User Tag List

Results 1 to 1 of 1

Thread: 3.Surah Fateha Ki Pehli Ayat K Baray Main

  1. #1
    Senior Member
    Join Date
    Feb 2017
    Posts
    150
    Thanked: 2
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)

    3.Surah Fateha Ki Pehli Ayat K Baray Main

    Surah Fateha asal mein tou ek dua hay.
    Is dua ki ibtada US hasti ki tareef sy ki jaa rahi hay JIS sy hum dua maangna chahtay hayn.

    Ibn e Jareer kehtay hayn kay "Alhamdulillah" Kalma e Sanaiya hay.
    Allah Rabb ul Izzat nay is kay saath khud Apni sana ki hay aur is tarha sy Apne bundon ko ye taleem di hay kay tareef krein. Goya Allah nay ye farmaya hay bundon sy
    Kay kaho! Alhamdulillah.

    Ab Quran e Pak ka aghaz hi Allah ki is tarha ki hamd o sana biyaan krna ye humain raah dikhata hay kay haq ki raah ki talab mein agar qadam agay barhana hay tou ye tareeqa apna lo kay aghaz humesha Allah ki hamd o sana sy ho.
    Kyun kay isii nayis raah ki khuwahish aur iraday ki tofeeq bakhshi hay aur asali manzil o maqsood kay liye dil mein shoq aur lagan bedaar ki hay
    Kyun kay in raahon pr khud nai chala ja skta balkay chalaya jata hay.

    Hr tarha ki tareefain, umda sy umda behtreen sy behtreen awal sy aakhir humesha sy humesha tak jo bhi hui hayn ya ho rahi hayn ya hon gi wo sirf aur sirf Allah hi kay liye hayn aur Allah hi ko zaiba hayn.
    Kyun kay Khaliq Allah hi hay tou issi liye poori kainat mein koi jamal o kamal kahin pr bhi kisi roop mein bhi ho tou wo Allah kay Apne ikhtiyar aur iraday kay hi karishma saazi kay nateejay mein zaahir ho skta hay.



    Aur Allah ki Qudrat aur Taqat aur ikhtiyaar aur irada sy hi is poori kainat ki hr tarha ki rangeeniyan dilkashiyan aur ranaiyaan wajood mein aa skti hayn.
    Isliye kaha gya hay kay, "Alhamdulillah" kay sab tareefain Allah lay liye hayn.

    Hazrat Abdullah bin Abbas R.A farmatay hayn kay,
    "Tamam shukar Allah kay liye hayn"
    Yani Allah Apni makhlooq pr inaam krta hay aur makhlooq IS ki hamd o sana krti hay.

    Ek aur tafseer bhi hay kay Allah ki azeem ushaan naimaton ka shukar hay ye jo US nay Apne momin bundon pr kin hayn aur unko emaan ki hidayat atta farna kr sb sy bara inaam kiya hay.

    Aur ye bhi ek tafseer hay,
    Kay shukar, wahdaniyat aur aluhiyat.. Is akelay Allah hi kay liye hay JIS ka koi muaawin aur wazeer nai hay aur WO hr hr jandar ka palnay Wala hay jo zameen o asman pr hay.
    Agar dekha jaye tou yahan pr ye bhi sikhaya ja raha hay kay dua jab maango tou muhazab tareeqay sy maango.. ye koi tehzeeb nai hoti kay mun kholtay hi jhat sy apne matlab paish krnay lag gya..
    Tehzeeb ka taqaza ye hay kay JIS sy dua kr rahay hayn pehlay Uski khoobi aur iskay ehsanat aur Iskay martabay ka aitaraaf krein , phir dua mangain.
    Aur yahan pr agar dekha jaye tou sirf itni si baat nai hay kay tareef Allah kay liye hay balkay darust aur intahayi darust ye ho ga kay tareef Allah hiiiii kay liye hay aur tareef sirrrf Allah hi kay liye hay.



    Yahan pr ye bhi hay kay hum jo duniya mein krtay hayn aisa kuch bhi Jiski wajha sy tareef ki jaati hay ya hum kisi ki bhitareef krtay hayn tou yaad rakhna hay kay wo khoobi, salahiyat ya kamal..
    Kuch bhi duniyawi maal o mataa ki soorat mein ya jis wajha sy bhi kuch bhi aisa hasil kr letay hayn jiski tareef ki jaati hay tou asal mein tou wo uskay atta krnay Walay ki hi tareef hoti hay JIS nay wo khoobi aur salahiyat ya maal o mataa kuch bhi inaam ki soorat mein atta kiya hay.
    Bhala matti kay banay khilono ki kia hesiyat , ye tou aisy hi hay kay jab koi khana banayen , koi karhayi silayi krein , barhayi koi apni lakri ki cheez banaye tou uski tareef ho tou asal mein tou usko bananay Walay ki tareef smjhi jaati hay na.
    Khana ba zaat e khud, ya karhayi silaayi ya bana hua koi bhi furniture ba zaat e khud tou tareef kay laik nai hotay na.

