User Tag List

Results 1 to 1 of 1

Thread: 1.Surah Fateha

  1. #1
    Senior Member
    Join Date
    Feb 2017
    Posts
    150
    Thanked: 2
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)

    1.Surah Fateha

    أعوذ بالله من الشيطان الرجيم
    بِسۡمِ اللّٰہِ الرَّحۡمٰنِ الرَّحِیۡمِ

    *اَلۡحَمۡدُ لِلّٰہِ رَبِّ الۡعٰلَمِیۡنَ ۙ﴿۱﴾*
    Sab tareefaen Allah hi k liay haen, jo tamam jahano ka perwarish Fermanay wala hay.

    *الرَّحۡمٰنِ الرَّحِیۡمِ*
    Nihayat Mehrbaan, aur bht Reham Fermanay Wala Hay.

    *مٰلِکِ یَوۡمِ الدِّیۡنِ*
    Roz e jaza ka Maalik Hay.

    *اِیَّاکَ نَعۡبُدُ وَ اِیَّاکَ نَسۡتَعِیۡنُ ؕ﴿۴﴾*
    Aey Allah, hum Teri hi ibadat krtay haen aur TUJH se hi madad chahtay haen.

    *اِہۡدِ نَا الصِّرَاطَ الۡمُسۡتَقِیۡمَ ۙ﴿۵﴾*
    Hamaen seedha rasta dikha.

    *صِرَاطَ الَّذِیۡنَ اَنۡعَمۡتَ عَلَیۡہِمۡ ۬ ۙ*
    In logo ka rasta, Jin pr TU ne inaam Fermaya.

    *غَیۡرِ الۡمَغۡضُوۡبِ عَلَیۡہِمۡ وَ لَا الضَّآلِّیۡنَ ٪﴿۷﴾*
    In logo ka nahi, Jin per ghazab kiya gya Aur na hi ghumraaho ka.

    *Sada Kallaa Hul Azeem*



    Soorah Fatiha ka nam, Fatiha, is hawalay se b rahaa k Quraan ka iftatah isi soorat se ho raha hay
    Fatiha us ko b kaha jata ha, jis se kisi cheez ka iftehtaha ho
    Soorah Fatiha Hazoor SAWW k Naboowat k ibtedai zmanay ki soorat hay
    Balkeh moatabar rawaiyat se maloom hota hay k sab se pehli jo mukamal soorat Hazrat Mohammad SAWW pr nazil hui
    Is se pehlah mutafarik ayat nazil hoi, sorah ALAQ, MUDDASIR aur MUZZAMIL wgaira me shamil hay

    Soorah Fatiha 7 Ayaato pr mushtamil ha
    Pehli 3 ayaaat me Allah Tala ki Hamdo Sana ha
    Akhri 3 ayat me insan ki taraf se dua aur darkhawst ka mazmoon ha
    Aur phr darmiani aik ayat me dono cheezaen mushtarik haen, hamd o sana b aur dua o darkhuast b.

    Is k Maki aur Madni honay k baray me ikhtelaaf e raay ha kuch mufasereen ka, kuch kehtay haen maki ha, kuch kehtay haen k madani ha

    Dar asal ye soorah aik dua ha, jo Allah tala ne hr us insan ko sikhai ha jo Allah ki is kitab ka motala, samjhna aur prhna shuru kr rha h

    Ab is dua se hi shuru krnay ka matlab ye ha k Agr is kitab se Sahi tarah se faida haasil krna chahtay haen aur apni daaimi Faalaah pana chahtay haen to sb se pehlay Allah Tala se ye, is tarah dua kraen

    Ab jab dua ki jati ha to hum USI se dua krtay haen k Jis k baray me hmae pata hota ha k hmae jo cheez matloob ha, talab aur khuhish ha hmae jo, wo Is Hasti k ikhtiyar me ha jis se me dua kr raha hon

    Ab koi b jo rah e haq ki justojoo aur talab rakh kr is ko prhna chahta ha to us k ander ye yakeen b hona zaroori ha K tmam tar Ilm ka sar chashma, Allah tala ki zaat e haqqeqi ha, is liay Usi se rehnomai hasil kr k is ko prhnay aaghaaz kiya jay
    Ab is bat se ye b wazih hota ha k Soorah Fatiha aur Quraan e pak ka apas me jo Haqeeqi taaluq ha wo yeh h Dua aur jawab e dua ka ha yeni Sorah Fatiha dua ha jise Allah ne apnay banday ko sikhai ha phr Allah ne khud us dua k jawab me poora Quraan rakh dya ha

    Banda dua karta ha, keh Aey Parwardigar meri rehnomai kr
    Jawab me Parwardigar, poora Quraan, ZAALIKAL KITAB LA RAIBA FEEH, se le kr akhir tak us banday k samnay rakh deta ha k ye ha wo hdayat o rehnomai jiski Tu ne Meray se darkhuast ki ha ...
    Last edited by Admin-3; 07-18-2017 at 11:39 PM.

Similar Threads

  1. Surah Fateha Ki Aakhiri Ayat Ki Tafseer
    By Admin-3 in forum 3.Surah Fateha
    Replies: 0
    Last Post: 12-19-2017, 06:54 PM
  2. 4. Surah Fateha Ki 5th Ayat Ki Tafseer
    By Admin-3 in forum 3.Surah Fateha
    Replies: 0
    Last Post: 12-19-2017, 01:58 PM
  3. 3.Surah Fateha Ki Pehli Ayat K Baray Main
    By Admin-3 in forum 3.Surah Fateha
    Replies: 0
    Last Post: 07-18-2017, 10:07 PM
  4. 2.Surah Fateha Ki Fazeelat
    By Admin-3 in forum 3.Surah Fateha
    Replies: 0
    Last Post: 07-18-2017, 09:18 PM

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •