is tarah jo aayat Mina , Arfaat ya safar e Mairaaj mein nazil hoeein tou wo bhe Makki kehlati hein.

Yahan tak k jo aayaat safar e hijrat k doran Madeena k rassty mein bhe nazil hoeein oun ko bhe Makki kaha jata hy.



Isi tarah bohat si aayaat aisi hein jo shehar Madeena mein nazil nai hoeein magar wo Madni hein kion k wo hijrat k baad bohat sy jo safar paish aaty rahy hein tou Aap S.A.WW Madeena sy sainkron meel k safar par bhe jaty thy tou in maqamaat par bhe nazil hony wali aayaat ko Madni kaha jata hy.

Yahan tak k oun aayaton ko bhe Madni kaha jata hy jo fatah Makkah ya Ghazwa e Khudaibiya k mouqa par khas shehar e Makkah ya is k mazafaat mein nazil hoe theein.

Isi tarah baaz sooratein aisi hein jo pouri ke pouri Makki ya pouri ki pouri Madni hein maslan sorat Mudasir pouri Makki hy or sorat Al-Imran pouri Madni hy.
Lakin baaz martaba aisa bhe hoa hy k pouri sorat Makki hy lakin ous mein chand aik aayaat Madni bhe aa gi hein or baaz ouqaat is k bar aks bhe hoa..
maslan surah Al-Airaaf Makki hy lakin is kafi ziada aayat Madni hein isi tarah sorat Haj Madni hy lakin is mein chaar aayaat Makki hein.

Is sy yeh bhe wazeh ho jata hy k kisi sorat ka Makki ya Madni hona amouman is ko aayaton k aitbaar sy bhe hota hy or aksar aisa bhe hota hy k jis sorat ki ibtidaai aayaat hijrat sy pehly nazil ho gaeein ousy Makki qarar dy deya geya..
Agarchy baad mein is ki baaz aayaat hijrat k baad bhe nazil hoeein.

Is tarah is wazahat or tafseel sy hamary zehnon mein makki or Madni sorton or aayton k hawaly sy jo baat baitgi hy k yeh shayed Makka ya Madina mein nazil hoeein tou sub ka yeh point clear ho jaey ga.

🌷💚🌷💚🌷💚🌷💚🌷💚🌷