💥 Title : *Taouz o tasmia k baray mein de gae maloomat k tahet apna jaiza k hawalay sy ihsas.

🌷💚🌷💚🌷💚🌷💚🌷💚🌷


Ab yahan pr hum apna jaiza lein gay.
Jaizay mein is tarha hay kay jese pehlay taawuz ka dekhain, tou hum nay jaiza lena hay kay is mein kis kis hawalay sy humari kammi aa rhi hay.
Yahan kammi kay hawalay sy dekhna hay kay jese mein agar apni bataun tou mere andar ye kammi aa rhi thi kay mein jis waqt tilawat e Quran start hi surah Toba sy krti thi tou mein us waqt A'uzulbillah aur Bismi'Allah nai parhti thi mjhe ye pata nai tha.

Tou ab hum nay dekhna hay kay humain yahan sy jo malumaat mili hayn us mein humain kahan kahan kammi thi. Jo humari pehli routine life hay us mein humain kahan kahan kammi thi
aur wo kammi ab hum nay agay poori krni hay.

Dusri is hawalay sy ye dekhna hay kay kia taawuz parhtay huay humaray andar wo ehsas hota hay kay shetan mardood k shar sy hum ek panah mein ek shelter mein aa rahay hayn aur wo shelter jo hum maang rahay hayn wo Allah ki panah hay, Wo La kulli shayi in Qadeer ki panah hay , Wo "La haola walaa quwata illa billah hil aliyul Azeem" ki panah hay.
Tou kia humaray andar ye ehas bedaar hota hay jab hum ''Auzubillah himinash shaitan-nir-rajeem" kehtay hayn ?
Us tarha sy jese aisy lagay kay jese ek bachay kay peechay koi lag gya hay aur usy pakarna chahta hay aur usay nuqsan dena chahta hay aur wo us waqt bhaga bhaga aata hay aur apni maan ki apny baap ki goud mein ghus jata hay ya unkay peechay chup kay khara ho jata hay tou usy us waqt itna sakoon aur etminan mehsus hota hay.
Kia humaray andar , us waqt jab hum Allah ki panah chah rahay hotay hayn , humaray andar isi tarha kay ehsas hotay hayn?
Tou , is hawalay sy hum nay apna jaiza lena hay.
Phir hay jese kay , tasmiya.
Ab Is hawalay sy aisy dekhna hay kay is hawalay sy kahan kahan kammi aa rhi hay..
Kia hum apne saray kaam shuru krnay sy pehlay "Tasmiyaa" parhtay hayn?
Humain tou Quran bhi iska hukam de raha hay aur humain Piaaray Aaqa E Do Alam (S.A.WW) ki ahadees e mubarika sy bhi iska hukam mil raha hay aur iskay faiday bhi humain bataye ja rahay hayn itnay..
Tou kia hum apni zindagi mein iski ehmiyat ko us tarha sy jaan kr hr cheez kay start mein shuru mein krtay huay koi bhi kaam koi muhim koi bhi masla, jo bhi hum us waqt start le rahay hotay kia uskay shuru mein kia uskay shuru mein hum Tasmiyaa parhtay hayn?
Is kammi ka jaiza lena hay.

Phir dusra jaiza ye lena hay kay jab hum ye parhtay hayn tou kia us waqt humaray andar ehsas hota hay?
Ek zinda ehsas, kay bhyi mein ye jo cheez parh raha hun ya parh rhi hun tou iska ab, mein keh kia raha hun
Kay mein tou itni bari baat keh raha hun kay , "mein tou shuru krta hun Allah kay us ba barkat naam kay saath jo Rehman aur Raheem hay."

Tou ab is mein kia mere andar kehtay huay ehsas bhi hota hay ya adatan hi keh jatay hayn.
Kyun kay humain bht saari cheezon ki adat par jati hay, tou kia hum adatan keh rahay hayn ya humaray andar ye ehsas bhi zinda hay.
Phir us ehsas kay level pr humain pata chalay ga kay agar humara ehsas zinda hay aur kis level ka hay tou humaray andar tou phir us level ki umeed bhi ho gi, Humaray andar us level ka yakeen bhi ho ga
kay ab ye kaam jab mein nay is tarha is ehsas kay sath aur is hukam kay sath shuru kiya hay jo kay Allah aur US kay Rasool (S.A.WW) ka diya hua hay..
Kay phir wo us mein barkat hoti hay aur wo behtreen anjaam hota hay , tou meray yakeen aur umeed ka kia alam hay kay mera ye kaam kis tarha sy paya e takmeel ko pohnchay ga.
Ab kia kaam kay doraan kay liye bhi mera yakeen hay? Kay ba husn o khoobi , kheriat kay sath aur asani kay sath anjaam paye ga..
Aur iskay nateejay kay hawalay sy bhi kia mere andar yakeen hay kay iska nateeja bhi ab mera bht behtreen ho ga aur mere liye ye falaah ka aur bhalayi aur barkat ka bais nateeja ho ga..