    Isii tarha insano sy bhi jo kuch sarzad hota hay laik e tareef tou wo dar asal Khaaliq e haqeeqi ki hi tareef hoti hay Jis nay insano ko te khoobi aur salahiyat yaa maal o mataa atta kiya hay.

    Hazrat Ibn e Jareer likhtay hayn kay Hazoor Akram (S.A.WW) nay irshad farmaya,
    "Jab tum nay Alhamdulillah keh liya tou tum nay Allah ka shukar adda kr liya. Ab Allah tumhain barkat de ga."



    Ibn e Abi Hatim Hazrat Abdullah bin Abbas R.A sy biyaan farmatay hayn kay Hazrat Umer R.A nay farmaya kay "Subhan Allah" aur "La illaha illallah" ka tou humain pata chal gya hay lakin ye "Alhamdulillah" ka kia matlab hay?
    Hazrat Ali (R.A) nay jawaban irshaad farmaya kay ye ek kalma hay jisay Allah nay Apne liye pasand farma liya hay.

    Abu muyamar kay alawa deegar rawaiyon nay Hazrat Hafas r.a sy biyaan kiya hay kay Hazrat Umer R.A nay farmaya , "La ilaaha illalah" aur Subhan Allah aur Allahu Akbar ko tou hum pehchan liya ye Alhamdulillah sy kia muraad hay..
    Tou Hazrat Ali (R.A) nay farmaya kay , "ye aisa kalma hay jisay Allah nay Apne liye muntakhib farma liya hay aur Isay ye pasand hay kay ye kalma kaha jaye."

    Ek dusri rawayat mein Hazrat Ibn e Abbas R.A sy riwayat hay kay Alhamdulillah kalma e shukar hay , jab bunda Alhamdulillah kahay tou Allah farmata hay kay mere bunday nay mera shukar adda kiya.
    Iskay raawi Hazrat ibn e Hatim hayn.

    Hazrat Jabir bin Abdullah R.A sy riwayat hay kay , "Rasool Allah (S.A.WW) nay irshaad farmaya behtreen ziker La ilaaha ilallah hay aur behtreen dua Alhamdulillah hay."



    Ye Alhamdulillah kay baray mein tha.
    Ab ayat hay الحمد لله ربّ العالمين.

    ربّ العالمين
    yaani tamam jahanon ka parwarish Farmanay Walay kay hayn.

    "Alhamdulillah" Is mukhtasir ibtadayi jumlay kay baad pehli ayat mein Allah ki pehli sift ربّ العالمين ziker ki gyi hay.
    Lafz "Rabb" kay arbi ma'ani lughat kay aitbaar sy tarbiyat aur parwarish krnay Walay kay hayn.
    Aur tarbiyat usko kehtay hayn kay kisi cheez kay liye uski tamam naikiyon aur bhalayion ka lihaz rakhtay huay darja ba darja usay agay barhaya jaye yahan tak kay wo hadd e kamal ko pohnch jaye.

    Rabbil Alameen ek hesiyat sy pehlay jumlay Alahamdulillah ki daleel hay kay jab tamam kainat ki tarbiyat o parwarish ki zimedaari ek zaat Allah ki hay tou humd o sana ki mustahik bhi Wohi zaat hi ho skti hay.
    Isliye pehli ayat الحمد لله ربّ العالمين mein hamd o sana kay sath emaan kay sb sy pehlay rukan Touheed e Baari Ta'alla ka biyaan bhi bht mu'asar andaz mein aa gya hay.



    Rabb ka lafz arbi zuban mein 3 maa'non mein bola jata hay.

    🌷1. Maalik aur Aaqa
    🌷2. Parwarish krnay Wala/ Khabar geeri aur nigehbaani krnay Wala.
    🌷3. Farma rawa , Hakim, Muntazim.

    Allah in tamam maa'non mein, sbb maa'non mein Kainat ka Rabb hay, beshak.
    Aur isiliye Rabb sirf Allah kay liye hi hay, siwaye Allah kay kisi dusray kay liye nai kaha ja skta.
    Haan aisay izafat kay sath ho tou aur baat hay..
    Jese kaha jata hay rabb ud daar .. yani ghar wala, waghera waghera. Is tarha kay lafz istamal ho sktay hayn lakin ye kisi dusray ko sirf Rab nai kaha ja skta.



