User Tag List

Results 1 to 8 of 8

Thread: Question

  1. #1
    Junior Member
    Join Date
    Mar 2017
    Posts
    6
    Thanked: 0
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)

    Smile Question

    Ak Swal Jo mari ak frnd na mjh sa pocha tha...Allah ki Mohabbat k bary ma...


    Bhala maaan bhii daikhti rahti hai k bacha bhouka bilkta jab tak roey na usy khana niii khilatii...
    Maaan ko to pata hai na mery bachay ko bhouk lagi ho gi... Time ho giya khany ka... Us k dil mein khatak si lag jati hai.. Kahan hai mera bacha ??? Mein usy khana khilaon...?? Kahan hai mera laal....???
    Ye to aik maan ki kafiyat ka idraak aik aam insaan nii kr sakta to phir us 70 maaon sy ziada piyar krny walay ka piyar ???
    Us ki rehmat us k ghazab py havi hai...
    Us ka piyaar sub py ghalib hai..
    To mein bhii bandi. hun.. Dy na . Usy to sub pata hai kia chahiye mujhy... 😣😣😣😣

    Ya Swaal 😊 plzzzz

  2. #2
    Junior Member
    Join Date
    Feb 2017
    Posts
    12
    Thanked: 1
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    ye tou sach hy k maa ko ihsas hota hy apnay bachay ke bhook pias ka... magar bacha kitna bhe bhooka ho agar wo khanay k leay zehar ya aisi he koe mohlaq cheez mangay tou wo ossay kisi bhe qeemat pr nahi de ge kion k wo maa hy or wo janti hy k iska nuqsan bachay ko kia hoga...

    or jaisay k sawal mein bhe hy k aik maa k piar ka idrak aik insan nahi kar sakta..
    tou
    Allllah jo 70 maaoun sy ziadaaaa piar karnay wala hy
    ossk k piar ka idrak insan ke aqal mein anay ke cheez kaisay ho skti hy
    ab WO beshakkk k de sakta hy...
    or janta hy k mangnay wala kia maang raha hy
    magar WO ye bhe janta hy k jo manga ja raha hy wo mangnay walay ko faida de ga ya nahi.
    so jo WO de raha hy...kar raha hy....
    behatreeen hy..
    WO behatreeen k siwa nahi karta .
    ye yakeen kam az kam itnaaa he ho jaisay hamien maaa pr hota hy tou dill ko sakoon ata hota hy,

  3. #3
    Junior Member
    Join Date
    Mar 2017
    Posts
    6
    Thanked: 0
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Par Yahan Jaiz Maang bi to ho sakti hy... K..ab Jasy Ishaq hy Ma Parha k Ya atta hy..to Jb Allah ko pata hy k Ata kia hy US na to agy gy sb levels khud hi kun ni deta...aesy jalaata kun hy ... ?

  4. #4
    Junior Member
    Join Date
    Mar 2017
    Posts
    6
    Thanked: 0
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    G Shukria ya Bat Achy sa samjh a gae. Jazak Allah

  5. #5
    Junior Member
    Join Date
    Feb 2017
    Posts
    12
    Thanked: 1
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Jahan tak Ishq ke bat hy...
    Beshak k ishq ata hy
    Or ishq mein ataoun ke inteha bhe koe nai...
    Magar
    Ishq hamysha sirf ata k sahary he nai chalta
    Ashiq ny aik bar ata honay k bad apna ap bhe tou paish karna hota hy...
    Or jo baat jalnay ke...ke hy
    Tou
    Isha aaag hy...
    Ye tou
    Jalata he hy...

    Ap
    Asrar e Isha E Haqeeqi ka
    Point 73 bhe parhiye
    Is point k hawalay sy help millaY ge.

  6. #6
    Junior Member
    Join Date
    Mar 2017
    Posts
    6
    Thanked: 0
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    G Shukria....

  7. #7
    Junior Member
    Join Date
    Feb 2017
    Posts
    25
    Thanked: 3
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Bht e acha sawal haye naan... Ayse aa kar andar laga naan kay wakaie ayse e soch aati haye,, kiyoan ke agar main apnay hawalay se baat karoan tu main be ayse e sochta tha aur abhi be kbhi kbhar soch aati he haye,, kiyoan kay soch tu naam e waswasy ko haye jiska maqsad he yeh haye k Allah aur USK banday k darmyaan ki qurbat ko nuqsaan phnchana....

    Aur same wohi situation haye naan yahan ke banda bas yehi soch mein haye ke Allah beshak nodoubt sab kuch janta haye, aik aik ehsaas se wakif haye tu kiyoan nahi wo bin mangaye kiyoan nai ataa karta, kiyoan intizaar karta haye k USKA banda bhook say roay, bilkay, agar 70 maoan say ziada piyaar karta haye tu kiyoan nahi sab thek karta.... yeh tu ayse sochain hain naan,, aik k sath dosri jurti jaye ghi aur end result yeh hoga kay ayse lagay ga kay jesay hum bht mazloam hain aur WO malik e kainaat e jahaan bht e zalim (Allah muaaf karay ayse kahna nahi chahiyea) par jab khud ko hum mazloam kar letay tu dosray end par tu Allah sohna jaan ki zaat e tu haye naan tu zahir baat hum USKO ilzaam de rahay....

    Aur jahan tak yeh sawal ata haye ke WO janta haye phr be kiyoan nahi karta theek,, tu iska misaal ayse deta hoan kay arsi duniya mein yahan par agr hum job kartay hain aur khushi khushi apnay boss kay agay peechay phirtay rehtay k boss ko naraz nahi karna, advance pay chahye ho tu bar bar kehtay rahain gaye usay,,, ayse e zindagi ke har mumlaat mein hum insanoan ke agay khushi khushi apni zarooriyaat ka sawal karnay mein jhijhak nahi khatay laikin Allahhh ke samnay paish honay mein humari zaat beech mein aa jati hai naan kay Allahh tu sab janta tu main kiyoan mangoan.....

    Allah sohnaa tu aysa badshaaw haye naan jo sab janta haye,, insaan k andar dil par ghuzarnay wali aziyat say wakif haye,, kiyoan kay WO tu khud farmata haye naan kay shehrug se be qareeb haye,, usay tu passand haye k USKA banda usk samnay jhuk kar girgraa kar mangay,,, kiyoan kay jo bin mangay itna ataa karta haye kiaaa manganay par kabhi haali hath lautaay gaa??? WO tu khud kehta US say mango WO ataa karay gaa,, laikin hum mangtay nahi naan..........

    WO tu ayse be'nyaaz haye bin mangay maan ke pait mein jo hifaazat karnay wala,,, maan ke pait mein bin mangay rizq ataa krtaa hay,,, tu kia mangnay par nahi sunainn gaa??

    Kabhi dill say baithh kar apnaa dost maaan kar sunaayea gaa naan usay kay Ay meray Sohnay Allah, mere Jaan Piyare Allah,, aikk tu haye,, mera Sohna Jaaan,, dil ki baatein sunaana,, aur dil gawaahi de gaa kay WO suntaa haye ... Behsakk !!!

  8. #8
    Junior Member
    Join Date
    Feb 2017
    Posts
    25
    Thanked: 3
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Aj ksi nain phr yeh baat kahei kay, main bht koshish karta, nikalna chahta hoan,, apni kamzoriyoan se tang hoan, bas jesay koi hath khainch kar nikaal le naan, Allah tu daikh ra naan nikal le...

    Tau tab ayse aya naan andar kay insaan naan kitnaa e sust hota haye,,, har baat Allah par daal deta haye ke Allah khud e kar de wo tu kar e skta haye naan,, tu kiyoan nahi karta,, khud tu yeh baat kar ke wahan say tasali deta rehta khud ko ke main koshish kar raha, main nikalna chhata hoan,, laikin phr be chahta yehi k usay koshish be naan karni paray aur khud ba'khud e sab ho jaye.... wo ayse aik bht basic say kahwat bhole jata haye jo bachpan mein sikhai jaati kay,, ALLAH UNKI MADDED KARTA HAYE JO APNI MADDED AP KARTY HAIN... yaani ke koshish karna, justaho karna aurrr apni efforts mein lagay rehta shart haye aur phr nikalna US zaat ka kaam haye..

    Ksii be muamlay ayse samjhna ho naan tu duniya k hawalay jab kuch batein hamra samnay hoti tu khul kar samjh aa jata haye,,, ayse e tab andar ehsaas aya kay duniya mein aik maan ka piyar aysa hota haye jis par koi sawal nahi karta kiyoan k maan ki muhabbat ka referece Allahh be deta haye naan... tu us hawalay se aya ke jab aik murghi yaan koi be parinda yaan apnay andoan par bethi hoti haye aur andoan ko garmaiesh deti k chooza niklay,, tu jab be chooza nikalna hota tu kuch jaldi nikal aatay hain aur kuch late,, laikin maan ka piyar tu sab k liyea same hota, laikin wo khud apay egs ko nahi torti k choza jaldi niikal aye bahir baki sab chozoan k saht balkay wo wait karti k kab chooza khud egg taur k bahir aata haye,, aur jab tak nai ata wo egg ko apny paroan mein le kar garmaish deti, hifazat karti, nazorn men rakhi, intizar karti,, laikin khud nahi taurti kiyoan k egg andar say chooza khud taury ga tu zindagi shuro ho ghi nahi tu agar bahir say taura jaye tu chooza mar jata haye..............

    Issi tarha k nizaam e haye insaan ka bee,,, change, nikalnay ka rasta,, even Allah tak phcnhnnay ka rasta iinsan kay apnay andar say shuro hota haye,,, aur ussi mein zindagi haye jab WO andar say shuro ho,,, ussi k liyea Allah power deta haye,,, rastay dikhata haye,, waseelay banaata haye,, aur rehnumai karwata haye k usi sab ko kartay howay hum is faribi duniya say dil nikal kar usay apnay asal tak lay jaien.... <3

Similar Threads

  1. Question
    By Amina Saddique in forum Questions & Discussion
    Replies: 9
    Last Post: 02-25-2017, 07:07 PM

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •