💥 Title :
"Quran Pak k Baray mein Kuch Zaroori Malomaat..."
.
🌷💚🌷💚🌷💚🌷💚🌷💚🌷

.

🌷 KALMA :

kalma khty hn ak lafz ko, kbi to is k do hi haroof hota hn jsa
maaما laaلا wagira or kbi zada b hoty hn,
ak kalma mn zada sy zada das haroof b hoty hn jasay liyastahlifanahum or kbi ak hi kalma ki ak hi ayat hoti ha jasa walsar taha.

Quran karim k kalmat ki nisbat
Hazrat atta bin yasa (R.A) farmaty hn k 77439 kalmat hn.
Haroof ki ginti ki nisbat Hazrat Mujahid (R.A) sy rawayat ha k kul quran k haroof 321180 hain

Fazal bin atta bin yasa r.a farmatay hn kul haroof 23015 hyn.


🌷 AYAT:

Ab Ayat,
ayat kl ayat is waja sa khty hn k ayat k lafzi mani "Alamat or nishan" k hn..
Chon k ayat par kalam khtm hota h or awal akhir sa juda ho jta ha is lia isy ayat khta hain..
Quran mn ayat alamat or nishan k mani mein hn..
Ayat k mani "jamat or giroh" k b hn.

Arab k sharon mn ya lafz is mani mn b ay hn chonk ayat mein b haroof ki b ak jamat or ak giroh ha or is waja sa isy b ayat khta hn.
Ayat k mani ajeeb k b hn ku k ye ajeeb chez ha, mojza ha tmaam insan is jasi bat to ni kah saky is liya b isy ayat khta hn.

Quran kareem ki tmam ayaat 6000 hn , is sa zayad py ikhtalaf hay..
Baaz is sa zada nahi btata lakin baaz 204 ayatain 6000 sa zayad btata hn..
baz 214 ayatain, baaz 219, baaz 225, or baaz 226 btata hyn.



🌷 "RAKOU"
Rakooh ki alamat ka tayan Quran k mazamim k lahaz se kiya gya ha, yani jahan aik silsila e kalam khatam hua wahan aik rakooh ki alamat hashia ya harf ain bna kr laga di jati ha.


🌷 "SURAT":
Sorat ka lafzi mani ;

baaz khty hn k is k lafzi mani "alladgi or bulandi" k hein.
Quran ko sortoon k hawalay say is trha kha gya b k..

"Goya Quran parhny wala ak manzil sa dosri manzil ki taraf jata rhta hay"
or ya b kaha gya ha k
"yay sharafat or onchai" k mani mein b ha..
Or isi liye isy shaher pana ko b jasa khta hn arbi mein "soar" khta hn..
or baaz khte hein "bartan mein jo hisa baki rah jae usy arbi mein asara ya sorat ka lafz diya jata ha"
kun k sorah b Quran ka aik tukra or hisa hoti h.
Ab aik qool yee b h k sorat k mani "tamam kamal" k hein.

"Pori onthnii" ko arbi m sorat kahty hein or yee b mumkin h k jis trhaa qilaa ko arbi mein isliye sor kahty hy ث و ر sor kahty hein k mahaloun or ghroun ka ihata kr lyta h or inhain jama kr lytaaa h isi trhaa kun k ayatoun ko sorah jama kr lytiii h inko ikhata kr lytii h to is ko b sorat kahty hein.
Soorat ki jama "sor" hy or kabhii "soraat" r kabhi "sowarat" b ati hy.



🌷 Quran e PAk parhny k atibar sy "Hissay aur ijzaa".

Yee to mashor hein tees paroun ki sorat mein or ak hadees mubarikaaa mein hay k..
"Sahaba karam rizwan alahe ajmaen ka Quran ko saat (7) manzilain kr k parhny ka b biyan hay."

Musand e Ahmed ,musand e abi Dawod ,ibne Majah mein hay k..
Hazoor nabii karem S.A.WW ki hayat e mubarikaa mein sahaba karam sy pochaa gya k Quran k wazify kis trha krty hein, to farmayah...
pehli teen(3) sortoun ki aik manzil , phir iskay baad ki panch(5) sortoun ki dosri manzil , phir iskay baad ki saat(7) sortoun ki tesri manzil , phir isk bad ki nou (9)sortoun kii chothi manzil, phir usk bad ki gayarah(11) sortoun kii panchvein(5) manzil , phir usk bad ki terah (13) sortoun kii chathii (6) manzil, or sorat qaf(ق) sy ly kr akhir tak phir ek sathvein (7) manzil.



Kartabii r.a farmaty hyn k Arbi zuban k siwa ajmi tarteeb to Quran majeed mein hay hi nai ,
albata ajmii naam zror hy..
Jaisy k Ibrahim a.s Nooh a.s lot a.s..
Or is iktilaf k jawab mein k kia Quran mein isky siwa b ajmi zuban k alfaz hyn
To baqalani aur tibrani NY saf inkar kr diyaa or kah diya agar koi lafz ajmi hay b to wo bgi haqeqat mein Arbi hi hay.

🌷 "Ramooz o okaf" :

Tilawat O tajweed ki sahulat k liye aik or mufeed Kam kiyaaa gya hay k mukhtilif Qurani jumloun pr asy ishry likh diye gy hein jin sy ye maloom ho k is jaga waqf karna yanii sans lyna kaisaa hay, in ishrat ko ramooz o okaf kahty hyn.

Inka maqsad yee hay k agar Arbi daan insan b jab tilawat kry to sahi maqam pr waqf kr sky or ghalat jaga pr saans torny sy Mani mein koi tabdeli paidaa na ho jai..

In mein sy aksar ramooz o okaf sy sy pehly Ilama Abo Abdullah Muhammad bin sahfof shahwandi r.a NY wazif farmae thy.



Ab hay Quran e karam kii kitabat.
Jab tak press ijaad nai hova thaa Quran e karem k tamam qalmi nushkhy thy..
Yani qalam sy likhy jaty thy or Har dor m qatiboun ki aik bht bari jamat mojood rhi h jiska Kam kitabat e Quran k siwa or kuch hota hii nai tha

Quran karem k haroof ko bahter sy bahter andaz mein likhny k liye jis trha muslamanoun ny mehnatain kin or jis trha azeem ushan kitab sy walihana shaghaf ka izhar kiyaaa..
iski bht mufasil r dilchasp tareekh hay.

Phir jab press ijaad hova to sb say pehly Himbarb k maqam pr 1113 hijri mein Quran karem taba hova (yani likha gya) jiska ab tak ek nushkaa Darul kutub ul misriyaaa mein mojod hay.

🌷💚🌷💚🌷💚🌷💚🌷💚🌷