    Ab ربّ العالمين tou Alimeen aalim ki jama hay jis mein duniya ki tamaam ajnaas , asmaan, chaand, sooraj, tamam sitarayy, hawa o fizaa, baarish bijlii, karakk, farishtay, jinnaat , zameen aur iski tamam makhluqaat ,hewanaat, insan , nabatat, jamadaat sbb is mein daakhil hayn
    Isliye ربّ العالمين kay maani ye huay kay Allah tamaam ajnaas e kainat ki tarbiyat krnay Wala hay.
    Aur ye bhi koi baeed nai, kay jesa ye ek aalam hay jis mein hum bastay hayn aur iskay nizaam e shamsi aur zameen ki laakhon makhluqat ka jo hum apne samnay ek mushahida krtay rehtay hayn ye sara aalam sirf ek aalam ho aur is jese hazaaaron laaakhon dusray alam hon jo is aalam sy baahir ki khalaa mein mojood hon.
    Tou Imam Ghazi nay apni tafseer e qabeer mein farmaya hay kay is aalam sy baahir ek laa matnaayi khala ka wajood dalail e aqliya sy sabit hay aur ye bhi saabit hay kay Allah ko hr cheez pe qudrat hay isliye kia mushkil hay kay US nay is laa matnaahi khalaa mein humaray paish e nazar is aalam ki tarha kay aurr bhi hazaron laakhon aalam bana rakhay hon.



    Hazrat Abu saeed r.a sy manqool hay kay aalam 40 hazaar hayn, ye duniya mashrik sy maghrib tak ek aalam hay baaqi iskay siwaa hayn.

    Hazrat Saeed bin musiyab r.a ka qoul hay,
    Kay Allah kay hazaar aalam hayn ,600 samandar mein aur 400 ru e zameen pr.

    Wahab bin manba r.a ka qoul hay kay Allah kay 18 hazaar aalam hayn , aalam e duniya in mein sy ek aalam hay.

    Maqatil ka qoul hay kay 80 hazaar aalam hayn. Qaabin ahbaar ka qoul hay kay awalim ki tad'aad sahi Allah kay siwa koi nai jaanta aur ye tamaam rawayaat baghwi sy nakal ki gyi hayn is tafseer mein.

    Zujaaj ka qoul hay kay Allah nay jo kuch is duniya o akhirat mein paida kiya hay wo sb aalam hay.
    Kartabyi kehtay hayn kay ye qoul sahi hay kyun kay ye tamaam aalameen ko shaamil hay.
    Jese Allah ka irshaad hay kay , Qaala fir aaunu wa maa Rabb ul aalameen.
    Firoun nay poocha kia hesiyat hay Rabb ul alameen ki?
    Qaala Rabb us' sama wa aati wal arzhi wa maa baeena humaa.
    Aap nay farmaya rabb ul alameen Wo hay jo Maalik hay asmaano aur zameen ka aur jo kuch in kay darmiyaan hay.
    "In quntum mu'kineen"
    Agar tum ho yakeen krnay Walay.
    Quran e Pak mein surah shuara mein hay.



    Ab jese Surah Fateha hai.. abhi iski ayaat ki tafseel me na bhi jaen..is k naam hi ko dekhen.. hamey sikhaya ja raha hai k hamesha ibtedaa agar karni hai kisi cheez ki to Allah ki Hamd o Sana k sath karen. Kyun k pehle jese bataya gya hai keh Alhamdulillah kehney se Barkat atta hoti hai. Alhamdulillah "kalma e shukar" hai to isliye agar shuru me hi hum Alhamdulillah parhen jis se k Barkat atta hoti hai to chahey k hum agey dua hi karney ja rahey hen to is me bhi Allah hamarey liye Barkat atta farma de ga mukhtalif soorton me.. k hamey achey alfaaz ki adaaigi.. hamare dil ko behtareen ajizi ki haalat atta farma de ga.. hamey tarrap k girgiraa k ajizi me US k samney jhuktey huey nadaamat k sath maafi mangna or US se apni Talab Hasrat jo bhi haajat hai wo mangney ka saleeqa or tareeqa atta farma de ga..



    To isliye ab hum ne ye seekhna hai yahaan k iftetaah hi jab cheez ka ho raha hai us ka start Alhamdulillah se ho raha hai jis se Allah Barkat atta farmata hai. Phir isko dekha jaye to Surat Fateha ko kaha hi "Dua" jata hai.. ye puri ki puri surat hi Dua kahi jati hai.. to agar dekha jaye to iska matlab hai k koi bhi kaam hum shuru karen to us se pehle hamey dua mangni chaaiye kyun k Quran ye taleem de raha hai.. or hum ne ye taleem apni zindagi k har kaam shuru karney me yaad rakhni chaiye k dua kar k hi har kaam shuru karen. Jis tarha ap ne dekha ho ga k yahaan jo bhi log attach hote hen to koi bhi kam koi bhi masla koi b moamla acha bura even jahaan shukar ka bhi pehloo hota hai to bhi hum yehi kehtey hen k challen dua kar letey hen. Bal keh bohat se log is cheez ka mazaak bana letey hen k in logon k pas ro or koi kaam hi nahi hai.. jab koi baat kaho koi masla batao to kahen ge "chalen dua kar letey hen" .

    Dua "Kalma e Shukar" hai.. agar ap ka kam bhalai wala hua hai.. behtari wala hua hai.. asaani wala hua hai.. to bhi ap zaroor dua karen or agar koi masla hai koi mushkil hai ya koi kam ap neya shuru karna chahtey hen to us se pehle bhi ap dua karen.. ye hamey sikhaya ja raha hai Quran ki pehli soorat me hi agar dekha jaye to.



    Jese k beyaan kia tha k Hazrat Ali R.A ne farmaya k Allah ne Alhamdulillah ko Apney liye pasand farmaaya or Usey pasand hai k yeh kalma kaha jaye.
    To phir kyun na kahen?
    Hum to baar baar kahen har wakt kahen.. hum to paani ka ek ghoont pi kar bhi Alhamdulillah kahen.
    Hum to har lamhaa dil se shukar guzaar rahen.. dil se kahen k saari tareefen Terrey liye hen..

    Jis tarha k is me bataya hai k Surat Fateha or Quran ka jo apas me talluq hai..
    to Quran or Surat Fateha apas me "Dua or Jawaab e Dua" hen.
    Dua hai Surat Fateha or Jawaab e Dua hai pura Quran e Pak. Keh hum ne dua mangi or us k jawaab me Allah ne pura Quran e Pak samney rakh dia..
    k tum ne Mujh se dua mangi to ye lo ab ye tumharey samney rakh dia or tumharey liye ye raah e hadaayat Main ne khol k rakh di.



    To agar dekha jaye to mujhe khud ye soch kar acha lag raha hai k hum jab bhi Tilawat karney lagen.. jahan se bhi hum ne tilaawat karni ho to sab se pehle hum ye dua mangen.. jo jagah bhi hum tilawat karney lagen ge hamey us k barey me sahi rehnumaai atta ho jae gi kyun k ek Hadees e Mubarka me kaha gaya hai keh Mera banda jab is tarha se Merey se kuch mangta hai to phir usey de dia jata hai..

    to phir hum kyun na is Quran ko jo Noor e Hadayat hai hamarey liye..
    jab bhi isko jahaan se bhi parhen to hum us se pehle sachey dil se ye dua Allah Taala se kia karen or is tarha se mangen US se.. "Eh'dey Nassiraatal Mustaqeem" k mujhey seedha rasta is Quran k zariye atta farma.
    Or phir is k bad hum kahin se bhi tilawat shuru kar den to hamarey andar wo utrey ga or uska seedha sacha rasta khul khul k hamarey dil me pardey uthaata jaye ga or andar dil me ehsas ujaagar karya jaye ga.



    Phir is me Hazrat Jibraeel A.S k havaley se jo Hadees e Mubaarka me tha.. bataya gya k is ka ek ek harf noor hai.

    Agar ab hum kisi wakt bhi apney andar mayusi mehsoos karen.. down hon.. pareshani or takleefom me ghir kar hamarey andar eeman ki wo taaqat na rahey or hum eeman ki taaqat k bal par un museebton mushkilon se na larr sak rahey hon.. hameh koi raah na mil sak rahi ho.. hamey kisi wakt pareshani hoti hai hamey koi rasta nazar nahi a raha ho.. to agar dekha jaye hum us wakt is surat ko jis ka ek ek harf noor hai.. tab agar yakeen k sath is k ek ek harf ko purey ehsaas k sath parhtey huey apney andar utaartey jaen ge or dil k darr kholtey jaen ge to ye ek ek harf jo pur noor hai wo hamarey andar is noor ko utaarta jaye ga or hamare andar quwat e eemani barrhti jaye gi..



    Main isko quwat e eemani barhaney ka bhi zariye ek tarha se samajhti hun k ek ek harf iska pur noor hai to ye hamarey andar ko, hamarey dil ko, hamari rooh ko noor se bhar de ga or noor to hai hi saraasar hadaayat.

    To Allah hamey phir hadayat ki raah atta kar de ga, khushi sakoon or sukh ki raah atta kar de ga, andar ki sari pareshaniaan, chirr chirr jo bhi hamey zindagi ki routine me logon k sath nafrat ghussey jesi negative chezen dil me machi hoti hen or hamare andar jo aag jal rahi hoti hai nafraton ki ghussey ki.. iska jab ek ek harf pur noor hai or wo hamarey andar noor ban k utrey ga or hum isko pyaar mohabbat or yakeen se parhen ge or apney andar utaaren ge to hamarey andar ye thand ban kar hadaayat ban kar utrey ga In Sha Allah!


    Ye humain dua ka ek khaas tareeqa bhi sikhaya ja raha hay kay kis tarha tehzeeb o tareeqay sy dua krni chahiye.
    Pehlay hamd o sana biyaan krein aisy nai kay jhat sy mun khol kay keh diya kay mera ye matlab hay ye maqsad hay ye cheez atta kr day. Balkay sb sy pehlay USKI azmaton ka , Uski shaan ka ,Uski buzrugi ka kibriyaayi ka baraayi ka aur Uskay tasarufaat ka Uski wahdaniyat ka, bht saray iqraar ho jatay hayn is tarha sy.
    Tou jab hum dua mangnay lagain tou us sy pehlay hum Allah ki hamd o sana bht behtreen tareeqay sy aur piaar sy biyaan krein aur uskay baad apne jo bhi duaiya alfaaz o kalmaat hayn wo biyaan krein.
    Tou yahan humain ye tareeqa bhi sikhaya ja raha hay.

