User Tag List

Results 1 to 6 of 6

Thread: Ishq k baray sawaal...??

  1. #1
    Junior Member
    Join Date
    Feb 2017
    Posts
    13
    Thanked: 3
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)

    Ishq k baray sawaal...??

    Ishq e haqeeqi mein kuch hath nai aata yahan duniyaa mein rehtay hoay?
    Sirf aagay jaein gay tou he milay ga sab ??
    Phir yahan aashiq kaisay guzara karay???

  2. #2
    Junior Member
    Join Date
    Feb 2017
    Posts
    25
    Thanked: 3
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Abhi ayse "Ishq e Haqeeqi" lafz ko parh kar ayse aya ehsaas key yeh tu lafz be mukmail hota haye 'haqeeqat' ke lafz se... yaani asal, sachai... aorr yehi tu iskaa matlab be haye k apnay asal say muhabbat naan,, jis mein koi faraib koi dhooka, koi gharaz, koiii munafiqat naan ho.... aur agar issi hawalay se daikhaa jaye tu duniya tu haye e aik dhooka, faraib aur imtihaan gaah haye jiss mein aik Ashiq ka imtihaan e yeh haye ke kesay wo apni muhabbat k jazbay ko duniyaa ke in gandi chahtoan or fariboan say saaf kartay howay usay haqeeqat ka raup de kar duniyaa mein zindagi ghuzarta haye aur apnay Asal Manzil ke liyea sab kuch lautaa detaa haye....

    Quran o Hadees mein aur mukhtalif aqwaaal mein bar'haa bht waziyaah alfaaz mein bata diya gya haye ke duniyaa aik imtihaan gah haye,, yeh farib haye dhooka haye,, arrzi zindagi haye,,, jiski koi gaurantee nahi ke kitna arsa aur kab tak.. daikhaa jaye tu yehh to bas aikk khait (Zameen) see haye jis mein insaan jesa mehnat kar k khaiti barri karay gaa aga jaa kar ussi ko kaatay ga,,, aub issi misaal ko daikhain tu jab khaiti baarii kar rahay hotay hain tab tu haath mein kuch nahi aata,,, even ke daikhaa jaye tu tabb tu bas Allah par tuwakat rakhtay howay insaan apna sara zaur laga deta,, pesay naan be ho tu ghar ke chezain baich karr beech lay ga, paani lagay ga, khaad dalay ga, aurr hifaazat karay ga,, keeray mokoaroan say, janwaroaan say,, kiyaon ke usay pata haye naan ke jitan arsa lagta haye fasal paknay ko usk baad e usay output milay ghi,, aur otni dare tu usk haaht mein be kuch nai aata,, bass rozz usi ko daikhta rehta aurr yehi soch kar saara mehnat karta kay fasal pakay ghi tu acha output milay ga,,, aur bilkul ayse e aik Ashiq ka soch honi chhaiyea ke wo is haqeeqat say ashnaa ho kay yeh duniyaa hamesha k liyea,,, yehh tu sirff sab kuch laga denay ki jagah haye,, jesay kisaan apnaa sab kuch lagaa karrr fasal ki tyari karta haye ayse e Ashiq apnaa sab kuch laga deta haye,,, aurr phrrr duniyaaa ke keeray mookray jo ke chahtein, farieb aur azmieshain hain duniyaa ki un say apni fazal ko bachaata haye is yakeen par ke yahaan par kiyaa howa saraaa mehnat ka phal tu asal ki zindagi mein asal ki manzil haye naan Ashiq ki....

    Agar issi hawalay se ayse aik misaal daikho tu duniyaa tu sirf naam haye input ka naan yahan hum nain bas kartay jana haye akrtay jana haye aur kartay jana haye jesay yeh aik rasta haye apni asal ki manzil tak ka,, rastaayyy chahay jitnayy be lambay hoan laikin ikhtataam tak zarur phcnhay hain, aur yehhi misaal haye is duniyavi zindagi ki kay yeh aik rasta haye, safar haye apnay asal tak ka,, jis mein mushkilain, paryshaaniya, ronaq mailay sab kuch atay hain bilkul ussi tarha ke jab hum aik safar mein hotay tu rastay mein road tooti be hoti, traffic say rasta slow be teh hota,, aur phr rastay meinn refreshment points be atay hain,, khanay peenay aur aram k liyea, laikin kahein be hum ziada dare nai ruktay kiyaon ke hum jantay hain ke wo humari asal manzil nahi,,, bas yehiiii manana aur accept karna aur ehsas rakhna is duniay k hawalay say zarori ahye aik ashiq k liyea ke duniya bas aik rasta haye apnay asal tak ki manzil ke liyea,,,

    Is hawalay se ayse mazeed daikha jaye practical ho karr tu ayse, "Sirf aagay jaein gay tou he milay ga sab'" ke yakeen ke sath zindagi ghuzarnaa koi asaan kaam nahi hotaa,, kiyoan ke is safar mein qadam qadam par apna ap marna parta haye, apna app katna parta haye,,, kiyoan ke Ashiq ko tu har hawalay se check kiyaa jata haye,, mukhtlif jagoan par, kahein yakeen dila kar aur kahein yakeen khud turwa kar azmaiya jata haye,, laikin uski asal azmiesh yehi haye ke Allah par twakal ke jo Allah nain wadaa farmaya ke insaan yahan par apni har hawaish ko USKI razaa k taabaya kar de tu agay jaa kar Allah sab kuch uski marzi k mutabik karay ga,, yahan par jis qadar yakeen mazboot hoga,, utnaa e istiqamat say qadam qadam ki jjang larnnay mein asaani milay ghi aik Ashiq ko.,,,,

  3. #3
    Junior Member
    Join Date
    Feb 2017
    Posts
    25
    Thanked: 3
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)

  4. #4
    Administrator
    Join Date
    Feb 2017
    Posts
    26
    Thanked: 1
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Bohat behtreen....

  5. #5
    Administrator
    Join Date
    Feb 2017
    Posts
    26
    Thanked: 1
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Ameeen

  6. #6
    Junior Member
    Join Date
    Feb 2017
    Posts
    13
    Thanked: 3
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Quote Originally Posted by Rah Ghuzar View Post
    Abhi ayse "Ishq e Haqeeqi" lafz ko parh kar ayse aya ehsaas key yeh tu lafz be mukmail hota haye 'haqeeqat' ke lafz se... yaani asal, sachai... aorr yehi tu iskaa matlab be haye k apnay asal say muhabbat naan,, jis mein koi faraib koi dhooka, koi gharaz, koiii munafiqat naan ho.... aur agar issi hawalay se daikhaa jaye tu duniya tu haye e aik dhooka, faraib aur imtihaan gaah haye jiss mein aik Ashiq ka imtihaan e yeh haye ke kesay wo apni muhabbat k jazbay ko duniyaa ke in gandi chahtoan or fariboan say saaf kartay howay usay haqeeqat ka raup de kar duniyaa mein zindagi ghuzarta haye aur apnay Asal Manzil ke liyea sab kuch lautaa detaa haye....

