💥 Title : Tasmiya ka Tarjuma or Tafseer
💚🌷💚🌷💚🌷💚🌷💚



بِسۡمِ اللّٰہِ الرَّحۡمٰنِ الرَّحِیۡمِ

Allah k naam sy shuru krta hu, jo bohat Meherban aur nihayat Reham farmanay wala hay.
Ismein tamam ehl e Islam ka itafaq hay k
بِسۡمِ اللّٰہِ الرَّحۡمٰنِ الرَّحِیۡمِ
Quran e Kareem mein Surah e Namal ki aik ayat hay.

Albata is baat mein ikhtalaf hay k wo har soorat mein khud mustaqil ayat hay,
ya har soorat ki mustaqil ayat hay jo uskay shuru mein likhi gyi hay,
Ya har soorat ki ayat ka juz'v hay, sirf Surah e Fatiha ki ayat hay aur doosri soortoun ki nai hay,
Ya sirf aik soorat ko doosri soorat sy alheda krnay k liye likhi gyi hay,
Ya ye khud ayat he nai hay.

Ulmaa ka is baray mein ikhtalaf aaraha hay.


Surah e Touba k ilawa har Soorat k shuru mein بِسۡمِ اللّٰہِ الرَّحۡمٰنِ الرَّحِیۡمِ likhi jaati hay.

Imam e Aazam Abu Hanifa r.a ka maslaq ye hay k بِسۡمِ اللّٰہِ
Surah e Namal k siwa kisi doosri soorat ka juz'v nai hay.
Balkay aik mustaqil ayat hay, jo har soorat k shuru mein 2 soortoun k darmiyan imtiaz ko zahir krnay k liye nazil hui hay.

Dour e Jahaliyat mein logoun ki aadat thi k apnay kaam buttoun k naam sy shuru krtay thay.
Rasm e jahaliyat ko mitanay k liye sabsy pehli ayat jo Jibrail e Ameen lekar aaye usmein Quran ko Allah k naam sy shuru krnay ka hukam diya gya.

اِقۡرَاۡ بِاسۡمِ رَبِّکَ

Aur Quran e Paak mein ja'baja iski hidayat aayi hay k, har kaam ko Allah k naam sy shuru kiya jaye
aur Hazoor Nabbi Akramﷺ ny farmaya k har mohim ya kaam jo بِسۡمِ اللّٰہِ sy shuru na kiya jaye wo be'barkat rehta hay.
Aik Hadees e Mubarika mein hay k ghar ka darwaza band karo to بِسۡمِ اللّٰہ kaho,
Chiragh gull karo to بِسۡمِ اللّٰہ kaho,
Bartan dhakko to بِسۡمِ اللّٰہ kaho,
Khana khanay, paani peenay, wuzu krnay, sawari per sawar hony aur utarnay k waqt بِسۡمِ اللّٰہ parhnay ki hidayat Quran o Hadees mein baar baar aayi hay.


Hamaray Islami Aadab e Muashrat mein is poori ayat ko bohat khaas maqam haasil hay.
Hamari zindagi mein jese k hamain har kaam ki ibtada isi ba'barkat Naam e Mubarika sy karna sikhayi jaati hay,

To is trah sy yahan jab is Paak Qalam ki ibtada ho rahi hay jo k hamain aik mukamal zaabta e hayat deta hay,
To iskay shuru mein bhiبِسۡمِ اللّٰہِ الرَّحۡمٰنِ الرَّحِیۡمِ hamain yehi sikha raha hay k
Ibtada ho to Zaat e Baari"Ta'ala k Ism e Zaat Allah sy ho.

Imam e waqt, Paishwa e zamana, Abu Muhammad Abdur Rehman bin Abu Hatim r.a apni tafseer mein, Hazrat Ibn e Abbas r.a sy riwayat farmatay hayn k
Hazrat Usman bin Afaan r.a ny Rasool e Akram ﷺ sy بِسۡمِ اللّٰہ ki nisbat sawal kiya

Tou Hazoor Nabbi Akram ﷺ ny farmaya,
Ye Allah k Asma'a mein sy aik isam hay. Allah k sabsy barray Naam Allah aur iskay mabayn is qadar qurb hay, jesy aankh ki siyahi aur safaidi mein.



Baaz mufasireen ny الرَّحۡمٰنِ الرَّحِیۡمِ k baray mein farmaya hay k ye dono Allah ki Sifaat hayn.
Rehman (رَّحۡمٰن) k maani Aam'ur'Rehman aur Raheem k maani Taam'ur'Rehman k hayn.

Aam'ur'Rehman sy matlab ye hay k Wo Zaat jiski Rehmat saray Aalam aur saari qainat, aur jo kuch ab tak paida hua hay aur jo kuch hoga sab pe haavi aur shamil ho.
Aur Taam'ur'Rehman ka matlab ye hay k iski Rehmat Kamil o Mukamal ho.

الرَّحۡمٰنِ الرَّحِیۡمِ
Sirf ismein Reham Farmanay wala he nai kaha gya balkay har waqt, har jaga, har muamlay mein, maangay bin maangay Reham Farmanay wala hay.
Aur itna intaha ka Reham farmanay Wala hay k jisko Apnay aahaata e tasawur mein laa ker mehsoos krna insan k bass ki baat he nai hay.
Hamari tamam nafarmaniyoun aur nashukriyoun aur hukam adooliyoun k bawajood, jo ham par musalsal lutf o karam karta rehta hay, WO الرَّحۡمٰنِ الرَّحِیۡمِ hay.


Allama Sayuti r.a ny farmaya k Quran k siwaa baaki tamam aasmani kitabain bhi بِسۡمِ اللّٰہ sy shuru ki gyi hayn.

Aur baaz Ulmaa ne farmaya hay k بِسۡمِ اللّٰہِ الرَّحۡمٰنِ الرَّحِیۡمِ Quran aur Ummat e Muhammadia ki khasoosiyat mein sy hay.

Ab dono qoulun ko agar aik doosry k bil'muqabil dekha jaye tou, Allah k naam sy shuru krna to tamam aasmani kitaboun mein mushtarik hay.
Magar ye jo Alfaaz is tarah sy بِسۡمِ اللّٰہِ الرَّحۡمٰنِ الرَّحِیۡمِ hayn ye Quran ki he khasoosiyat hay.

Aur jesa k baaz riwayat mein hay k Hazoor Nabbi Akram ﷺ bhi ibtada mein har kaam ko shuru krnay se pehle بِاسْمِكَ اللّهُمَّ kehtay aur likhty thay.

Jab ayat بِسۡمِ اللّٰہِ الرَّحۡمٰنِ الرَّحِیۡمِ nazil hui to phir inhi alfaz ko adaa karna Aapﷺ my ikhtiyar farmaya aur hemesha k liye yehi sunnat jaari hogyi.



Tafseer Ibn e Qaseer mein hay k Ibn e Mardiviya ne Salman bin Bureeda sy 2 mukhtalif sanadoun sy riwayat ki hay k,
Rasool Allah ﷺ ny irshaad farmaya,
Mujh par aik aisi ayat utri hay jo Mery aur Hazrat Suleman a.s k siwa kisi par nazil nai hui, ye بِسۡمِ اللّٰہِ الرَّحۡمٰنِ الرَّحِیۡمِ hay.

Ibn r Mardiviya ny apni sanad k sath is riwayat ko Hazrat Jabir bin Abdullah r.a sy riwayat kiya hay k jab ye aayat utri,
Badal mashriq ki taraf chattt gye, hawayin rukk gyin, samandar josh mein aagya, janwaroun ny kaan laga diye, aasman sy shayateen par sang'baari ki gyi.

Allah Rab'ul'Izzat ny Apni Izzat o Jalal ki kasam kha kar farmaya k,
Jis cheez par mera naam liye jaye ga usmein barkat hogi.



Hazrat Ibn e Masood r.a farmatay hayn k, jiski ye aarzu ho k Allah usay dozakh k 19 farishtoun sy nijaat dy, wo. بِسۡمِ اللّٰہِ الرَّحۡمٰنِ الرَّحِیۡمِ parhay. Har harf k badlay Allah isay dhaal ataa farma dega.

Imam Ahmed bin Hambal ny apni masnad mein Hazrat Asim sy riwayat kiya hay k maine Hazrat Abu Tamima r.a , jo kay Hazroor ﷺ ki sawari par sawaar thay unsy sunna k,
Hazoor ﷺ ki sawari phisli to maine kaha shetan ka naas ho. Aapﷺ ny farmaya, aisa na kaho, agar tum ye kaho gay k shetan ka naas ho to wo khushi sy phoolta hay
Aur kehta hay maine apni quwat sy isay gira diya hay.

Agar tum بِسۡمِ اللّٰہ kaho to wo makhi ki tarah zaleel o khwaar hojata hay.


Agar yaha daikha jo hamein jo adaab e mo'ashrat sikhye gy hein islam ny jo hamein is chouty sy adaab e moshrat mein aik kaam yeh kaha k Bismillah sy apna har kaam shuru karna hy.
Yeh hidayat jo hamein di gi yeh hidayat insan ki pouri zindagi ka rukh he Allah ki taraf phair daiti hy.
Qadam qadam par jo wo Allah m pak naam sy apny har kaam ka aaghaz karta hy tou ous ki tou har waqt Allah k sath aik ehad or wafadaari ki tajdeed hoti rehti hy k mera wajood or mery tamam kaam Allah ki marzi Oss ki mansha Oss k irady or Oss ki madad k bghair nai ho sakty is leay har kaam shuru karny sy pehly Ossi ka naam ly kar Ossi ki siffat ka wasta dy kar ossi sy madad maangni or tab koe kaam shuru karna hy.



Ab is mein aik tarah sy har kaam mein rukh Allah ki taraf phira or ous kaam mein Allah ki mansha raza or irady ki taraf nazar lagani aa gi
or dousri taraf hamara har kaam beshak k hum ous waqt wo ibadat ki gharaz or niyyat sy nai kar rahy hoty apny duniyavu moamlaat ko nipta rahy hoty hein lakin jab hum ous ki ibtidaa Allah k ba barkat naam sy karty hein tou hamary amal duniyavi or moashi kaam oun sub ko sirf Bismillah keh k shuru karny sy ibadat ka datja mil jata hy.

Ab daikha jaey tou kitna mukhtasir sa amal hy Bismillah parhana. Na is mein koe mehnat hy na koe waqt kharch hota hy na koe hamari duniyavi doulat lagti hy na koe jismaani mushaqat hy lakin is ka faaida bohat bara hy or wo faaida na sirf duniya k kaamon k leay hy balky aakhrirat mein hamary leay faaidy or falah ka baes ban jata hy.



Aik kafir mushrik bhe khata peeta hy or aik musalman bhe.

Musalman jab bhe khaty peety hein tou pehly Bismillah parh k yeh iqrar karta hy k yeh jo kuch bhe main kha pee raha hon zameen mein sy yeh paida hony sy ly kar pak k tayar hony tak or mery tak pohanchny tak aasman or zameen sitaron hawai fizaai makhlooqat ki taqtein or is k baad kitny sainkron insano ki mehnat sy tayar hoa or ousy hasil karna mery apny bas ki baat nai thee tou mera Rab mera khaliq o malik mera Allah hy jis ny yeh khanay peeny ki jo bhe cheezain hein ous ko oun tamam marahil sy guzar kar mujhy ata farmaya.


Ab aik Allah ko man'nany wala or apna kaam Allah k naam sy shuru karny wala momin musalman bhe hy or kafir bhe dono soty jaagty chalty phirty hein cheezon ko barat'tay hein lakin jab aok musalman momin sony sy pehly ya baidaar hoty waqt Allah ka naam ly laita hy or Oss k sath apny raabty ki or apny Rab hony apny malik o khaliq hony ki dil sy gawahi daity haoy Allah k sath apny raabty ki tajdeed kar daita hy tou ab ous ki tamam duniyavi or moashi zarooratein jitni bhe hein wo ous ka zikar e ilahi ban jati hein or ous ki ibadat mein likhi jati hein.

Momin insan Allah ko man'nany wala yeh yaqeen rakhny wala jo Allah k naam sy shuru karny wala swari py swar hoty haoy Bismillah parh laita hy wo asal mein is baat ki gawahi dy raha hota hy or is yaqeen ko mazboot kar raha hota hy k is swari ka paida karna or phir ousy mery leay swari k leay musakhir karna yeh sub mery apny bas ki baat nai hy yeh sub Teri qudrat e kamila ki nateejy mein ho raha hy. Or phir jab swari py baith'ty hoay Bismillah parhna tou hamary andr yeh bhe ehsas or yaqeen hota hy k ab is swari py jitni dair safar karna hy Teri he narkat sy khair mein rehna hy.
Ab agar daikha jaey or ghour karain tou islam ny aik mukhtasir c taleem k sath insan ko kahan sy kahan pohancha deya hy.
Or kaamyabi ka aik bara gurr insan k hath mein thama deya geya hy or yeh kehna bhe ghalat nai ho ga k Bismillah aik aisa nuskha e akseer hy jis sy taanby ka he sona nai banta balky mat'ti ko bhe sona bana sakta hy.