    Alhamdulillah jese kay iskay maani hayn, sb tareefain Allah kay liye hi hayn. Yaani duniya mein jahan kahin bhi kisi bhi cheez ki tareef ki jaati hay tou asal mein tou wo Allah ki hi tareef ho rhi hoti hay.



    Kyun kay is jahaan mein hazaron haseen manazir bhi hayn aur bht dilkash bazaray bhi hayn, hazaar haa aisi nafa bakhsh aur behtreen cheezain hayn duniay kay hawalay sy kay jo kisi bhi insan kay dil ko apni taraf khenchti rehti hayn aur humara dil jab us taraf khinchta hay aur humain pasand aati hay tou hum uski tareef krnay pr majbur ho jatay hayn ..
    Lakin agar hum isi ko zara si gehraayi kay saath dekhain tou hum jab bhi kisi cheez ko dekhtay hayn , hum zahir aankh sy bhi dekhtay hayn humain jo kuch mazar aa raha hota hay
    Tou dar asal wo tou Allah ki hi takhleeq kay behtreen naumanay hayn jo kay agar us waqt humaray dil ki aankh sy hata hua ho aur humaray dil ki aankh khuli ho tou humain us mein Allah kay jalway hi nazar aatay hayn, Uski sanaayi kay qudrat kay namunay hi nazar aatay hayn aur Us Khaaliq e kainaat aur Maalik e Kainat kay jamaal o kamaal hi hr taraf bikhray huay nazar aatay hayn.



    Jese kay hum kisi painting ki tareef krtay hayn ,kisi nay musawari ki hui hoti hay tou wo painting ya kisi musawri ki jab tareef ho rhi hoti hay tou wo dar asal mein musawir ki tareef ho rahi hoti hay.
    Isii tarha sy jab duniya kay in haseen manazir ki dilkash nazaron ki ya koi bhi dil moh lene waali cheezaim jo humain apni taraf khench laiti hayn unki tareef pr hum majbur hotay hayn.
    Tou dar haqeeqat ye saari tareefain ussi Qadir e mutaliq ki hi hayn.

    Jis tarha sy bataya hay kay Ibn e Jareer farmatay hayn kay Alhamdulillah kay maani ye hayn kay sirf Allah ka shukar hay Us kay alawa koi iskay laaik nai khwaa wo makhluq mein sy hi koi ho.


    Ye issi wajha sy hay na kay tamaam naimatain hum jinhain gin bhi nai sktay is Maalik kay siwaa aur koi inki tadaad ko bhi nai jaanta ,ye sb kuch jo humain atta ho raha hay.. inaamaat ki soorat mein rehm o karam ki soorat mein Usi ki taraf sy hay.
    Usi nay Apno ita'at krnay kay liye tamaam zahiri asbaab bhi humain atta farmaye huay hayn. Usi nay Apne faraiz pooray krnay kay liye tamaam jismani naimatain bhi humain bakhsh rakhi hayn phir beshumar duniyawi inamaat aur naimatain aur zindagi ki tamam zaruriyaat humain humaray kisi haq kay baghair bin maangay humain bakhsh rakha hay.
    Aur humesha rehne waali naimatain jo agay ki hayn jo Uski tayar krda jannat hay usko hum kis tarha hasil kr sktay hayn Us ne wo bhi humain sikha diya hay.



    Tou phir ab insan tou ye kehnay pr majbur hay ek tarha sy kay tareef aur hamd kay laaik shukar kay laik sirf Allah ki zaat hay.

    Isii tarha sy hr achayi ya kamaal ya salahiyat o khasusiyat jis ki bina pr bhi is duniya mein koi tareef ki jaa skti hay tou darasal us tareef ka manba o maa'khaz sirf us taraf Allah ki zaat hi hay.
    Iskiye sb ki saari tareefain sirf Allah hi kay liye hayn.

    Aur kyun kay sb tareefain US kay liye hayn aur WO hi iskay laik hay tou humain jo kuch bhi yahan pr atta hua kisi soorat mein bhi unkay liye tareef kay haqdaar hum khud nai hayn balkay Allah ki zaat hi tareef kay laik hay.
    Kyun kay humain wo salahiyat atta krnay Wala ,humain wo sha'oor ,smjh aur tareeqa atta krnay Wala humara Rab hay.

    Agar WO na de tou humari koi majaal nai kay hum kahin sy haasil kr sakain. Tou Us atta krnay walay ki hi tareef hay aur Us atta krnay walay ka hi shukar hay.



    Ab yahan ye bhi dekhna hay kay kia hum is tarha waqayi sachay dil sy shukar adda krtay hayn?
    Humaray andar sy Alhamdulillah keh kr ye ehsas bhi saath nikal raha hota hay?
    Jis tarha sy hum ek luqma khatay hayn tou kia humaray andar wo luqma khatay huay ye ehsas hota hay kay ye luqma mere naseeb mein krna ye Allah ki Qudrat e Kamila hay.
    Kay kahan kahan ye bana kis nay beej boyaa, kis nay ye zameen tayaar ki, kis tarha usko paani aur khaad daaltay rahay , kis tarha sy qudrat ki taraf sy barish aur mausam aur ye saray asaraat saath saath rahay madadgaar aur phir ye fasal pak kay tayaar hui phir ye anaaj kin logon nay mehnat mushaqat kr kay akatha kiyaa,
    Kahaan iski saath boriyaan bhari gyin , kis kay ghar mein pohncha , wahan sy kis tarha sy bazaron sy dukaanon sy hota huaa hamaray tak ayaa , hum nay phir isko piswaya aur phir kisi nay isko goonda pakkaya aur phir yeee luqmaa mere haath mein ayya aur mein isko mun mein daal kr is sy lutf andoz ho raha hun.



    Isi tarha sy phal dekh lein paani dekh lein kay hum paani peetay hayn itna farhat bakhsh taazgi wala humari taskeen kay liye jo Allah nay ye paani bana rakha hay ye jis waqt hum tak pohnchta hay tou isko hum dekhain tou ye tou kayi logon tak nsi pohnchta , kayi log hayn wo tobon sy paani akhata kr rahay hotay hayn , barishon ka paani akhata krtay hayn aur kitnay kitnay arsay ka paani unkay gharon mein para hota hay ya unka zameen mein zakheera kiya hota hay aur wo gadlay paani pi rahay hotay hayn aur us tarha sy nithaar nithaar kay kayi tareeqon sy aur Allah TU nay mjhe itna farhat bakhsh paani aur taazgi wala aur saaf suthra paani de diyaa.
    Wo paani jisay peetay waqt hum Alhamdulillah kehtay hayn tou kia us waqt humaray andar ye ehsas o jazbaat hotay hayn?



    Jis waqt hum apne bistar pr sotay hayn aur bistar pr sotay huay humain ek bed milta hay aur phir uskay baad humain neechay ek gadda dala hua milta hay aur ooper dalnay kay liye humain lihaaf mil jatay hayn , sar kay neechay rakhnay kay liye takiye humain mil jatay hayn aur humain ek sakoon ki neend lene kay liye hum us bister mein ghus kr jis waqt so rahay hotay hayn us waqt hum Alhamdulillah pehlay tou ye kehtay hayn? Aur agar kehtay hayn tou kia ye ehsas hota hay ? Kay mere Rab nay kahan kahan sy kis kis ko active kiye rakha aur meri is waqt ki bharpoor araam ki neend kay liye ye sara kuch mjhe yahan tayaar mila.
    Aur is mein peechay kitna kuch qudrat ka kaar farma hay , kitnay kuch nay is pr khidmat anjaam di mere liye aur unki khidmat ki iwaz mein mjhe is waqt ye rahat ki neend naseeb ho rahi hay tou Allah Tera shukar hay Alahmdulillah Tera shukar hay kay TU is waqt mjhe araam ki neend atta krwa raha hay.


    Issi tarha sy agar dekha jaye tou hum apni zindagi mein thora sa nazar dalain kay hum Alhamdulillah sirf zabani kalami kehtay hayn ya ye humaray dil kay ehsas o jazbaat hotay hayn.
    Aur agar dil kay ehsas o jazbat bhi hotay hayn tou yahan pr bhi nazar rakhain kay ye ehsas o jazbat kia satahi noyeat kay hotay hayn ya hum iski depth mein aur gehrayi mein bhi jaiza letay hayn aur hum ek ek apni jo bhi humain naimat din bhar mein muyasar hay hum uskay hawalay sy sochtay hayn

    Aur agar aisa nai kiya tou kam az kam ek din is cheez kay liye rakhain kay us din mein subha sy le kr raat tak ki atta ki hui jaga jaga jo aap pr naimatain aur karam nawaziyan aur rehmatain Allah aap pr barsa raha hay us ko agar sirf aap ek kaghaz pe likhna shuru krein point out kr kay kay mera Allah mere sath kis kis tarha sy moamla kr raha hay aur is ek ek moamlay mein peechay kia kuch kaar farma hay
    Aur us sb kay peechay Allah ki qudrat e Kamila hay aur Uski hikmat e baligha hay jo kay khasusi tor pe mere liye ye sb kuch krwa rahi hay tou aap hairat zada reh jayen gay aur apkay paas ek kaghaz kam par jaye ga mein agar kahun.


    Aap agar sirf top 10 hi likhna shuru krein tou aap hairat kay ek intahayi samundar mein ghotay laganay lag jayen gay kay mera Rab mere liye itna kuch kr raha hay? Tou ye tou kamal ka kr raha hay! Ye tou Uska kamal hay! USKI taqaton ka , USKI qudraton ka kamal hay.

    WO jo Apne bunday sy muhabat ki soorat mein ye zahir kr raha hay Allah Tera shukar hay kay mera Rab is tarha ka hay aur is tarha muhabbat krnay Wala hay aur itni shaanon Wala aur aisi qudraton Wala hay
    Jo kay mere sath is tarha sy moamla paish kr raha hay.

    Aur shukar tou hay hi Allah kay liye aur sirf aur sirf Allah kay liye agar mein kahun tou.
    Kyun kay is kay beech mein agar maslan kay humain koi madad kr deta hay kisi hawalay sy bhi , agar koi humaray sath bhala kr deta hay tou Allah nay usko taqat atta ki humain madad krnay ki tou usnay madad ki.


    Koi sarak paar krnay kay liye khara hota hay aur usko sarak paar krwanay kay liye 10 bunday guzartay hayn aur un mein sy unko ye khayal nai aata aur ek giyaarhwan bunda aata hay aur usko khayal aa jata hay aur wo kisi boorhay ko sarak paar krwa deta hay haath pakar kay..
    Tou Allah nay us ek bunday ko Apni sift sy muttasif kiya kay madad kro is waqt iski.
    Aur usny us bunday ko pakar kay sarak paar kra di , tou ye Allah nay himmat o taqat atta ki us bunday ko aur us nay madad ki.

    Tou ab jis ki sarak paar krwayi gyi beshak kay wo us waqt us insaan ka bhi shukariya adda kray ga jis ko Allah nay waseela banaya.
    Lakin dar asal uskay andar ye zarur piyaar ka ehsas uthay ga agar wo zara si gehrayi sy jaiza le ga..
    Kay Allah nay mere liye is bunday ko ye himmat o taqat atta ki aur isnay mera haath pakar kay mjhe sarak cross krayi Allah Tera shukar hay.


    Tou is tarha sy humaray andar ye ehsas bedaar hona tab hota hay jis waqt hum satahi nazar sy hatt kr, gehrayi sy jaiza letay hayn.
    Kay humara Rab , humara WO Rab jo kay Rab ul Alameen hay, do jahanon ka parwarish krnay Wala hay.
    Wo ek ek insaan kay saath kis kis tarha sy behtreen tarha sy uski parwarish ka zimma jo Usnay liye hua hay Wo uski parwarish farma raha hay.

    Aur sirf ek din mein Apny us ek bunday kay saath hi , yaani hum mein sy jo ek ek apna ek din is tarha sy guzaray ga is ehsas mein tou wo ye daikh kr heraan reh jaye ga kay sirf mere sath hi Allah nay kahan kahan aur kis kis tarha sy , behtreen tarha jo parwarish krnay ka hay wo inaam mere pe kiyaa hay.
    Kay mere pe ye inaam hay kay mera aisa Rab hay parwarish krnay Wala.
    Mera aisa behtreen parwarish krnay Wala mera Rab hay.

    Aur Uski jo ek khasusiyat parwarish farmanay Wala hay , WO aisa parwarish farmanay Wala hay kay tamaam jahaanon aur is mein mojoud tamaam kay tamaam makhluqaat ki nihayat behtreen andaz mein ek munazzam tarteeb aur tareeqay sy aur phir marhala waar darja e kamal tak pohncha kr parwarish krta hay.

    Aur Rab ul Alameen sy phir ye baat bhi wazeh hoti hay kay Allah ki Shaan e Rabubiyat kainat ki hr shay kay saath yaksaan hay.



    Agar ek issi ko dekha jaye kay jab beej boyaa jata hay tou dekha jaye tou usko bhi Wo apne darja e kamal tak pohnchata hay.
    Step by step us mein sy kunpal nikalti hay, tanna banta hay, us mein sy shaakhain nikalti hayn, wo phalta phoolta hay , us kay liye tamam jo mazahir e qudrat hayn wo us mein insan bhi hayn , us mein aur cheezain hawaa, paani, barish , zameen mein sy usko jo kuch kay ghazain milni hoti hayn.. Wo sab kuch active Allah kr deta hay aur us ek beej ki bhi wo marhala waar parwarish farma kr usko darja e kamal tak pohnchata hay aur wo ek khaiti ki soorat mein ban jata hay aur anaaj us pe lag jata hay.

    Tou yahan pr jo humara Maalik e Kainat Khaaliq e Kainat hay Uski shaan e Rabubiyat kainat ki hr shay kay saath yaksaan hay.
    Kyun kay Allah Maalik o Khaaliq e kainat hay.
    Tou Allah nay Apne Maalik o Khaaliq honay ka farma kay bata diya yahan pr bhi kay hr shay ki parwarish bhi Wo khud hi farma raha hay.