    Quran o Hadees mein aur mukhtalif aqwaaal mein bar'haa bht waziyaah alfaaz mein bata diya gya haye ke duniyaa aik imtihaan gah haye,, yeh farib haye dhooka haye,, arrzi zindagi haye,,, jiski koi gaurantee nahi ke kitna arsa aur kab tak.. daikhaa jaye tu yehh to bas aikk khait (Zameen) see haye jis mein insaan jesa mehnat kar k khaiti barri karay gaa aga jaa kar ussi ko kaatay ga,,, aub issi misaal ko daikhain tu jab khaiti baarii kar rahay hotay hain tab tu haath mein kuch nahi aata,,, even ke daikhaa jaye tu tabb tu bas Allah par tuwakat rakhtay howay insaan apna sara zaur laga deta,, pesay naan be ho tu ghar ke chezain baich karr beech lay ga, paani lagay ga, khaad dalay ga, aurr hifaazat karay ga,, keeray mokoaroan say, janwaroaan say,, kiyaon ke usay pata haye naan ke jitan arsa lagta haye fasal paknay ko usk baad e usay output milay ghi,, aur otni dare tu usk haaht mein be kuch nai aata,, bass rozz usi ko daikhta rehta aurr yehi soch kar saara mehnat karta kay fasal pakay ghi tu acha output milay ga,,, aur bilkul ayse e aik Ashiq ka soch honi chhaiyea ke wo is haqeeqat say ashnaa ho kay yeh duniyaa hamesha k liyea,,, yehh tu sirff sab kuch laga denay ki jagah haye,, jesay kisaan apnaa sab kuch lagaa karrr fasal ki tyari karta haye ayse e Ashiq apnaa sab kuch laga deta haye,,, aurr phrrr duniyaaa ke keeray mookray jo ke chahtein, farieb aur azmieshain hain duniyaa ki un say apni fazal ko bachaata haye is yakeen par ke yahaan par kiyaa howa saraaa mehnat ka phal tu asal ki zindagi mein asal ki manzil haye naan Ashiq ki....

    Agar issi hawalay se ayse aik misaal daikho tu duniyaa tu sirf naam haye input ka naan yahan hum nain bas kartay jana haye akrtay jana haye aur kartay jana haye jesay yeh aik rasta haye apni asal ki manzil tak ka,, rastaayyy chahay jitnayy be lambay hoan laikin ikhtataam tak zarur phcnhay hain, aur yehhi misaal haye is duniyavi zindagi ki kay yeh aik rasta haye, safar haye apnay asal tak ka,, jis mein mushkilain, paryshaaniya, ronaq mailay sab kuch atay hain bilkul ussi tarha ke jab hum aik safar mein hotay tu rastay mein road tooti be hoti, traffic say rasta slow be teh hota,, aur phr rastay meinn refreshment points be atay hain,, khanay peenay aur aram k liyea, laikin kahein be hum ziada dare nai ruktay kiyaon ke hum jantay hain ke wo humari asal manzil nahi,,, bas yehiiii manana aur accept karna aur ehsas rakhna is duniay k hawalay say zarori ahye aik ashiq k liyea ke duniya bas aik rasta haye apnay asal tak ki manzil ke liyea,,,

    Is hawalay se ayse mazeed daikha jaye practical ho karr tu ayse, "Sirf aagay jaein gay tou he milay ga sab'" ke yakeen ke sath zindagi ghuzarnaa koi asaan kaam nahi hotaa,, kiyoan ke is safar mein qadam qadam par apna ap marna parta haye, apna app katna parta haye,,, kiyoan ke Ashiq ko tu har hawalay se check kiyaa jata haye,, mukhtlif jagoan par, kahein yakeen dila kar aur kahein yakeen khud turwa kar azmaiya jata haye,, laikin uski asal azmiesh yehi haye ke Allah par twakal ke jo Allah nain wadaa farmaya ke insaan yahan par apni har hawaish ko USKI razaa k taabaya kar de tu agay jaa kar Allah sab kuch uski marzi k mutabik karay ga,, yahan par jis qadar yakeen mazboot hoga,, utnaa e istiqamat say qadam qadam ki jjang larnnay mein asaani milay ghi aik Ashiq ko.,,,,
    jee bohat achi or sada misaal dy k samjhaya hy
    shukriya jee
    par yahan ye baat pochni k zahir sy hath na outhayaaa ja sakaaay tou phir aasiq kaisaaay guzara karay??

Similar Threads

  1. 3.Surah Fateha Ki Pehli Ayat K Baray Main
    By Admin-3 in forum 3.Surah Fateha
    Replies: 0
    Last Post: 07-18-2017, 10:07 PM
  2. 22.Quran Pak k Baray mein Kuch Zaroori Maloomat
    By Admin-2 in forum 1.Ibtadaiya
    Replies: 0
    Last Post: 04-29-2017, 11:24 PM
  3. 13. Wahi k baray mein Wazahat
    By Admin-2 in forum 1.Ibtadaiya
    Replies: 0
    Last Post: 04-29-2017, 10:50 PM

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •