Title : "Israeeliyaat" or in ke Iqsaam
Bohat tafaseer mein israeeliyaat ka hawala deya jata hy is leay is ka bbe aap ko bataya hy
💚🌷💚🌷💚🌷💚🌷💚🌷💚

"Israaeliyat"un rawayaton ko kehtay hain jo ehl e kitab yani yahodioon aur esayon say ham tak pohnchi hain.

pehly zamanay ki mufasireen ki ye adat thi k wo kisi ayat k zail main hr qism ki wo rawayat likh daity thy jo unhn Sanad k saath pohnchti theen un main bohat sii rawayat israeliyaat b hoti theen issliay ab unki haqiqat say b waqif hona ab zarurii hy

Unki haqiqat ye hy k baaz Sahaba Karam (R.a) aur Tabieen pehly ehl e kitab k mazhab say taluq rakhty thy baad main jb wo musharaf ba islaam huaay aur Quran e kareem ki taleem haasil ki tu Unhn Quran kareem main pichlii ummaton k bohaat say wo waqiyat nazar aeey jo unhn ny apnii saabqa mazhab ki kitabon main parhay huay thy

ab wo Quranii waqiaat k silsilay main wo tafseelat musalmano k saamny bian krty thyy jo unhn ny apny puraany mazhab ki kitabon main daikhii huee theen yhee tafseelat israeliyat k naam say tafseer ki kitabon main dakhil hogae hain.


Haafiz ibn e kaseer (r.a) nay jo baray muhaqaq e mufasaren main say hain unhn ny likha hay k "israeliyat" 3 qisam ki hain

1.Wo rawayat jinki sachaii quran o sunnat k doysray dalail say saabit hay maslan, firoan ka gharq hona , Hazrat mousa (a.s) ka koh e tour par tashref lay jana waghera.

2.Wo rawayat jinka jhoota hona quran o sunnat k dousray dalail say sabit hay maslan israeli rawayat main ye mazkoor hay k Hazrat Salman (a.s) apni akhrii umar main Maaz Allah murtad hogaey thy usski tardeed Quran e karem say sabit hay irshad houta hy k

"aur Sulman (a.s) kafir ni huay blk shayateen ny kufar kiaa"

issi tarhaa maslan israeli rawayat main ziker hay k maaz Allah Hazrat Daoud (a.s) nay apnay sipah salaar aouriya ki biwi say zanaa kiya ya ussy mukhtalif tadbeeron say marwa k uss ki biwi say nikkah krliya ye b ab khulaa jhoot hay aur iss tarha ki rawayaton ko ghalat samjna lazim hay.

3.Wo rawayaat jib k baray main Quran o sunnat aur douaray sharee dalail khamosh hain jaisay k Tourait k ihkam waghera aisi rawayat k baray main Huzur Nabi kareem (s.a.w) ki taleem ye hay k un k baray main sakoot ikhtyaar kiya jaeey na unki tasdeeq ki jaey na unki takzeeb ki jaey (yani jhota kaha jaey) albata iss maslay maun ulma ka ikhtlaaf hay k ayaa aisi rawayat ko naqal krna jaiz b hay ya nae.

Hafiz ibn e kaseer (r.a) nay ik faislay k toar py ye bian kia hy k unhain naqal krna jaiz tu hay lekin uss say koi faida nae hay kyu k sharee aitbar say wo hujjat nae hy.