Phir is hawalay sy bhi dekhna hay kay meri over all zindagi ki routine pr , agar hum ye Tasmiyah parh kr kaam shuru krtay hayn tou uskay doraan nateejay kese nikal rahay hayn
Aur agar hum ye parhay baghair kaam shuru kr detay hayn tou us kaam kay doraan humaray sath kia kia kuch paish aata hay aur uska nateeja kia hota hay.
Thora sa is farq ka bhi jaiza layn aur agay bhi is farq ka jaiza letay rahayn.

Idher apko kia lagta hay, is hawalay sy bhi apna aap thora sa dekhna hay kay, kia waqayi humain ye lagta hay kay ye koi nuskha e keemiya haath aa gya hay aur kis level ka nuskha e keemiya aaya hay,
humaray andar kia yakeen hay kay ye kis level ka nuskha e keemiya humain de diya gya hay kay kitna mukhtasir aur bht chota sa humain amal de kr bht asan sa amal de kr humari zindagi ka sara rukh kis tarha sy mor diya gya hay
Aur na sirf zindagi ka rukh hi mora gya hay balkay iska anjaam bhi kis tarha sy behtreen krnay ki taraf , humain wasool krnay ki taraf laya ja raha hay..
Tou kis level ka nuskha e keemiya hay.
Jesa kay is mein pehlay bataya hay kay ye taanbay ko hi sona nai balkay ye tou matti ko sona krnay wala nuskha e keemiya hay.
Tou kia humaray andar iskay hawalay sy wo ehmiyat hay aur hum isko apni zindagi ki routine mein ye ehmiyat de rahay hayn? Kay humaray amal humaray kaam humari koi bhi muhim ..jo bhi din raat ki routine mein paish aati hay us kay liye hum is nuskha e keemiya ko us tarha sy istamal kr rahay hayn, Ya nai kr rahay ?
Aur phir is pr aap nay sochtay rehna hay jab tak kay apko koi nayi audios is hawalay sy nai miltin aur apna jaiza letay rehna hay..
Zaruri nai hay kay aap usko share krein msg ki soorat mein ya kisi soorat mein
Aap agar krein share tou bht acha hay kay is tarha sy bht saray logon ka faida ho ga
Lakin agar share na krein tou kam az kam apna jaiza zarur lein aur phir isko jahan kisi ko milayn dost ehbaab, milnay julnay walay, colleagues hayn , ghar mein hayn ..jahan pr bhi kuch log hayn aap unkay saath discuss krnay ki koshish krein aur aap unkay andar bhi ye ek targheeb dein
Aur unkay andar ehsas bedaar krein takeh wo bhi apni zindagi ki routine ko is tarha sy asaan krein.
Aur ab ye ho ga kay jab humaray kaam is tarha sy start hon gay tou phir zarur zarur us kaam kay doraan bhi humaray sath Allah ki madad shamil e haal rehti hay aur phir us kaam ka anjaam bhi humain bht behtreen milta hay
Aur is tarha sy jab humain humaray kaamon kay anjaam itnay behtreen milnay lag jatay hayn jab hum itnay chotay aur mukhtasir amal kr kay uskay behtreen nateejay panay lag jatay hayn tou phir humara Allah pr over all yakeen mazboot honay lag jata hay aur hum apni zindagi ki routine mein Allah ko hr hr lamha shamil rakhtay hayn , hr hr kaam mein aur kaam kay doraan bhi yakeen ki soorat mein kay ho ga kyub kay TERE naam sy shuru kiya aur kaam anjaam jab behtreen hota hay tou bhi hum shukar krtay hayn kay shukar hay kay TERE naam sy shuru kiyaa kay humain iska ye behtreen anjaam mila.
Tou ye is hawalay sy apne jaziay lene hayn aur jaiza agar share krein tou bht acha hay laik agar na krein tou koi zabardasti nai hay
Aur agar share krien tou is neeyat sy krein kay dusron ko iska faida pohnchay.