    Aur issi liye pehlay hum sy is baat ka aitraaf kay
    '' Tamam tar tareefain USI kay liye hayn"
    Aur phir Apne bundon pr wazeh kr diya kay Rab ul Alameen hona bhi USI kay shayan e shaan hay.



    Tou ab is tarha sy issi hawalay sy aap sb nay apna apna jaiza bhi lena hay kay pehlay humara kia rawaiya chal raha hay?
    kay kia humaray ehsas is tarha ay depth mein hayn? Kia hum is tarha sy Rab ul Alameen ki Rab ul Alameeni jo Uski humaray sath hay , Wo jo behtreen andaz ay humari parwarish krna hay , Wo in taman Alameen ki parwarish krnay Wala humara itnaaaa baraaa Allah Jis ko kay ALLAHU AKBAR kehtay hayn WO mera Rab hay aur mera parwarish farmanay Wala hay.
    Tou is tarha sy humara Uskay sath ek muhabbat ka ehsas bhi barhta hay , humaray andar ek naya dar khulta hay andar ka kay itnaa baraa Rab.
    Lakin meri itnii behtreen tarteeb kay sath marhala waar parwarish farma raha hay.
    Tou is or beikhtiyaar andar sy nikalta hay Allah Tera shukar hay Kay TU mera Rab hay.

    Sirf agar isii cheez ko dekh lein tou beikhtiyaar shukar nikalta hay Alhamdulillah! Shukar hay TU mera Rab hay. Shukar hay kay TU mera Rab hay aur mein Tera bunda kehlata hun.



    Tou agar yahan pr dekha jaye tou Alhamdulillahi Rabbil Alameen
    Ye dono ek dusray kay sath aisay lagta hay kay Rab ul Alameeni zahir hoti hay tou bunda be ikhtiyaar keh uthta hay kay shukar hay TERA.

    Aur jis waqt hum kehtay hayn kay sab tareefain Tere liye hayn tou behsak kay sb tareefain Tere liye hi hayn kyun kay TU hi Rabb ul Alameen hay aur jo aisa Rab ul Alameen hay tou saari tareefain Usi kay liye hayn kyun kay tamam jahanon ki parwarish farmanay Wala tou WO hi hay.

    Tou is hawalay sy sb nay apnay jaizay bhi lene hayn, pehlay humaray andar kia kuch hay , kis tarha sy hay aur is "Alhamdulillahi Rabbil Alameen" isi ek ayat kay hawalay sy ab humaray andar jazbay bedaar hotay aur ehsas bedaar hotay kia hayn.


    Aur phir koshish krni hay kam az kam kay jese ek din kaha hay , ek din bht zada hay. Aap sirf ek do ghantay hi is cheez ka ehsas kr layn na tou aap ko hawa, paani , sooraj , chaand , sitaray , chaltay huay ye zameen ki sakhti hi aap kay andar ehsas bedaar kr de gi kay ye mere pr ek inaam hay kay ye zameen sakht hay agar ye narm hoti aur ye daldal ki tarha hoti aur hum lakriyan le le kr chal rahay hotay.
    Aur agar ye phisalti hui hoti aur agar ye dhalwaan hoti tou phir hum kis tarha sy is pr chaltay.

    Matlab aisy mein ek misaal k tor pr bata rahi hun kay agar aap kay agay samnay dar khultay jayen gay aur yehi tafaqur hota hay jo kay Allah ko bht zada pasand hay.

    Tou aap kam az kam thori der ka tafaqur zarur krna aur us mein jo jo points ayen agar share krna chahayn tou share krein wrna kisi kay sath baith kr discuss zarur krein aur batayen aur andar kay dar jitnay khulain yahan pr groups mein bhi agar share krein aur mjhe bhi batayen aur sb kay sath bhi share krein takeh Allah aap kay aurr dar kholay aur phir jis waqt andar kay dar khulain tou us pr bhi zarur Alhamdulillah kehna hay, us pr bhi zarur kehna hay kay Maalik Tera karam Tera shukar. Tera hi shukar adda krna hay kay TU nay humaray andar kay ye dar khol diye.
    Last edited by Admin-3; 07-18-2017 at 11:46 PM.

Similar Threads

  1. Surah Fateha Ki Aakhiri Ayat Ki Tafseer
    By Admin-3 in forum 3.Surah Fateha
    Replies: 0
    Last Post: 12-19-2017, 06:54 PM
  2. 4. Surah Fateha Ki 5th Ayat Ki Tafseer
    By Admin-3 in forum 3.Surah Fateha
    Replies: 0
    Last Post: 12-19-2017, 01:58 PM
  3. 2.Surah Fateha Ki Fazeelat
    By Admin-3 in forum 3.Surah Fateha
    Replies: 0
    Last Post: 07-18-2017, 09:18 PM
  4. 1.Surah Fateha
    By Admin-3 in forum 3.Surah Fateha
    Replies: 0
    Last Post: 07-15-2017, 08:39 PM

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •