User Tag List

Results 1 to 7 of 7

Thread: Ashiq e RASOOL S.A.W.W.

  1. #1
    Junior Member
    Join Date
    Feb 2017
    Posts
    7
    Thanked: 2
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)

    Ashiq e RASOOL S.A.W.W.

    Hum normally bohat baar khud bhii kehtey hen or dusron ko bhi kehta suntey hen k Ashiq e RASOOL S.A.W.W. hen. lekin amal se kis tarha khud ko AAP S.A.W.W. ka ashiqq sabit kia ja sakta hai?

  2. #2
    Junior Member
    Join Date
    Feb 2017
    Location
    Mianwali
    Posts
    8
    Thanked: 3
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Assalam o Alikum.
    Mery chottu sy experience mutabik toe sb sy pehli baat agr me kahoon toe yhi smjhani hy Ishq Ishq krny waloon ko k Amul sy pata chalna chahea k app kisko chahny waly ho, aur batoon sy ziada hamara zahir o batin dekhae wo rung jo ek Ashiq ka hona chahea. Kyun k Ishq toe naam e murr mitny ka hyna

    Aur Amul sy Sabit kr skty hain. Wo b aesy k jitni andar Ishq ki tarap ho gi, Utna Khushi hasil krny ki chah ho gi, aur jitna Khushi hasil krny ki chah ho gi, utna amul karain gay, aur ,Utna e Ishq k us janoon ko apni zindagi k mukhtalif areas py phaelatey jaen gay.
    Farmaan e Hazrut Ali Haider e Karaar K.W:
    "Logoon Ko Usi Trha Maaf Kro, Jesy Tum Allah sy Umeed Rakhty Ho k Wo Tumain Maaf Kary Ga"

  3. #3
    Junior Member
    Join Date
    Feb 2017
    Location
    Mianwali
    Posts
    8
    Thanked: 3
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Aesey mazeed areas ki details mein jaen toe areas mein b mukhtalif hain na.
    Jesy
    Koi sirf andar Dil mein rakhta lakin na amul, na batoon
    Koi batoon mein ley ata..
    Phr koi hota jo aesey k apny farigh time ko Ishq k naam krta,
    Aur koi hota jo apni mehfiloon ko krta...
    Areas hain na.

    Koi aesey krta k apny bachoon, ghar k moamlaat etc ko Ishq k tabey krty hoay, us nazar sy dekhta aur khud ko marr k US NAZAR mutabik dhulta jata,
    toe koi aesa hota k jo kehta k job, ghar, sb Un ki nazar sy dekhna,

    Koi hota jo apny future plans, koi hotay wo apny past, koi hota wo apny tamam baki zindagi b isi k under kr k dekhta aur feel krta...

    Yh kuch examples theen areas ki... Toe isi trha areas hain na, jahan hum dekhty k UNKI KHUSHI kya hy, Kesa PASAND karain gay, weysa ban jana.

    Aur Phr koi aesa b hota k jo un sy Ishq mein apni chah ko b Ishq k Under ley ata k jesy Sohna Malik rakhay mjhy, Qadmoo mein, ya Nazroon mein, Apnoo mein Ya Gherroon mein,,, Mera kaam hy Chahtay rehna, FIda hoty rehna, baki jesy Marzi, Jesy Khushi,,,,,, Uska Maqsud bs MALIK ki KHUSHI banna hota hy.

    Toe is trha AShiq apny Ishq k Jazbay, Tarap, Aur priority ko sabit krta hy i think...

    Baki b is py apna view dena :*
    Farmaan e Hazrut Ali Haider e Karaar K.W:
    "Logoon Ko Usi Trha Maaf Kro, Jesy Tum Allah sy Umeed Rakhty Ho k Wo Tumain Maaf Kary Ga"

  4. #4
    Junior Member
    Join Date
    Feb 2017
    Posts
    7
    Thanked: 2
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Yani aisse k.. agar khud ko Pyaarey AAQA SAWW ka Ashiqq kehtey hen to UN k ehkamaat ko apni daily routine me practically apply karna..
    e.g. apni life ka koi bhi ek angle dekh len.. jese k apne apas k relations ki dealings check kr len k jese AAP SAWW ne sab relations nibhane ka hukam dia.. or jo responsibilities den un relations se related wo puri kr rhe hen ya nahhi??
    Hamaari life me jitni UN k ehkamaat ki pariwi nazar aee gi utnaa Ishqq ka ranng gehraa nazae ae ga.

  5. #5
    Junior Member
    Join Date
    Feb 2017
    Location
    Mianwali
    Posts
    8
    Thanked: 3
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Bilkul.
    Aur Ishq purity ka naam hy.
    Toe Ashiq paervi krta hy, sirf Malik ki Khushi hasil krny k liay. Ashiq return mein duniya sy kuch nhi chahta.
    Farmaan e Hazrut Ali Haider e Karaar K.W:
    "Logoon Ko Usi Trha Maaf Kro, Jesy Tum Allah sy Umeed Rakhty Ho k Wo Tumain Maaf Kary Ga"

  6. #6
    Junior Member
    Join Date
    Feb 2017
    Posts
    7
    Thanked: 2
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Bohat pyara point dunia se reward chahey bagher be gharz ho kar sirf Maalik k liye steps lena...

  7. #7
    Junior Member
    Join Date
    Feb 2017
    Posts
    1
    Thanked: 0
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Bohtt achi discussion...no doubt ye ek important pehlu hy jo ashiq ko Focus krna chaya..k ashiq apnau amal say dekhay na..apnay ishq ka jazba

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •